Namaz ka Sunnat Tareeqa

NAMAZ QAYAM KARNE KA EK PRACTICAL NUSKHA

“Sirf Ek Mahina Namaz ko qayam rakhiye. Kuch bhi ho jaaye, train chhut ti hai chhut jaaye, Gadi chhut ti hai chhut jaaye, kuch bhi ho jaaye lekin Namaz mat chhodiye. Ek Mahina is par qayam rahiye. Phir Ek mahine ke baad Namaz khud hi Aap ko nahi chhodegi.”
– QUAID E MILLAT HAZRAT SYED MAHMOOD ASHRAF ASHRAFI AL JILANI

NAMAZ ADAA KARNE KA SUNNAT TAREEQA

HADITH: Hazrat Malik bin Huwairis رضی اللہ عنہ se riwayat hai ki Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya: ” Aur Jis tarah Tum ne Mujhe Namaz padhte dekha usi tarah Namaz padhna”.
[ SAHIH BUKHARI, KITAB UL AZAAN]

(1) BAA WUDHU HO KAR KISI BHI PAAK JAGAH PAR KAABA SHAREEF (QIBLE) KI TARAF RUKH KARKE KHADE HO JAAYE

HADITH: Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se riwayat hai : Rasulullah ﷺ ne farmaya, “Jab tum Namaz ke liye khade huwa karo to poori tarah Wudhu kiya karo, Phir Qible ki taraf rukh karke takbeer kaha karo”
[ SAHIH BUKHARI, KITAB UL ISTIZAAN, HADITH NO 6251]

APNE KAPDO KO NA MODE

❌ Shirt ya kurte ki aastin ko na mode

❌ Paijama ya pant ko neeche se na mode

❌ Shirt ko Inn na kare

HADITH: Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہ Nabi e Kareem ﷺ se riwayat karte hai ki Aap ﷺ ne hame hukm diya hai ki hum saat haddion pe sajda kare aur ( bahalate namaz) kapde ko na mode aur baalo ko na bandhe.
[ SAHIH BUKHARI, KITAB UL AZAAN, BAABO SUJUDE ALA SABATE AAZUM, HADITH NO 770]

KHULE SAR NAMAZ NA PADHE BALKI TOPI YA IMAAMA PEHEN KAR NAMAZ PADHE KI YE SUNNAT HAI.

HADITH: Hazrat wail bin hujr رضی اللہ عنہ se marwi hai,unho ne farmaya maine Rasulullah ﷺ ko dekha, Aap ne namaz shuru ki to hatho ko shano ke muqabil uthaya.Phir main ayinda saal ayaa to dekha sahaba hatho ko uthate the aur woh topi pahne huwe hote the.
[Al Sunan ul Kubra lil baihaqi, vo1, Pg 373]

TAWAJJUH: Gaflat ya fashion ke taur parnange sar namaz padhna khilafe sunnat o khilafe adab hai, is masle ki puri tahqeeq o tafseel dekhni ho to ahle sunnat research centre ki kitab “NANGE SAR NAMAZ PADHNA KAISA ?” ka mutaala karen)

❌ Pairo ko khoob faila kar na rakhe

HADITH: Hazrat Anas bin Malik رضی اللہ عنہ se marwi hai ki Rasulullah ﷺ jab namaz ke liye khade hote the to logo ki taraf mutawajjeh ho kar ye farmate the “Etedal ikhtiyar karo. Safo ko sidhi rakho
[ SAHIH IBNE HIBBAN, 5/542]

FAIDA: Sahih Hadith me Namaz ke arkan me etedal ikhtiyar karne ka hukm diya gaya hai. jis tarah ruku me etedal ikhteyar karne ka matlab ye hai ki peeth ko khub na jhukaya jaye na upar uthakar rakha jaye aur sajde me etedal ka matlab ye hai ki bazuo ko kutte ki tarah phailakar zamin pe na bichhaya jaye usi tarah qiyam me etedal ka matlab ye hoga ki jis trah admi etedal ki halat me kisi ke samne moaddab hokar khada hota hai to aam taur par tango ko khub phailakar khada nahi hota balki sadol hokar khada hota hai to dono pairo ke bich me 4 ya 5 unglio ka fasla rahta hai. Lihaza Namaz me bhi isi tarah etedal ke sath khada hona chahiye.

