Farz namaz ke baad ijtemaai dua karna bidat ya sunnat?

WAHABI AHLE HADEES FIRQE KE NAZDEEQ FARZ NAMAZ KE BAAD IJTEMAAI DUA KARNA BIDAT WA GUMRAHI HAI. AUR UNKA DAWA HAI KI KISI SAHIH HADITH SE IJTEMAAI DUA KARNA SABIT NAHI. AUR JIN AHAADITH MEIN IJTEMAAI DUA KA SUBOOT HAI WOH SAB ZAEEF HAI.

AB HUM KUCH AHAADITH PESH KAREGE JIN SE IJTEMAAI DUA KA SUBOOT MILTA HAI.

HADITH NO 1⃣.

Abu Zubair رضي الله تعالى عنه se riwayat hai ki unhone bayan kiya ke Hazrat Zubair رضي الله تعالى عنه har namaz mein salam pherne ke baad kaha karte the ( dua mein), Allah taala ke siwa koi maabood nahi, woh akela hai. Iska koi shareek nahi. Usi ke liye badshahi hai aur Usi ke liye tamaam tareefe hai aur woh har shai par qudrat rakhta hai. Allah ke siwa koi galib aane wala aur quwat rakhne wala nahi aur hum siwae us ke kisi ki ibadat nahi karte. Us ke liye tamam naimate hai aur usi ke liye fazl aur tamam achi tareefe hai. Allah ke siwa koi maabood nahi. Usi ka deen khalis hai agarcha kafiron ko yeh na gawar guzre.

Aur Imam Shafai ki riwayat ke alfaaz hai:
Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِin kalmat ko har namaz ke baad buland aawaz se ada farmate the. Phir aage isi tarah hadith zikr ki.

● SAHIH MUSLIM, KITAB UL MASAAJID WA MAWAZE AL SALAAH; BAAB: ISTEHBAABUL ZIKR BAAD AS SALAAH WA BAYAANUS SAFTA;
● SUNAN ABU DAWOOD, KITAB UL WITR, BAAB: MAA YAQUL AR RAJL IZAA SALM;
● SUNAN NASAI, KITAB UL SHAW, BAAB: ADAD UL TEHLEEL WAL ZIKRE BAAD UT TASLEEM;
● SUNAN E KUBRA, 1/398, HADITH: 1263;
● MUSNAD E SHAAFI, 1/44;
● MUSNAD AHMED BIN HANBAL; 4/4;
● MUSANNAF IBN ABI SHAIBA, 6/33, HADITH: 29,262;
● MUSNAD ABU YA’ALA, 12/184, HADITH: 6811
IS HADITH SE MUTLAQAN YE PATA CHALA KI NAMAZ KE BAAD DUA KI JAATI THI. AB AHLE HADEES WAHABI MOTARIZ YE BAATAYE KI DUA BULAND AWAAZ SE HOTI THI YA AAHISTA MUNFARID KI JAATI THI? AGAR AAHISTA MUNFARID KI JAATI THI TO ISKA KYA SUBOOT HAI? MOTARIZ PAR LAAZIM HAI KI WOH AAHISTA KA LAFZ BATAYE.

HAMARA DAWA HAI KI DUA IJTEMAAI AUR BULAND AWAAZ SE KI JAATI THI AUR ISKI TASDEEQ MUSNAD SHAFIE KI RIWAYAT SE HO JAATI HAI KYUKI SHAFIE KI RIWAYAT MEIN SAAF LIKHA HAI KI “HUZOOR NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ DUA KE KALMAAT KO HAR NAMAZ KE BAAD BULAND AAWAAZ SE ADAA FARMATE THE.”

AB HUM DUSRI HADITH PESH KARTE HAI:

HADITH NO 2⃣

Hazrat Abu Ayub رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ke maine jab bhi Huzoor Nabi E Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki iqtida mein namaz padhi to dekha ki Aap Jab namaz se farig hote to main Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ko farmate hue sunta: Aye mere Allah! Meri tamam khataien aur gunah muaaf kar de. Aye mere Allah! Mujhe ( apni ibadat wa itaat ke liye) hashshas bashshas rakh aur mujhe apni azmaish se mehfooz rakh aur mujhe nek amaal aur akhlaq ki rehnumai aata farma. Beshak nek amaal aur akhlaq ki hidayat tere siwa koi nhi deta aur bure amaal aur akhlaq se tere siwa koi nahi bachata.

● TABRANI FI MAUJAMIL SAGEER, 1/365, HADITH NO 610;
● TABRANI FI MAUJAMIL AWSAT, 4/362, HADITH: 4442;
● TABRANI FI MAUJAMIL KABEER, 4/125, HADITH: 3875;
● MUSTADRAK HAKIM, 3/522, HADITH: 5942

 

IS HADITH SE SAAF WAZEH HAI KI DUA IJTEMAAI AUR BULAND AWAAZ SE KI JAATI THI. ISKA SUBOOT YE HAI KI HAZRAT ABU AYUB رضي الله تعالى عنه NE FARMAYA KI MAINE HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KO DUA KARTE HUWE SUNA. PATA CHALA AAP BULAND AWAAZ SE DUA KARTE. AUR DUA IJTEMAAI KARTE KYUKI MUNFARID DUA BULAND AWAAZ SE NAHI KI JAATI. BULAND AWAAZ SE DUA KARNA YE IJTEMAAI DUA PAR DALAALAT KARTA HAI.

