Kya Hazrat Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Allah Ta’ala ko dekha hai?

KYA HUZOOR NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  NE ALLAH TA’ALA KO DEKHA HAI?

IS MASLE MEIN 4 QUAL HAI:

1. Hazrat Aisha رضي الله عنهاaur Hazrat Ibn Masood رضي الله تعالى عنه Royat e Bari ka inkaar karte hai.

2. Hazrat Ibn Abbas رضي الله تعالى عنه ka ek qual hai ki Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne dil ki Aankh se Allah Ta’ala ko dekha.

3. Hazrat Ibn Abbas رضي الله تعالى عنه ka Mashoor Qual aur Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه ka nazariya yeh hai ki Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne Allah Ta’ala ko Sar ki Aankho se dekha.

Imam Abu al Ashari رضي الله تعالى عنه ka bhi yahi mazhab hai.

4. Aur baaz mashaikh ne is masle mein taukif kiya hai.

IN MEIN ZYADA SAHI QUAL YEH HAI KI HUZOOR NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  NE APNE RAB KO SAR KI AANKHO SE DEKHA HAI AUR “DANA FATADALLAH” KA MAAMLA ALLAH AUR RASULALLAH صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  KE DARMIYAAN HUA HAI AUR IS SE QURB E MAJAZI MURAAD HAI.

[Allama Muhammad Sanusi Maliki, Mukammal Akmal il Mualim, jild 1, pg 327, Matbua Darul Kutub Almiya Bairut]

● HAZRAT AISHA  رضي الله عنها KA QUAL:

Hazrat Masrooq رضي الله تعالى عنه ka bayan hai ki Hazrat Aisha  رضي الله عنهاne farmaya, “Jo ye kahe ki Muhammad Mustafa صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِne apne Rab ko dekha to usne jhoot kaha.

[SAHIH BUKHARI, KITAB UL TAWHEED, JILD 3, PG 834;

SAHIH MUSLIM, KITAB UL IMAAN, JILD 1, PG 180]

● HAZRAT IBNE ABBAS رضي الله تعالى عنه AUR DEEGAR SAHABA SE HADITH E RASOOL صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ :

HADITH:

¤ Hazrat Ibn e Abbas رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki Rasullallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne farmaya maine apne Rab ko dekha.

(Musnad Ahmed Ibne Hambal , jild 1, pg 285 – 290, Matbua Maktabul Islami Bairut)

HADITH:

¤ Shobi رضي الله تعالى عنهkehte hai ki Maidan e Arafa mein Hazrat Ibn Abbas رضي الله تعالى عنهne Ka’ab رضي الله تعالى عنه se mulaqat ki aur unse kisi cheez ke muataliq sawal kiya. Ka’ab رضي الله تعالى عنه ne buland awaz se Allahu Akbar kaha hatta ki pahad gunj uthe. Phir Hazrat Ibn Abbas رضي الله تعالى عنه ne farmaya main Banu Hashim hu ( yaani aap mera sawal na tale) to Ka’ab رضي الله تعالى عنه ne kaha Allah ne apne deedar aur kalam ko Hazrat Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  aur Hazrat Moosa عليه السلام‎ ke darmiyan taqseem kar diya. Hazrat Moosa عليه السلام‎se do martaba kalam kiya aur Sayyedna Hazrat Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne Allah ko do baar dekha.

[JAME TIRMIZI, KITAB UL TAFSEER, JILD 2, PG 518]

HADITH:

¤ Ikrima رضي الله تعالى عنه se riwayat hai Hazrat Ibne Abbasرضي الله تعالى عنه  ne farmaya, Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko dekha. Ikrimaرضي الله تعالى عنه  farmate hai Maine kaha Kya Allah Ta’ala ne nahi farmaya “Aankhe uska ihaata nahi kar sakti aur logo ki Aankhe uske saamne hai”. Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه  ne farmaya tum par afsoos hai. Ye to us waqt hai jab Allah apne us Noor ke saath tajalli farmaye jo uska Noor hai Yaani gair mutanahi Noor. Aur beshak Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko do (2) martaba dekha.

YE HADITH HASAN GAREEB HAI.

[JAME TIRMIZI, KITAB UL TAFSEER, JILD 2, PG 518]

HADITH:

¤ Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki  Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne farmaya: Maine apne Rab ko dekha.

[● MUSNAD AHMED BIN HANBAL, JILD 1, PG 285 – 290]

¤ Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ne farmaya kya tumko is par tajub hai ki Hazrat Ibrahim عليه السلام‎ke liye khalil hona ho. Hazrat Moosa  عليه السلام‎ke liye kalam aur Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ke liye deedar ho.

Yeh hadith Imam Bukhari ki shart ke mutabiq sahi hai. Lekin Imam Bukhari aur Imam Muslim ne iski takhrij nahi ki.

[●MUSTADRAK AL HAAKIM, JILD 1, PG 65]

HADITH:

¤ Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne farmaya maine apne Rab ko dekha hai.