✅ Dono Pairo ke darmiyaan 4 ya 5 ungli ya kuch zyada doori rakhe

❌ Qadmo ko daayi baayi taraf khol kar na rakhe

✅ Qadmo ko Seedha qible ki taraf rakhe

(2) AB ZABAAN SE DIL KI NIYAT KO DOHRAYE AUR IS TARAH NIYAT KARE. MASLAN

NIYAT KE ALFAAZ:
Niyat ki maine 2 rakat farz, Namaz Fajr ki. Waaste Allah Ta’ala ke, Rukh mera Kaaba Sharif ki taraf

NOTE : AGAR JAMAT SE NAMAZ PADHE TO NIYAT MEIN IN ALFAAZ KA IZAFA KARE : “IQTIDA ME IS IMAM KE”

NIYAT KE ALFAAZ ZABAAN SE ADAA KARNA FARZ YA WAJIB NAHI BALKI MUSTAHAB HAI

HADITH:
Hazrat Jabir se Nabi e Kareem ﷺ ne puchha tum ne haj farz karne ke liye kya kaha? Hazrat Jabir رضی اللہ عنہ ne kaha ki maine kaha ki maine ye alfaz kahe: “Aye Allah maine usi ka ehram bandha jiska tere Rasool ﷺ ne ehram banda hai
[SAHIH MUSLIM, JILD 2, PG 886]

Imama e Aazam Abu Hanifa, Imam Malik ,Imam Ahmad bin Hambal , Imam Shafai ke nazdik zaban se niyat ke alfaaz ada karna afzal o mustahab hai.
[ AL MUDAWWANA ,2/286; AL BAYAN FI MAZHABI’ SHAFAI , 1/101, ASNAL MATALIB 1/141, AS SHARAH UL KABIR, 1/493]

Ahle hadees Gair Muqallid Aalim bin Baaz ne apni kitab Tohfatul Ikhwan 1/263 me likha hai ki niyat ka mahal dil hai lekin zaban se niyat ke alfaz kahna mustahab hai.

(3) AB ” ALLAH HU AKBAR اَکبَر اَللہُ ” KEHTE HUWE

DONO HAATHO KO IS TARAH KAANDHO TAK UTHAYE KI HATHELION KA RUKH QIBLA KI TARAF HO AUR DONO HATH KE ANGOTHE KAANO KI LOU KE MUQABIL HO IS TARAH KAANO TAK UTHAE

HADITH:
Hazrat Malik bin Huwairis رضی اللہ عنہ se marwi hai ki Rasulullah ﷺ jab Allahu Akbar kahte to dono hathon ko kaano ke muqabil uthate the

[ SAHIH MUSLIM, 1/293)

❌ Haatho ki ungliyo ko is tarah na moode (photo)

✅ Tamaam ungliyo ko is tarah khuli huwi rakhe (photo)

❌ Hatheli ko is tarah kaano se laga kar na rakhe (photo)

✅ Hatheli ke rukh bilkul saamne yaani qible ki taraf ho. (photo)

(4) AB DONO HAATHO KO NAAF KE NEECHE BAANDH LE

HADITH: Hazrat Ali ibne Abi Talib رضی اللہ عنہ ne farmaya: “Namaz mein (dahini) Hatheli ko (bayin) hatheli par rakh kar naaf ke neeche rakhna Sunnat hai.”
(SUNAN ABU DAWOOD, BAAB WAZ’A AL YAMNI ALAA YUSRA FI AL SALAAH, 1/201, HADITH: 756)

❌ Anguthe aur chaaro ungliyo se is tarah na padke (photo)

✅ Daaye haath ki Teen ungliyaan baaye haath ki kalaayi ke upar rakhe aur anguthe aur choti ungli ko kalaayi ke upar aur neeche rakh kar kalayi ko pakde. (photo)

❌ Nazar saamne na rahe

Nazar sajda gaah ki taraf jamaye rakhe

(5) AB SANA PADHE. (SANA PADHNA SUNNAT HAI)

SANA YE HAI ( سبحانک اللھم وبک حمدک وتبارکسمک وتعالی جدک ولاالہ غیرک)
Sana ke baad tawwuz aur tasmiya yaani
بِاللہِ مِنَ الشَّیطَانِ الرَّجِیمِ أَعُوْذُ AUR الرَّحِيۡمِ الرَّحۡمٰنِ اللهِ بِسۡمِ PADHE
Uske baad surah fatiha padhe aur quran ki koi bhi chhoti surah ya teen chhoti ayaat ya ek badi ayat pafhe.
Muqtadi Mazhabe Hanafi ka muqallid ho to Imam ke peeche Qirat yaani Surah fatiha aur uske baad surah ki tilawat na kare

Allah Ta’ala Quran e Hakim, Surat ul Aaraf, Ayat no 204 me farmata hai:

TARJAMA: “Aur jab Quraan padha jaye to use kaan laga kar suno aur khamosh raho ki Tum par rehem ho”.