AB HUM TEESRI HADITH PESH KARTE HAI

HADITH NO 3⃣.

Hazrat Anas Bin Malik رضي الله تعالى عنه farmate hai ke ( halat namaz mein) main Huzoor Nabi E Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke ain peeche khada hota tha. Pas Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ jab salam pherte to farmate: Aye mere allah! Meri umr ka aakhri hissa behtareen bana de. Aye mere Allah mere aamaal ka khatma apni raza par kar. Aye mere Allah mere dino mein se behtreen din us ko bana de jis din main tere sath mulaqat karu.

● TABRANI FI MAUJAMIL AWSAT, 9/157;HADITH : 9411
● HAITHMI FI MAJMU AL ZAWAID, 10/110

 

IS HADITH SE BHI PATA CHALA KI HAZRAT ANAS رضي الله تعالى عنه KO DUA KE ALFAAZ SUNAAI DETE THE. UNKA AIN PECHLI SAF MEIN KHADA HONA IS BAAT KI TASDEEQ KARTA HAI KI WOH IS BAAT KA SUBOOT DE RAHE HAI KI WOH DUA SUNTE THE.

AB CHAUTHI (4TH) HADITH MULAHIZA FARMAYE:

HADITH NO 4⃣

Hazrat Abu Umama رضي الله تعالى عنه bayan karte hai main jab farz namaz ya nafil namaz mein Huzoor Nabi e kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِke peeche khada hua to main ne Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِko in kalmat se DUA FARMATE HUWE SUNA jin mein Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِna izafa farmate the aur na kami (woh kalmaat yeh hai). Aye mere Allah meri khataien aur gunah muaf farmade. Aye mere Allah mujhe ( apni ibadat aur itaat ke liye) hashsash bashsash kar de aur mujhe apni azmaish se mehfooz rakh aur mujhe nek aamaal aur akhlaq ki rehnumai aata farma pas beshak tere siwa in nek amaal ki rehnumai koi nahi farmata aur na hi tere siwa bure amaal wa akhlaq se koi bachata hai.

● TABRANI FIL MAUJAMIL KABEER, 8/200, HADITH 7811;
● HAITHMI FI MAJMA AZ ZAWAAID, 10/112

 

IS HADITH SE BHI SABIT HO GAYA KI DUA BULAND AWAAZ SE KI JAATI THI KYUKI HAZRAT ABU UMAMA رضي الله تعالى عنه FARMATE HAI “MAINE SUNA”. AUR BULAND AWAAZ SE DUA KARNA IJTEMAAI DUA PAR DALAALAT KARTA HAI.

HADITH NO 5⃣.

Hazrat Arzaq bin Qais رضي الله تعالى عنه ka bayan hai ki Imam ne hume Namaz padhayi jin ki kunniyat Abu Rimsa thi, farmaya ki maine ye namaz ya is jaisi namaz Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke saath padhi hai. Farmaya ki Hazrat Abu Bakr رضي الله تعالى عنه aur Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه pehli saf mein daayi jaanib khade the aur ek aadmi namaz ki takbeer e ula mein shamil huwa. Jab Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِne namaz padha li to daayi jaanib salaam phera, yahan tak ki Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke rukhsaaro ki safedi humne dekhi. PHIR AISE HI MUDE JAISE ABU RIMSA MUDE HAI YAANI WOH KHUD. Pas jo shaks takbeer e ula mein aa kar shamil huwa tha khada ho kar do-gana (2 rakat) padhne laga. Pas Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه uski taraf jhadpe aur usse kandho se pakad kar hilaya. PHIR FARMAYA BAITH JAAO KYUKI AHLE KITAB SIRF IS WAJEH SE HALAAK HUWE KI UNKI NAMAZO KE DARMIYAAN WAQFA NAHI REHTA THA. Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne nigah e mubarak uthayi aur farmaya: Aye Ibne Khattab! Allah Ta’ala ne tumhe Sahih baat ki taufeeq marhamat farmayi hai.”

NOTE: IMAM HAKIM FARMATE HAI – “YE HADITH IMAM MUSLIM KI SHART PAR SAHIH HAI”

● SUNAN ABU DAWOOD, KITAB UL SALAH;
● MUSTADRAK HAKIM, 1/403, HADITH NO 996;
● BAIHIQI FI SUNAN E SUGRA, 1/395, HADITH NO. 675;
● BAIHIQI FI SUNAN E KUBRA, 2/190, HADITH NO. 2867;
● TABRANI FI MAUJAMIL AWSAT, 2/316, HADITH NO. 2088

 

IS HADITH SE IS BAAT KI WAZAHAT HOTI HAI KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ JAB FARZ NAMAZ SE FARIG HOTE TO APNE CHERE KO QIBLE SE MOOD LETE AUR MUQTADIYO KI TARAF KAR LETE. HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KA APNE RUKH E ANWAR KO LOGO KI TARAF KARNA IJTEMAAI DUA KARWANE PAR DALALAT KARTA HAI KYUKI MUNFARID DUA KARNA HOTA TO HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ LOGO KI TARAF APNA CHERA E MUBARAK KYU KARTE? AAP صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ APNA CHERA QIBLE KI TARAF HI RAKH KAR DUA MAANG LETE.

