Q 1776. Kya advance mein zakat adaa kar sakte hai?

Quest code (1776)

Assalamu alaikum

Hazrat mera sawal ye hai ki

Ek aadmi per zakat farz thi aur wo har saal ramzaan me hisaab karke zakat ada karta tha
Is dauraan uski halat kharab ho gayi aur do teen saal tak zakat nahi diya
Lekin ab uske paas itna paisa hai ke ramzaan me hisab karega to us per zakat farz ho jayegi” lekin agar abhi wo kisi rishte daar ko jisko zaroorat hai zakat advance me dede to kya wo de sakta hai?

Aur kya zakat ka hisaab sirf ramzaan me hi hoga ya uske liye koi aur bhi time hai?

Posted in Ask ARC Mufti.