Is hadith ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai iski sanad sahi hai

[●HAITHAMI – MAJMUA AZ ZAWAID, JILD 1 , PG 78]

HADITH:

¤ Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne apne Rab ko do (2) martaba dekha. Ek martaba apni Aankh ke saath aur ek baar apne dil ke saath.

Is hadith ko Imam Tabrani ne Awsat mein riwayat kiya hai.  Iski sanad sahi hai. Imam Ibn e Hibaan ne isko siqaat mein zikr kiya hai.

[●HAITHAMI – MAJMUA AZ ZAWAID , JILD 1, PG 79 )

HADITH:

¤ Hazrat Abu Zar رضي الله تعالى عنهbayan karte hai ki maine Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِse pucha Kya Aapصلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko dekha hai? Farmaya : Allah Noor hai aur MAINE US KO JAHAN SE BHI DEKHA WOH NOOR HI NOOR HAI.

[●SAHIH MUSLIM, KITAB UL IMAAN, JILD 1, PG 182]

HADITH:

¤ Abdullah bin Shaqeeqرضي الله تعالى عنه kehte hai ki maine Hazrat Abu Zar رضي الله تعالى عنهse kaha agar Mujhe Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِki ziyarat ka mauqa mila hota to mein Huzoorصلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se ek cheez zaroor puchta. Hazrat Abu Zarرضي الله تعالى عنه ne farmaya kya puchte? Abdullah رضي الله تعالى عنهne kaha mein ye puchta ki kya Aap ne apne Rab ko dekha hai? Hazrat Abu Zar رضي الله تعالى عنهne kaha ki maine Rasulullah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِse ye pucha tha. Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِne farmaya : MAINE (KHALIQ) NOOR KO DEKHA HAI.

[●SAHIH MUSLIM, KITAB UL IMAAN, JILD 1, PG 182]

HADITH:

¤ Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه riwayat karte hai, Hatta ki Sayyedna Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  sidra tul muntaha par aaye aur Jabbar Rabbul Izzat Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ke qareeb hua. Phir aur zyada qareeb hua, hatta ki woh Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  se do qamano ki miqdaar reh gaya. Ya usse bhi zyada nazdeek.

[●SAHIH BUKHARI]

● Imam Ahmed bin Hambal ne farmaya main Hazrat Ibn e Abbas رضي الله تعالى عنه ki hadees ka qayal hu. Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko apni ankhon se dekha hai. Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko apni ankhon se dekha hai.  Imam Ahmed in qalamat ko itni baar dhohrate ki unka saans munqatey ho jata.

● Abul Hasan Ali bin Ismail Ashari رضي الله تعالى عنهaur unke ashaab ki ek jamat ne kaha ki Aapصلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Allah ko apni basar aur sar ki ankhon se dekha hai kaha ki jis Nabi ko bhi jo maujiza diya gaya us maujize ki misl Nabi ko di gayi hai aur royeeat se Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ko tamam ambiya par fazilat di gayi hai

[● KAZI AYYAZ – SHIFA SHARIF]

HADITH:

¤ Allama Zarqani Maliki likhte hai Imam Ibne Ishaq ne riwayat kiya hai ki Marwan رضي الله تعالى عنه ne Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه se sawal kiya ki aaya Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne apne Rab ko dekha hai? Unhone kaha HAAN!

● Allama Nawawi ne kaha yeh aksar ulema ka qaul hai.

● Imam Abdur Razzak ne riwayat kiya hai ki Hasan Basri qasam kha kar kehte the ki Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne apne Rab ko dekha hai.

HADITH:

¤ Imam Nasai aur Imam Haakim ne sanad e sahi ke saath riwayat kiya hai ki Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنهne farmaya kya tum is par taajub karte ho ki khullat Hazrat Ibrahim عليه السلام‎ke liye ho aur kalam Hazrat Moosa عليه السلام‎ ke liye aur deedar Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ke liye ho aur Imam Tabrani ne sanad e sahi ke saath riwayat kiya hai Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ne farmaya Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne apne Rab ko do (2) baar dekha hai. Ek baar sar ki ankh se aur ek baar dil ki ankh se.

HADITH:

¤ Imam Ibne Khuzaima ne sanad e qawi ke saath riwayat kiya hai ki Hazrat Anas رضي الله تعالى عنهne farmaya ke Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apni ankhon se apne Rab ko dekha.

● Khalal ne kitab ul sanat mein Marwazi se riwayat kiya hai ki maine Imam Ahmed bin Hanbal se kaha ki Hazrat Aisha رضي الله عنهاIska inkar karti hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ne Allah ko dekha. Aap unke is inkaar ko kis Daleel se rad karenge? Unhone kaha Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ke is irshad se ki maine Allah ko apni ankhon se dekha hai. Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ka irshad Hazrat Aisha رضي الله عنهاke qual se akbar aur raaj’ae hai.