IN TAMAAM AHAADITH SE PATA CHALA KI FARZ NAMAZ KE BAAD IJTEMAAI DUA KARNA BHI SUNNAT HAI. AUR IS AMAL KO BIDAT KEHNA AHAADITH E NABWI SE LAA-ILMI AUR DEEN MEIN ZYADATI HAI.

HUMNE FARZ NAMAZ KE BAAD IJTEMAAI DUA PAR 5 HADITH PESH KI.

AB HUM AHLE HADEES WAHABIYO KE KUCH AITERAAZAAT AUR UNKE JAWAABAAT PESH KARTE HAI:

AITERAAZ NO 1:

۩ Ibn-e-Taymiya: “Yeh amal biddath hai (majmu al fatawa 519/22)

JAWAAB:

IBNE TAIMIYA NE IS KO BIDAT KIS DALEEL SE KAHA? JAB TAK DALEEL NA HO DAWA NA MAQBUL HAI. HALAN KI HAMNE HADITH SE IJTIMAI DUA KA MASNUN HONA SABIT KAR DIYA HAI

AITERAAZ NO 2:

۩ Ibn e Qayyam: “Farz namaz ke baad ijtemai dua Ap salalahu alahi wasallam ka tareeq nahi tha” (zaad ul maid 257/1)

JAWAAB:

IBNE QAYYEM NE BIDAT HONE PAR KOI DALEEL NAHI DI.

AITERAAZ NO 3:

۩ Imam Malik: “yeh amal biddat hai” (ftah ul bari 326/2)

JAWAAB:

IMAM MALIK NE AGAR ISKO BIDAT KAHA HAI TO US SE MURAD YE HAI KI ISKO SARAHAT KE SATH KISI HADITH ME SUNNAT NAHI KAHA GAYA HAI. JO MASNUN DUA HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ SE MARWI HAI USKE SIWA DUA PADHNA BIDATE MUSTAHABBA HAI.

AITERAAZ NO 4:

۩ Saudi Majlis Ifta: “Hame kisi aisi daleel ka ilm nahi jo is amal ki mashroiat par dalalal karti ho”. (alfatawa alislamia 290/1)

JAWAAB:

IJTIMAI DUA KI MUMANAAT NA HONA HI USKI MASHRUIYAT KI DALIL HAI. QAZI SHAUKANI WAHABI NE NAILUL AUTAR ME LIKHA HAI KI KISI CHIZ SE SHARIYAT ME MUMANAAT NA HONA HI USKE MUBAH HONE KI DALIL HAI

AITERAAZ NO 5:

۩ Anwar Shah kashmiri Deobandi: “Dua ki ijtemai surat jiska ajkal riwaj hai sabit nahi” (al urf al shazi p#98)

JAWAAB:

ANWAR SHAH KASHMIRI KI HAYSIYAT AHLE SUNNAT KE ULEMA ME AUTHENTIC NAHI

AITERAAZ NO 6:

۩ Imam Ibne Taymiya rh, Ibn e Qaiyyam rh, Ibne Hajar rh, aur bahut se muhaqqeen ulma ne farz namaz ke baad mashoor ijtemaai dua ka inkaar kiya hai aur ise bid’at kaha hai.

JAWAAB:

ISKE BIDATE SAYYEA HONE PAR KOI DALEEL NAHI DI HAI IS LIYE NA MOTABAR HAI

AITERAAZ NO 7:

۩ Aap sws ne farmaya:-” Jald hi meri ummat me aise log paida honge jo paani ke istemaal me aur dua karne me haddh se badh jayenge” (abu dawood 1480,imam haakim aur imam zahbi ne ise sahih kaha hai)

JAWAAB:

DUA ME HAD SE BADHNE KA MANA NAMAZ KE BAD IJTEMAI DUA HAI ISKI KYA DALEEL HAI?

DUA ME HAD SE BADHNE KA MANA AKHIRAT KI BHALI KI DUA CHHODHKAR SIRF DUNYA KE HUSUL KI DUA KARNA HAI

AITERAAZ NO 8:

۩Ijtemaai dua ki daleel me Bayaan ki jaane waali tamaam riwayate zaeef hai…ALLAH SWT hume bidat se bachne aur Sunnato par chalne ki taufiq ata farmaye.

JAWAAB:

TAMAM AHAHDITH KE ZAEEF HONE KI DALEEL KYA HAI?
AGAR SAB ZAEEF HAI TO SAB MILKAR QAWI HOSAKTI HAI YA NAHI? AUR NAHI TO KYU?

¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE ® – MUMBAI

Posted in Islamic Articles.