Aqeeqah

Aqeeqah karna Sunnat hai. Bacha paida hone ke shukriya mein jo Janwar zabah kiya jata hai usse Aqeeqah kehte hai.

HADITH:

Habiba binte Maisara ne Hazrat Umme Kurzi Kabiya رضي الله عنها se riwayat hai ki maine Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ko farmate huwe suna ki Ladke ki taraf se 2 bakriya jo kifayat (mukafi’ataan) karne wali ho aur ladki ki taraf se ek bakri hai. Imam Abu Dawood ne farmaya ki maine Imam Ahmed se suna ko mukafi’ataan se muraad hai ko dono barabar ya qareeb ul umr ho.

[● SUNAN ABU DAWOOD, BAAB FIL AQEEQAH, JILD 2]

Aur Sunan Abu Dawood hi ki hadith jo Siba bin Thabit رضي الله تعالى عنه se riwayat hai ki Hazrat Umme Kurzi رضي الله عنها ne farmaya: ” (Qurbani ka jaanwar) Nar ho ya maada ye baat tumhe koi nuqsaan nahi degi.” (Yaani Bakra zabah karo ya bakri)

[● SUNAN ABU DAWOOD, BAAB FIL AQEEQAH, JILD 2]

🔸MASLA 1:
Aqeeqah Saatwe (7th) din karna behtar hai. Agar Saatwe din na kar sake to jab mayassar ho kare. Sunnat adaa ho jaayegi.

🔸MASLA 2:
Ladke ki taraf se 2 bakre aur Ladki ki taraf se 1 bakra zabah kiya jaaye.

🔸MASLA 3:
Agar Gaai ya bhes zabah kare to ladke ke taraf se 2 hisse aur Ladki ke taraf se 1 hissa kaafi hai.

🔸MASLA 4:
Agar ladke ladki dono ke taraf se Ek Ek bakra, ya gaai ke saath hisso mein ek ek hissa bhi daal diya jaaye to jaiz hai.

🔸MASLA 5:
Aqeeqeh ka gosht behtar ye hai ki 3 hisse kiye jaaye. Ek gareebo ke liye, ek rishtedaaro ke liye aur ek apne liye. Taahum zaroorat ho to apne liye zyada bhi rakh sakte hai. Aur agar zaroorat kam hai to apna hissa bhi dusro ko de sakte hai. Agar sab sadqa karde to bhi jaiz hai aur saara gosht apne liye rakh le to bhi jaiz hai. Magar dusro ko khilana aur un par sadqa karna afzal hai.

🔸MASLA 6:
Aqeeqeh ka gosht fakeero, ristedaaro aur doosto mein kacha ya pakakar taqseem kiya jaaye ya bataur ziyafat dawat kiya jaaye sab soorate jaiz hai.

🔸MASLA 7:
Aqeeqe ka gosht Maa, Baap, Dada, Dadi sab kha sakte hai.

🔸MASLA 8:
Aqeeqe ke mauqe par kisiki saalgira, nikah, mangni wagairah ke programme bhi bana le aur aqeeqe ka gosht us mein shamil karna chahe to jaiz hai.

LADKE KE AQEEQE KI DUA:

اَللّٰھُمَّ ھٰذِہُُِ عَقِیْقَةُ اِبْنِیْ —-(Yahan par ladke ka naam liya jaaye) ۔۔۔۔ دَمُھَا بِدَمِهِ وَ لَحْمُھَا بِلَحْمِهِ وَ عَظْمُھَا بِعَظْمِهِ وَجِلْدُھَا بِجِلْدِهِ وَشَعْرُھَا بِشَعْرِهِ اَللّٰھُمَّ اجْعَلْھَا فِدَآءًلِاِبْنِی مِنَ النَّار بِسْمِ اَللّٰهِ اَللّٰهُ اَکْبَرْ

” Allahumma hazihi aqeeqatu ibni (yahan par ladke ka naam liya jaaye) damuha bi damihi wa lahmuhaa bi lahmihi wa azmuhaa bi azmihi wa jilduhaa wa jildihi wa sha’aruhaa wa sha’arihi Allahumaj al haa fi daa an li ibni minan naar. Bismillah hi Allah hu Akbar”

TARJAMA:
Aye Allah! Ye mere falah bete ka aqeeqah hai. Iska khoon iske khoon, iska gosht iske gosht, iski haddi iske haddi, iska chamda iske chamde aur iske baal iske baal ke badle mein hai. Aye Allah! Isko mere bete ke liye jahannam ki aag se fidiya bana de. Allah ke naam se, Allah sab se bada hai.

LADKI KE AQEEQE KI DUA:

اَللّٰھُمَّ ھٰذِہُُِ عَقِیْقَةُ بِنْتِی….. (Yahan par ladki ka naam liya jaaye )….. دَمُھَا بِدَمِھَا وَ لَحْمُھَا بِلَحْمِھَا وَ عَظْمُھَا بِعَظْمِھَا وَجِلْدُھَا بِجِلْدِھَا وَشَعْرُھَا بِشَعْرِھَا اَللّٰھُمَّ اجْعَلْھَا فِدَآءً لِّبِنْتِیْ مِنَ النَّار بِسْمِ اَللّٰهِ اَللّٰهُ اَکْبَرْ

” Allahuma haa zihi aqeeqa’tu binti (yahan ladki ka naam liya jaaye) damuha bi damihaa wa lahmuhaa bi lahmihaa wa azmuhaa bi azmihaa wa jilduhaa wa jildihaa wa sha’aruhaa wa sha’arihaa Allahumaj al haa fi daa ‘a li binti minan naar. Bismillah hi Allah hu Akbar”

TARJAMA:
Aye Allah! Ye meri falah beti ka aqeeqah hai. Iska khoon iske khoon, iska gosht iske gosht, iski haddi iske haddi, iska chamda iske chamde aur iske baal iske baal ke badle mein hai. Aye Allah! Isko meri beti ke liye jahannam ki aag se fidiya bana de. Allah ke naam se, Allah sab se bada hai.

NOTE: Agar Dua yaad nahi ho ya Dua nahi padha phir bhi Aqeeqah ho jaayega. Sirf “Bismillah Allahu Akbar” keh kar zabah kar de.

¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE ® – MUMBAI

Posted in Islamic Articles.