● Naqash ne Imam Ahmed se riwayat kiya hai ki main Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنهki is hadees ka qayal hu ki Aap ne apne Rab ko apni ankhon se dekha hai. Imam Ahmed baar baar kehte rahe Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko dekha hai.  Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko dekha hai hatta ki Imam Ahmed ka sans ruk gaya

[●IMAM ZARQANI MALIKI, SHARAH MAWAHIB UL LADUNIYA, JILD 6,PG 116-120]

● IMAM NAWAWI SHAFAI kehte hai is behes mein asl cheez Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ki hadees hai Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالى عنهne ek shaks ko Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ke paas bheja aur unse is masle mein Istifsar kiya. Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنهne farmaya Hazrat Sayyedna Muhammad صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko dekha hai. Hazrat Aisha رضي الله عنها ke inkar se is masle par koi asar nahi padega. Kyuki Hazrat Aisha رضي الله عنهاne yeh nahi kaha ki maine Nabi ko yeh farmate hue suna hai

” Maine apne Rab ko nahi dekha” Hazrat Aisha رضي الله عنها ne apne taur se quran e majeed se istedlal karke yeh natija nikala. Aur jab sahabi koi masla bayan kare aur dusra sahabi uski mukhalifat kare to uska qaul hujjat nahi hota. Aur jab sahi riwayat ke saath Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنهse yeh sabit hai ki Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne shab e meraj Allah ta’ala ko dekha hai to un riwayat ko qubool karna wajib hai. Kyuki Allah ta’ala ko dekhne ka waqia in masail mein se nhi hai jin ko aqal se mustanabat kiya ja sake ya unko zan se bayan kiya jaye. Yeh sirf isi surat par mamool kiya ja sakta hai ki kisi ne Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se suna ho aur koi shaks yeh nhi keh sakta ki Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنهne apne zan aur qiyas se yeh kaha ki Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Allah ta’ala ko dekha hai.

Allama Mamoor bin Rashid ne kaha is masle mein Hazrat Aisha رضي الله عنها aur Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ka ikhtilaf hai aur Hazrat Aisha رضي الله عنها Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه se zyada aalim nahi hai. Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنه ki riwayat roiyat baari ka isbat karti hai. Aur Hazrat Aisha رضي الله عنهاwagaira ki riwayat roiyat ki nafi karti hai. Aur jab masbat aur manfi riwayat mein taaruz ho to masbat riwayat ko manfi par tarji di jati hai. Hasil behes yeh hai ki aqsar ulema ke nazdeek raj’ae yeh hai ki shab e meraj Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne sar ki ankhon se apne Rab tabarak wa taala ko dekha hai.

Aur Hazrat Aisha رضي الله عنها ne kisi hadees ki bina par roiyat ka inkar nahi kiya agar is silsile mein unke paas koi hadees hoti to iska zikr karti Hazrat Aisha رضي الله عنها ne is masle ka Quran e majeed ki ayat se istimbaat kiya hai. Iske jawab ko hum wazeeh karte hai.

Allah taala ka irshad hai “Nigahe uska idrak nahi kar sakti aur woh sab ankhon ka idrak karta hai”  (Surah Anam, 103)

Iska jawab yeh hai ki kyuki idrak se murad ehata hai aur Allah Ta’la ka ehata nahi kiya ja sakta. Aur jab Quran e majeed mein ehata ki nafi ki gayi hai to is se bagair ehata ke roiyat ki nafi lazim nahi aati.

● ALLAMA SUYUTI SHAFAI LIKHTE HAI:

Aksar ulema ke nazdeek raajae yeh hai ke Shab e Meraj Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Apne Rab ko apne sar ki ankhon se dekha hai. Jaisa ki Hazrat Ibne Abbas رضي الله تعالى عنهwagaira ki hadees mein hai aur is cheez ka isbaat Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se sama ke bagair mumkin nahi hai. Hazrat Aisha رضي الله عنهاne jo kaha hai ki Aap ُ علیہِ و آلہِ وسلمِne Allah Ta’ala ko nahi dekha to unhone Rasulallahصلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki kisi hadees par iski buniyaad nahi rakhi. Unka istedlal Quran e majeed ki ayat se hai aur uska jawab yeh hai ki Quran e majeed mein jis idraak ki nafi hai woh idraak ala wajeh ul ehaata hai aur Allah Ta’ala ka ehaata nahi kiya ja sakta. Aur jab Quran e majeed mein ehaata e rooyat ki nafi ki gayi hai to usse bila ehaata e rooyat ki nafi lazim nahi aati.

[●ALLAMA JALALUDDIN SUYUTI SHAFAI, AL DIBAJ AL SAHIH MUSLIM BIN HIJAJ, JILD 1, PG 247, MATBUA IDARATUL QURAN KARACHI]

● ALLAMA ISMAIL HAQQII HANAFI LIKHTE HAI:

Baaz ulema ne kaha hai ki Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko apni ankhon se dekha hai kyuki Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِne farmaya Allah Ta’ala ne Moosa se kalam kiya aur Mujhe deedar ataa kiya aur baaz ulema ne kaha Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko dil se dekha hai yeh qaul sunnat ke khilaf hai aur mazhab e sahi yeh hai ki Aapصلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apne Rab ko sar ki ankhon se dekha hai.

[● ALLAMA ISMAIL HAQQI HANAFI-ROOHUL BAYAN, JILD 9, PG 222]

Posted in Islamic Articles.