Q 662. Agar kisi wahabi ne kisi Sunni ki Namaz e Janaza padhayi ho to kya uske dafan ke baad uski qabr par dobara koi Sunni Namaz e Janaza padha sakta hai?

Quest code (662)

Naved Raza:
السلام عليكم و رحمه الله و بركاته
Ek sawal hai
ek bhai ka inteqal hua sunni the wo Unki ammi bhi sunni thi Abba wahabi the
Ab Uska namaze janaza uske abba ke dost ne padhay abba ke hukm pe
Piche muqtadi sunni wahabi dono they.
Tadfeen ki gayi fatiha bhi padhaa gaya.
Ab chunki wahabi ki imamat me padhayi gayi namaze janaza toh hui hi nahi ye soch 4-5 sunni bhai ne marhoom ke mamu se ijazat le kar dusri baar namaze janaza padhi ab halat ye thi ki mayyat qabr ke andar mitti daaldi gayi fir ye namaz padhey puri tadfeen mukammal , fatiha hone k baad.
Aisa karna kaisa ispe kya hukm hoga?
Namaz e janaza farz e kifaya tha ye soch ke dusri baar padhayi gayi.
Pehli Baar mein wahabi ki imamat hui thi isliye
Farze kifaya ki adaygi hogayi mayyat qabr ke andar thi?
Kya sharai hukm hoga.
Rehnumai karey ye amal hochuka abb log geebat bad gumani kar rahey hai jisne dobara ye namaz padhi uss par dalail se masala hal kijiye
Shukran Jazakallah

Posted in Ask ARC Mufti.