Imam Bagwi ne likha hai ki Hazrat Hasan Basri, Imam Zuhri aur Imam Nakhai ka qaul hai ki ye ayat qirat khalfal Imam ke bare me hai “ki imam qirat kare to muqtadi khamushi se sune” [ TAFSEER E MAZHARI 3/448]

HADITH:
Hazrat Jabir رضی اللہ عنہ se marwi hai ki Rasulullah ﷺ ne farmaya: Jiska Imam ho to Imam ki qiraat muqtadi ke liye kafi hai [ SUNAN IBNE MAJAH, 1/277)

HANAFI HAZRAT IMAM KE PEECHE SURAH FATIHA KE BAAD AAMEEN BULAND AAWAAZ SE NA KAHE KI AAHISTA AAMEEN KEHNA AFZAL HAI.

AAMEEN AAHISTA KAHE

HADITH: Hazrat Waail رضی اللہ عنہ ne Nabi e Kareem ﷺ ke saath Namaz padhi. Jab Huzoor ﷺ ne “غَیۡرِالۡمَغۡضُوۡبِ عَلَیۡھِمۡ وَلاَالضَّاۡلِّیۡنَ
” kaha to Past Awaaz (halki awaaz) mein Aameen kahi.
[ MUSTADRAK ALA SAHIHAIN, 2/253, KITAB QIRA’ATUN NABI ﷺ]

Imam Hakim ne is hadith ke talluq se farmaya ki “Ye hadith Shart e Bukhari wa Muslim par Sahih hai aur Bukhari wa Muslim ne iski takhreej nahi ki aur Allama Zahbi ne apni taaliqat mein farmaya ki Ye hadith Bukhari wa Muslim ki shart par hai.

(6) AB “ALLAH HU AKBAR اَکبَر اَللہُ ” KEHTE HUWE BAGAIR HAATHO KO UTHAYE RUKOO MEIN JAAYE.

NOTE: (SHAFAI HAZRAT HATHO KO UTHAE)

HADITH: Hazrat Abdullah Ibn Masood رضی اللہ عنہ ne farmaya ki kya main tumko Allah ke Rasool ﷺ ki namaz padh kar na dikhaun. Phir unhone namaz padhi aur takbire tahrima ke alawa kahin pe rafa yadain nahi kiya.(hathon ko nahi uthaya)

● MUSNNAF IBNE ABI SHAIBA, 1/213, HADITH NO 2441;
● SUNAN ABU DAWOOD, 1/199, HADITH NO 748;
● SUNAN NASAI, 2/182, HADITH NO 1026-1058;

❌ Rukoo mein dono haatho se raan ko na pakde

✅ Dono haatho ko ghutno par rakhe

❌ Peeth aur sar ko is tarah upar utha kar na rakhe (photo)

❌ Sar ko is tarah neeche bhi na jukaye (photo)

✅ Peeth aur sar dono ko bilkul seedha barabar rakhe (photo)

AB KAM SE KAM 3 MARTABA YA 5 MARTABA YA 7 MARTABA YE TASBEEH PADHE

رَبِّـيَ العَظِیۡمِ سُبْـحانَ

“SUBHAANA RABIYAL AZEEM”

(7) AB RUKOO SE SAR UTHAYE AUR BILKUL SEEDHA KHADA HO JAAYE. AUR DONO HAATH KO NA UTHAYE(shafei mazhab wale uthaye)

❌ RUKOO SE UTHNE KE BAAD HAATHO KO NA UTHAYE

HADITH: Hazrat Abu Hanifa رضی اللہ عنہ. farmate hai ki Imam Shabi رضی اللہ عنہ . ye farmate the ki maine Hazrat Bara bin Aazib رضی اللہ عنہ. ko ye farmate huwe suna ki Rasulallah ﷺ jab Namaz shuru karte the to dono haatho ko utha kar apne dono kaandho ke muqabil le jaate the aur Salam pherne tak dobara apne haatho ko NAHI uthate the.

