Fitna e Qadyaniyat

FITNA E QADYANIYAT

(EXCERPT FROM THE LECTURE OF BROTHER ABID SAQLAINI HAFIZAHULLAH (DAAYI – AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE ARC) AT ARC WORKSHOP CONDUCTED ON 17.03.18)

(CHECKED AND APPROVED BY SHAYKH MUFTI RAZA UL HAQ ASHRAFI HAFIZAHULLAH)

FITNO KA ZUHOOR

HADITH: Rasool e Aazam ﷺ ne farmaya, “Aamaal (Swaleh) baja laane mein jaldi karo. Kyuki andheri raat ki maanind fitne nazil hone wale hai. Aadmi subah ko momin hoga to shaam ko kafir ho jaayega. Woh duniya ke kuch saamaan ke khatir apna Imaan bech daalega.
( • SAHIH MUSLIM, KITAB UL IMAAN)

Issi tarah ek mauqe par Aap ﷺ ne irshaad farmaya: ” Mein fitno ko tumhare gharo mein baarish ke qatro ki tarah girta dekh raha hu.
(• SAHIH BUKHARI, KITAB UL FITAN)

Fitno ki shiddat aur kasrat ke baais insaan maut ki tamanna karega.

Rasool e Aazam ﷺ ne farmaya: ” Qayamat qayam na hogi, hatta ki Aadmi kisi dusre aadmi ki qabr ke qareeb se guzrega to yahi tamanna karega ki kaash is jagah mein hota.
(• SAHIH BUKHARI, KITAB UL FITAN)

Bila shuba Aaj ye waqt bhi aa pohcha hai aur log in fitno ko apni aankho se dekh rahe hai. Unhi fitno mein se ek bohot bada fitna JHOOTHE NABIYO AUR DAWA E MAHDI karne walo ka bhi hai.

Allah ki ataa se Gaib ki khabre dene wale Allah ke Nabi ﷺ ne farmaya: “Qayamat qayam hone se pehle 30 ke qareeb jhoothe Dajjal paida hoge. Jin mein se har ek ye gumaan karta hoga ki woh Allah ka Rasool hai.
(• SAHIH BUKHARI, KITAB UL MANAQIB)

Nubuwat ka jhootha dawa karne walo ka silsila to Aehad e Risalat se hi shuru ho gaya tha. Musailama Kazzab aur Aswad Ansi ne Nabi e Kareem ﷺ ke zamane mein hi Nubuwat ka ka dawa kar diya tha. Musailma Kazzab ko Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله تعالى عنه ke zamane mein Musalmano ne jang e Yamama ke dauraan halaak kiya aur Aswad Ansi Sahaba ke haatho qatl huwa.

Ek aurat Sajah binte Haaris ne bhi Nubuwat ka dawa kiya tha aur usne jhoothe Nabi Musailma Kazzab se Shadi bhi ki thi. Lekin jab Musailma Kazzab ko Qatl kiya gaya to ye taaib ho gayi. Qabila e Bani Asad ke Talha naami ek shaks ne bhi Nubuwat ka dawa kiya tha lekin baad mein jab usse aur uske saathiyo ko shikashst huwi to pehle ye faraar hone ki koshish karne laga lekin Imaan le kar Hazrat Khalid bin Waleed رضي الله تعالى عنه ke paas haazir ho gaya aur Islam qubool kar liya.

Aehed e Khilafat e Raashida ke baad bhi kuch logo ne Nubuwat ka dawa kiya . Abdul Malik bin Marwaan ke zamane mein Haaris naam ke ek shaks ne Nubuwat ka dawa kiya to Haroon Rasheed ke zamane mein bhi ek shaks ne apne aap ko Nabi kaha. Magar waqt ke hukmarano ne unhe giraftaar kiya aur Ulema wa Mashaaikh ne unhe Kafir qaraar diya aur qatl ki saza sunayi.

