Q 658. Kya sarkari zameen par masjid ka gate bana sakte hai?

Quest code (658)

Assalamualaikum
Hazrat Ek zaroori masala darpesh hai
Hamare masjid ka gate khasta halat me tha jis ko mismar karke naya tameer kiya ja raha hai .
Barabar me gali hai gali ke log keh rahye hai ki gali ka kuch hissa kabza kar ke gate ko chouda kar lo {matlab sarkari zamin kabza lo hume koi shikayat nhi hogi} sawal ye hai ke ye sab karna kaisa hai aur shariyat ka kya hukm hoga logo ka kehna aaj kal kon murtiyo ki sunta hai ,aisa kar lo , …. Is par shariyat ka kya huqm hoga. Aksar zyadatar log kabza karna theek samajhte hai is ka kya hukm hoga…

Posted in Ask ARC Mufti.