● MUSNAD ABU NUAIM, PG 156;
● MUSNAD AHMED BIN HANBAL, 4/301;
● SUNAN NASAI, 2/195;
● SUNAN ABU DAWOOD, 1/281, HADITH 750;
● MUSANNAF IBN ABI SHAIBA, 1/264;

RUKOO SE SAR UTHATE HUYE KAHE “SAMIALLAH HULIMAN HAMIDA, RABBANA WA LAKAL HAMD”سَمِعَ اللہُ لِمَن حَمِدَہٗ رَبَّنَاوَلَکَ الحَمدُ

(8) AB BAGAIR HAATHO KO UTHAYE ” ALLAHU AKBAR اَللہُ اَکۡبَرُ” KEHTE HUWE SAJDE MEIN JAAYE

❌ Sajde mein jaate waqt pehle haatho ko zameen par aur baad mein ghutno ko na rakhe (PHOTO)

✅ Sajde mein jaate waqt pehle ghutno ko zameen par rakhe phir haatho ko rakhe (PHOTO)

HADITH: Shuraik ne Asim ibn Kulaib ke waalid se riwayat kiya ki Hazrat Waail ibn Hujr رضی اللہ عنہ ne farmaya ki maine Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ko dekha Jab Sajda karte to Apne Ghutno ko Haatho se pehle rakhte aur Jab uthte to haatho ko ghutno se pehle utha lete.”
[● Sunan Abu Dawood, jild 1, pg 332, Kitab us Salaat, Baab – Kaifa yada’au ruk batay qabl yaday]

Ibn e Qayyim (Ibne Taymiyyah ke shagird) kehte hai: “Jab Rasulallah ﷺ Namaz padhte, to apne haatho se pehle apne dono ghutno ko zameen par rakhte aur phir haath rakhte, phir peshani (forhead) aur Naak (nose), Yahi Sahih hai.

(9) HAATHO KE BAAD PEHLE NAAK PHIR PESHANI KO ZAMEEN SE LAGAYE (PHOTO)

❌ Pairo ki ungliyo ko is tarah hawa mein zameen se upar utha kar na rakhe (PHOTO)

✅ Pairo ke Anguthe aur kam se kam 2 ungliyaan (anguthe milakar 3) zameen se is tarah daba kar rakeh. Pancho ungliyon k pet ko zameen se lagana mustahab hai. (PHOTO)

❌ Dono haatho ko is tarah pehlu se mila kar na rakhe (PHOTO)

DONON HATHON KO IS TARAH NA BICHHAYE (PHOTO)
HATHON KO AISE ZAMIN PE RAKHE(PHOTO)
❌ Aurhatho ko kaano ya kaandho se zyada neeche na rakhe(PHOTO)

✅ Dono haatho ko kaandho yakaano ke barabar rakhe (PHOTO)

❌ Dono pairo ki pindli ko rano chipka kar sajda na kare (photo)
IS TARAH SAJDA KARE(PHOTO)

✅ Dono QADMO KI PUSHT KO ZAMIN SE LAGAKAR SAJDA NAKARE (PHOTO)
DONO QADMO KE PANJE KO ZAMIN SE TIKAKAR IS TARAH SAJDA KARE (PHOTO)
SAJDE ME 3 MARTABA, YA 5 YA 7 MARTABA YE TASBEEH PADHE

سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلَى

” SUBHAANA RABIYAL A’ALA”

AB SAJDE SE SAR UTHAYE. PEHLE PESHANI KO UTHAYE PHIR NAAKH KO AUR DONO HAATHO KI HATHELIYO KO APNI RAANO PAR RAKHE AUR KAM SE KAM EK TASBEEH KI
MIQDAAR BAITHE RAHE DO SAJDO K BICH WALI BAITHAK KO JALSA KAHTE HAI(PHOTO)

HADITH: Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se marwi hai ki Rasoolullah ﷺ ne ek admi ko namaz ka tariqa sikhate huye farmaya ki phir sajda karo itminan se phir sajde ke baad itminan se baitho۔
( SAHIH BUKHARI,1.109)

❌ Pairo ke dono panjo ko utha kar is tarah na rakhe (photo)

❌ Dono pairo ke panjo ko ek dusre ke upar bhi na rakhe(PHOTO)

✅ Daaye pair ke panje ko utha kar daayi sureen ke neeche rakhe aur baaye pair ko bicha kar baayi sureen ke neeche is tarah rakhe (photo)

❌ Daaye pair ki ungliyo ko is tarah ulta daba kar na rakhe(PHOTO)

✅ Kam se kam 3 ungli anguthe samait is tarah mod kar rakhe(PHOTO)

Ab phir ALLAHU AKBAR kahte huye Sajde mein jaaye..