Hamare zamane mein MIRZA GULAM AHMED QADIYANI ne Angrezo ki saajish aur mansooba bandi se Qadiyaan mein Nubuwat ka dawa kiya. Kuch logo ko usne gumrah karne mein kamiyaabi to hasil ki magar Ummat ki aksariyat ne usse aur uske manne walo ko kafir qaraar diya.

QADYANIYAT KYA HAI?

Qadyaniyat is sadi ka sab se bada fitna hai. Is firqe ki buniyaad Mirza Gulam Ahmed Qadiyani ne rakhi. Ye aur uska poora khandan hamesha se Yahoodo Nasara ka gulam tha aur usse is gulami par fakhr tha. Usne apne daur mein mukhtalif daawe bhi kiye jinhe hum 4 adwaar mein taqseem karte hai:

1. Pehla Daur: 1858 se 1879 tak ka hai. Is daur mein Mirza ne koi dawa nahi kiya balki ek mubalig e Islam ki hasiyat se shohrat haasil ki. Is daur mein usne Panjab ke Pandito aur Esaaiyo se khoob munazra kiya aur Musalmaano ke dilo mein apne liye jagah banayi.

2. Dusra Daur: 1879 se 1888 tak ka hai: Is daur mein Mirza ne apne aap ko ek mujaddid ki hasiyat se logo mein pesh kiya. Uska dawa tha ki Allah ki taraf se usse tajdeed e deen ka kaam diya gaya hai aur saath hi saath is baat ka bhi dawa kiya ki woh misle maseeh yaani Hazrat Esaa (alayhis salaam) ki tarah hai.

3. Teesra Daur: 1888 se 1908 tak ka hai. Is daur mein isne dawa e Nubuwat kiya aur kaha ki woh lafz e Nabi ke mukammal maano mein Nabi hai aur har zabaan mein mujh par wahi aati hai. Yahan tak ki Angrezi mein bhi. Issi mein usne khul kar Esaa (alayhis salaam) aur Janab e Mariyam (radiallahuan) ki shaan mein badtameezi ki aur un par ilzaamat bhi lagaye.

Mirza Gulam Ahmed Qadiyani ne sab se pehli bayat 23 March 1889 ko Ludhiyana mein Sufi Ahmed Jaan ke makaan par Maulvi Nooruddin ko bula kar ki. Jamat e Ahmediya yaani Qadiyaniyo mein khulfa ki badi ehmiyat hai. Maulvi Hakeem Nooruddin 27 May, 1908 ko baani e jamat Mirza Gulam Ahmed ke marne ke baad sab se pehla khalifa naamzad huwa. Uske marne ke baad Mirza Bashiruddin Khalifa e Saani mukarrar huwa. Uske khalifa bante hi jamat e Ahmadiya do hisse mein bat gayi.
(1) Jamat Anjuman Ahmadiya Rubuwah – jiska khalifa Basheer tha.
(2) Anjuman Ish’aat e Islam – Jis ka khalifa wa baani Muhammad Ali Lahori tha.

Qadiyaniyo ke nazdeek chand ayyam bohot zyada ehmiyat rakhte hai. Jin mein se kuch ye hai:

23 March: ko Jamat yaani Qadiyani firqe ke aagaaz par khushi manaayi jaati hai.

27 May : Ko khilafat ke aagaaz ki khushi manaayi jaati hai

30,31 August, 1 December : Ko bade ijlaas munaqid hote hai. Pehle ye bade ijlaas Pakistan mein hote the. Ab ye London mein hote hai. Poori duniya mein Qadiyani apne ghar mein baith kar ye ijlaas Radio aur TV par sunte aur dekhte hai.

Mirza Basheer ne apne daur mein kuch tanzeemo ki buniyaad bhi rakhi hai jin mein mashoor ye hai:

1. Khuddam ul Ahmadiya: Is mein 15 se 40 saal ke log shamil hote hai. 1938 mein is ki buniyaad daali gayi. Khaas taur se jawaano ke liye.

