Q 866. Photo banane par shariat ka kya hukm hai? Gusl karte waqt paani balti mein tapak jaaye to kya woh paak hai? Qible kintaraf rukh karke ya peet de kar gusl karna kaisa hai? Asr mein buland awaz se qirat kyu nahi karte hai aur imam ke peeche qirat karne wale par kya hukm hai?

Quest code (866)

Mera 1 sawal hai jab hadith paak mein hai ki photo banana haram hai photo jis ghar me hoti hain wahan rehmat ke farishte nahi aate to jo log apne peer.o.murshid ki tasveer ghar me rakhte hai ya phir koi tasveer la kar rakh dete hai jis me buzurg ya bacha ya bachi dua mang rahe hote hai? To ausa karna kesa hai? Ye bhi to tasweer hai na to inkè h0ne se bhi farishte dakhil nahi hote honge na? Rehnumayi karen

Ek aur sawal jab ghusl kiya jata hai to pani ko jism par 3 baar dalte hai par agar pehli baar pani dala jae aur uske qatrat pani me gir gaye to kia pani paak rahega ya na.pak ho jaega? gusl ada hoga ki nahu? Waise to qibla rukh aur peith nahi karna chahye agar gusl karne ki jagah aesi ho ki qibla rukh ya peith ho jaye to gusal ada hoga k nahe? Rehnumayi karen

Mera 1 aur sawal hai Asar ki namaz me imam sahab loud awaz me tilawat Kyu nahi karte?

Ek aur sawal jab Huzur paak sallalaho alaihe wassalam ki hadith paak hai ki jo koi imam k peche qirat pdhta hai to mera dil karta hai ki mein aag ke dehekte huye angaare uske munh me dal du? To phir log imam ke peche tilawat kyu karte hain? Aise halat me phur kya hukm hai?

Posted in Ask ARC Mufti.