SAJDE ME 3 MARTABA, YA 5 YA 7 MARTABA YE TASBEEH PADHE

سُبْحَانَ رَبِّيَ الْأَعْلَى
” SUBHAANA RABIYAL A’ALA”

(10) Ab ” allahu akbar اَللہُ اَکبَر ” kehte huwe sajde se sar is tarah uthaye ke pehle peshani , phir naakh uske baad haatho ko uthaye aur aakhir mein ghutno ko uthaye aur dusri rakat ke liye khade ho jaaye

❌ Haatho se pehle ghutno ko Na uthaye(PHOTO)

✅ Ghutno se pehle haatho ko uthaye(PHOTO)

HADITH:
Hazrat Ali ibne Abi Talib رضی اللہ عنہ se riwayat hai apne farmaya farz namaz me sunnat ye hai ki dusri rakat ke liye uthte waqt zamin pe hath na teke magar ye ki mazur shaikh ho.
[ MUSANNAF IBNE ABI SHAIBA, 1/347)

(11) Ab allahu akbar kahte huye dusri rakat ke liye khade ho jaaye aur waise hi padhe jaise pehli rakat padhi thi.

❌ Dusri rakat mein Sana na padhe

AB DUSRI RAKAT MUKAMMAL KARE JAISE PEHLI RAKAT ADAA KI THI AUR DONO SAJDO KE BAAD BAITH JAAYE.

(12) Dusri rakat mein baithne ko qadah kehte hai.

❌ Jab qadah mein baithe to dono haatho ke panje se is tarah ghutno ko na pakde aur Na ungliyo ko neeche ki taraf latka kar rakhe (photo)

❌ Dono haatho ki hatheli ko is tarah itna upar bhi na rakhe(photo)

✅ Dono hatheli is tarah raan par rakhe (photo)

❌ Nigaahe Saamne na rakhe

✅ Qada me Nigaahe apni god pe rakhe

MULAHAZA: musalli qiyam me sajdagah ki taraf,ruku me qadam ki taraf,sajde me naak ki taraf,qada me goud ki taraf nazar jamaye .(sajdagah me nazar rakhna bhi aadab ke
khilaf nahi)

Ab poora attahiyaat padhe aur jab “ashado allah ilaaha”اَشھَدُ اَنَّ لَااِلٰہَ اِلاَّ اللہُ kahe to apni ungliyo se mutthi bana le aur kalme ki ungli se is tarah ishara kare aur jab “illallah”الا اللہ par pohche to kalme ki ungli ko gira de aur uglion ko khol de aur jaise haatho ki pehle haalat thi ussi halat mein rakhe yaani hatheli ko raan par khol kar rakh de aur “wa ashado anna muhammadan ab duhu wa rasooluhu”وَاَشھَدُ اَنَّ مُحَمَّداًعَبدُہٗ وَرَسُولُہٗ padhe

❌ Shahadat (kalme) ki ungli ko is tarah upar neeche na kare aur Na is tarah gol gol ghumaye. Ungli ko harkat dena ya hilate rehna sunnat nahi.

HADITH: Aamir bin Abdullah رضی اللہ عنہ se marwi hai, Unhone Hazrat Abdullah bin Zubair رضی اللہ عنہ se riwayat ki, unhone bayan kiya ki Huzoor ﷺ jab dua farmate (Tashahhud padhte) to ungli se ISHARA farmate aur ungli ko NAHI HILATE THE.
[● SUNAN ABU DAWOOD, BAAB ISHARATU FI TASHAHHUD, 1/260, HADITH 989]

✅ Shahadat ki ungli se sirf ek martaba is tarah isharah kare aur ungli gira kar panje ko khol de

MULAHAZA: TASHAHHUD ME UNGLI HILANA SUNNAT NAHI۔ IS MASALE KI PURI TAHQEEQ JANNA HO TO ARC KI KITAB”TASHAHHUD ME UNGLI HILANA?” KA MUTAALA KARE
ATTAHIYAT KE BAAD DUROOD E EBRAHIMI PADHE AUR DUA E MASOORA PADHE.

AUR PEHLE DAAYI PHIR BAAYI TARAF CHEHRE KO PHER KAR SALAM KARKE AUR IS TARAH KAHE:

وَرَحْمَةُ اللهِ السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ

“AS SALAAMU ALAYKUM WARAHMATULLAH”

AUR NAMAZ KO MUKAMMAL KARE. AGAR 4 RAKAT KI NAMAZ KI NIYAT KI HO TO ATTAHIYAAT PADH KAR TEESRI RAKAT KE LIYE KHADE HO JAAYE.

❌ Salam karte waqt chehre ko is tarah na ghumaye (PHOTO)
salam ke waqt nigah kandhe pe rahe
❌ Aur dono taraf phoonk na maare

✅ Chehre ko thoda daayi taraf aur thoda baayi taraf ghumaye aur salaam kare

 

 

Posted in Islamic Articles.