Q 1405. Suraj tulu hote waqt sehri karna kaisa hai?


Quest code (1405)

Asslamualikum
Maulana ek adaban guzarish hai aap sey ek sawal hai

Hadith aur quran ki roshni mai inayat farmaiye ramdan ka roza jo ki farz roze hai seher ka waqt tha ek admi apny tanhai mai tha seher ka waqt beet k 1 ghanta ho chuka tha us shakhs ki ghadi ek ghanta late thi wo khali zehen tha seher karny k baad azaan na sunai dene par baher nikal kar dekha toh suraj tulu horaha tha us k kamre mai suraj ki roshni nahi aati hai kiya woh uski sehri aur roza qabool hogi ?

Posted in Ask ARC Mufti.