Q 965. Kya Abu Talib ko “Hazrat” Abu Talib keh kar pukaarna jaiz hai?

Quest code (965)

Kya farmate hai Ulema e Deen wa Muftiyaan e sharie mateen is Masla e Zail mein ki Abu Talib ke Imaan par ulema e Ahle sunnat mein ikhtilaaf hai. Jo Musalmaan samajhte hai woh Hazrat Abu Talub ka naam adab se lete hai magar jo unke imaan ke qaail nahi aur Abu Talib ko kafir samajhte hai to bilfarz agar unko kafir maan bhi le to kya unka zikr adab se karna sahih hai ya nahi? Yaani Abu Talib ko “Hazrat” Abu Talib keh sakte hai ya nahi?

Mudallal wa tafseeli ba-hawala jawab inayat farmaye.

Posted in Ask ARC Mufti.