Q 1360. Quran ki ayat “walao anna hum iz’zalamu an fusahum ولو انھم اذ ظلموا انفسھم جاءوک ” mein jo wasile ka hukm hai woh munafiqo ke liye tha ya musalmaano ke liye?

Quest code (1360)

Kuch Maah Qabl main Madeena Tayyaba mein Baargahe Risalat mein maujud tha,

Jaise ke aap sab jaante hain ke wahan wahabi mutawwo se aksar sunniyo ki bahes hoti hai. Sehen e Masjid mein ek wahabi bahes kar raha tha, sunni ne jab daleel di ke quran mein Allah ne khud (Jaooka)
ولو انھم اذ ظلموا انفسھم جاءوک
kehke ye farmaya hai ke Aye mehboob jo log apni jaano pe zulm kare wo tere huzoor hazir ho aur tum unki shafaat talab karo toh Allah ko madadgar paayenge. Iss par wahabi ka jawab tha ke ye aayat munafiqon ke liye thi naa ke musalmano ke liye. Baraahe karam wazeh karden ke kya jis aayat mein munafiqo ke liye hukm ho uss par musalman amal nahi kar sakte?

Name Syed Khusro pasha
Location Aland Karnataka

Posted in Ask ARC Mufti.