2. Itfaal e Ahmadiya: 1938 mein iski buniyaad dali gayi. Is tanzeem mein 7 se 15 saal ke bache shamil hote hai.

3. Lajna Ima’illah : 1922 mein iski buniyaad daali gayi. Ye tanzeem sirf aur sirf Aurto ke liye banayi gayi.

4. In Qadiyaniyo ka apna ek jasoos network bhi hai jisse Khuddam ul Ahmadiya Janab Nagar Pakistan ke naam se jaana jata hai. Is tanzeem se koi Qadiyani fard nahi bach sakta hai. Ye tanzeem har ek ki nigrani karti hai. Is tanzeem ki wajeh se aksar qadiyani dare aur sehme rehte hai.

Ab aaye Mein mukhtasaran Qadiyaniyo ki dusri jamat yaani Laahori jamat ke talluq se kuch baate arz kar du. Maulvi Muhammad Ali Lahori Anjuman Ishaat ul Islam ka baani hai. December 1874 mein paida huwa aur 13 October 1951 ko iski maut huwi. Isne Quran ka ek Angrezi (English) tarjama aur Bayaan ul Quran ke naam se ek tafseer bhi likhi hai. Iske marne ke baad Maulvi Sadruddin, Saeed Ahmed khan, Asgar Hameed, Abdul Kareem Basha is jamat ke ameer rahe. Lahori group har saal 2 May ko Gulam Ahmed ki maut par ek Jashn manata hai.

13 October ko Maulvi Muhammad Ali Lahori ki wafaat ka din manaya jata hai. Har saal December mein 4 din ye saalana jalsa karte hai. Khayaal rahe ki ye dono jamate yaani Mirzayi aur Lahori apne aqaid e batila ki wajeh se khule huwe kafir hai. Inhi ki pairwi karte huwe abhi haal hi mein Bihar ke Shakeel bin Haneef ne Mahdi aur Esaa (alayhis salaam) hone ka dawa kiya. Quran wa Sunnat ke kai nusoos ka khula inkaar kiya. Imam Mahdi (alayhis salaam), Hazrat Esaa (alayhis salaam) ka mazaaq udaaya aur kaha ki ye khayali baate hai. Khayaal rahe ki Rasool e Aazam ﷺ Allah ke aakhri Nabi aur Rasool hai. Na Aap ke baad koi Nabi aayega aur Na hi Rasool. Jo is baat ka munkir hai woh khula huwa kafir hai.

Bihar ka rehne wala Shakeel bin Haneef bhi Qadiyaniyo ka hi agent hai. Balki agar kaho ki fitno ka taaza edition hai to bhi durust hai. Taareekh ke mutaale se pata chalta hai ki Yahoodiyo ne 1840 se 1880 ke darmiyaan 40 saal ki muddat mein ek ke baad ek dawa e Mehdiyat karne wale paida kiye. Jaise Ali Muhammad Baab, Mirza Yahya Sabhi azl aur Bahaullah Irani. Yahoodiyo ko is mein Kamiyaabi to nahi mili kyuki khilafat e Uthmani mein ye log ya to halaak kar diye gaye ya unko Jail ki salaakho ke darmiyaan daal diya gaya jahan unke jhoothe dawe dum tod chuke the. Magar chuki Yahoodi kabhi bhi Islam aur Ahle Islam ke khairkhwan nahi rahe, ye baat azhar minas shams hai. Aaj bhi Yahoodi Lobby ye kaam kar rahi hai. Unka maqsad sirf aur sirf ye hai ki Log Imam Mahdi (alayhis salaam) se gaafil rahe. Log bhul jaaye Imam Mahdi (alayhis salaam) ko taaki Log gaflat mein rahe aur ye jaan na sake ki Imam Mahdi (alayhis salaam) ki zaat aur barkaat kya hai. Is liye unhone Mirza Gulam Ahmed Qadiyani, Shakeel bin Haneef jaise jhoote Mahdi banaye. Aaj zaroorat is baat ki hai ki log jaane ki kaun hai Imam Mahdi (alayhis salaam) ? Dajjal kaun hai? Hazrat Esaa (alayhis salaam) ke talluq se hamara kya Aqeeda hai.

VIDEO LINK OF LECTURE:

Posted in Islamic Articles.