Q 532. Kya company mein salary par tax se bachne ke liye apne ghar ko rent par dikha kar tax bacha sakte hai aur Bank account mein milne wale interest ko le sakte hai?

Quest code (532)

ASSALAAMO ALAIKUM..

HUZUR EK SAWAL HAI…

Mai 1 company me job karta hun or company se hone wali aamadni par employees ko sarkar ki traf se kuch tax nafiz hota hai employees ki salary k hisaab se….

Us tax ko bachane k lye bht saare options available hai jaise ki koi investment show karna, kisi bhi bank me Fixed Deposit account banana or insurance lena, house rent k papers dikhana or medical ki bills wagaira show karna etc….

Sawal ye hai ki Mai jis ghar me rehta hun woh mere waalid k naam par hai or mjhe ghar me monthly kuch kharche dene padte hai….

Kya mai us kharche me se kuch raqam house rent k taur par dekar, rent k papers bana kar uspar apne waalid ki signature lekar, agar company me show karo take mjh par se tax ka bojh kam ho jaye to kya hukme shara hai hazrat rehnumayee farmaye….

Second question(02)

Bank k account k paise par milne wala interest kisi soorat me jayez hota hai ya nahi????

As a security bond, kuch paise bank me FD – Fixed Deposit k taur pr 3 saal k lye rakhe gaye hai….

Kya us FD par milne wala interest kisi soorat me jayez hai ya nahi???

Agar nahi to us interest se haasil hone wale paise ka sahi istemaal kya hoga huzoor rehnumayee farmaye….

JAZAKALLAH

Posted in Ask ARC Mufti.