Wudhu ka Sunnat tareeqa

WUDHU KA BAYAAN

QURAN – Surah Maidah, Ayat no 6:

“Aye Imaan walo! Jab tum Namaz padhne ka iraada karo to apne muh aur haatho ko kuhnion samit dho’o aur saro ka masah karo aur paao ko dho’o”.

HADITH: Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki hadas wale shakhs (be wudhu shaks) ki namaz qabool (sahih) nahi yahan tak ki wudhu kare.

( Sahih Bukhari, Hadith :135)

WUDHU KE 4 FARAIZ HAI:

1. CHEHRE KA DHONA: Chehre ki lambai me peshani ke ibtedai hisse se (yaani jahan se baal jamne ki inteha ho) thuddi ke neeche tak aur chaudai me ek kaan ki lau se dusre kaan ki lau ke darmiyan pure hisse ko dhona farz hai.

2. DONO HAATHO KA KUHNIYO SAMAIT DHONA

3. CHAUTHAYI SAR KA MASSA KARNA

4. PAIRO KA TAKHNO SAMAIT DHONA

NOTE: kisi azu (body parts) ke dhone ka ye matlab hai ki us azu ke har hisse par kam se kam do boondpaani beh jaaye. Bheeg jaane ya tel ki tarah paani mal lene ya ek aadh boond beh jaane ko dhona nahi kahege, na us se wudhu ya gusl adaa hoga. Is masle par tawajjo dena bohot zaroori hai. Agar iska lihaaz na rakha to na tahaarat hogi na Namaz.

WUDHU KA SUNNAT TAREEQA:

Dil mein ye irada kar le ki mein Namaz ya quran ya Allah ki raza ke liye wudhu kar raha hu. Aur “Bismillah” kehte huwe shuru kare

HADITH: Hazrat Abdullah bin Masood رضی اللہ عنہ se marwi hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki jis ne Bismillah padh kar wudhu kia to uska pura jism paak hogaya.
(As’sunan Al kubra-Baihaqi ,Hadith 198)

1. DONO HAATHO KO GATTON TAK DHONA (Sunnat)
Apne dono hatho ko gatto (kalayi) tak 3 martaba is tarah dhoye ki paani ungliyo Ki ghaiyon ke darmiyaan bhi pohunch jaaye.

HADITH: Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ Se marwi hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki jab tum me se koi neend se bedar ho aur wudhu karna chahe to bartan me haath dakhil karne se pahle dono hatho ko dhoye ۔

( SAHIH AL BUKHARI ,HADITH NO 162)

FAIDA: Allama Ibne Hajar Asqalani ne ye likha hai ki neend se bedaar hone ki qaid ittefaqi hai kyu ki sahih riwayato se sabit hai ki Nabi kareem ﷺ aam halat me bhi wudhu karne ke waqt pahle dono hatho ko gatton tak dhote the۔
( Fath ul bari, 1/264)

2. KULLI KARNA (Sunnat)
Phir 3 baar kulli kare, ki har baar muh ke har purze par paani bah jaaye aur garara bhi kare,ki pani halaq tak pahunch jaye

3. NAAK NEIN PAANI CHADHANA (Sunnat)
Phir apne daahine haath se 3 baar Naak ke andar, naak ki jadh tak paani pohchaye aur baaye haath se naak saaf kare.

HADITH: Hazrat Usman Gani رضی اللہ عنہ ne wudhu ka paani mangaya to pahle dono hathelion ko (hathon ko gatton tak) teen baar dhoya phir kulli ki aur naak me pani chadhakar usko saaf kiya teen bar. (SAHIH MUSLIM, 1/204)

4. CHEHRA DHONA (FARZ)
Phir 3 baar poore chehre ko peshani se thuddi tak aur ek kaan se dusre kaan tak dhoye.

5. KUHNIYO SAMAIT DONO HAATH DHONA (FARZ)
Phir apne daahine haath ko kuhniyo samit is tarah dhoye ki koi jagah sukhi na reh jaaye aur har hisse par paani pohach jaaye aur phir baayan haath dhoye. Is tarah 3 baar kare.

6. SAR KA MASAH KARNA (FARZ)
Phir ek martaba hatho ko geela karke sar ke chauthai hisse par masah kare

MASAH KA SUNNAT TAREEQA:

Dono haath ki shahadat ki ungli ke baad wali teen ungliyo ke sire ko ek dusre se milakar unke pet ko sar ke agle hisse se sar ke pichhle hisse (guddi) tak sar ke beech se lejaye. Phir angutha aur shahadat ki ungli ko sar ke baal se alag rakhe phir dono hathili ke andaroni hisse ko sar ke dono hisson dahine aur baaye hisso par pherte huye sar ke agle hisse tak le aaye. Phir shahadat ki dono unglion se kaan ke audroni hisse ka masah kare aur dono anguthe se kaan ke bahri hisse ka masah kare.

7. GARDAN KA MASAH ( MUSTAHAB)
Phir gardan ke upari hisse ka masah ungliyo ki peeth se kare. (Gardan ke andaruni hissa yaani halqum ka masah karna makrooh hai)

HADITH: Hazrat Wail Bin Hujr رضی اللہ عنہ se riwayat hai ki unhone Nabi kareem ﷺ ko dekha ki Aap ne wudhu karte huye apni ungli ko kaan ke andaruni hisse me dakhil kiya aur garden ke upari hisse ka masah kia aur dadhi Mubarak ke andaruni hisse ka masah kia۔
( MUSNAD AL BAZZAR, HADITH: 4488)

8. DONO PAAO TAKHNO SAMAIT DHONA (FARZ)
Aakhir mein dono qadam takhno samait is tarah dhoye ki ungliyo ke beech ke hisse mein bhi paani bah jaaye aur koi hissa sukha na rahe.

ISKE ALAAWA WUDHU KI BAAZ SUNNATE

1. Miswaak karna

HADITH: Hazrat Abu Huraira رضی اللہ عنہ se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya hai ki agar mai apni ummat par bojh na samajhta to unko har wudhu ke waqt miswaak karne ka lazmi hukm deta.Miswaak muh ki taharat ka zariya hai aur Rab ki riza ka sabab hai۔
(SAHIH AL BUKHARI, HADITH:1933)

2. Wudhu ki niyat karna

HADITH: Tamam aamal ke sawab ka dar o madar niyato par hai۔
(SAHIH AL BUKHARI, HADITH:1)

NOTE: Niyat dil ke irade ka naam hai. Wudhu bhi ek nek amal hai. Agar us me hadas dur karne ki niyat ke saath sawab ke husul ki niyat bhi shamil ho to us par sawab bhi hasil hoga. Zaban se niyat ke alfaaz kahna zaruri nahi. Niyat ke izhar ke liye alfaaz bole to koi harj nahi is ke najaiz hone ki Quran o hadith me koi dalil nahi.

3. Aazaye wudhu ko 3 martaba dhona

4. Tarteeb se wudhu karna ( Pahle haath dhona, phir kulli karna, naak me pani chadana, chera dhona, sar ka masah karna, akhir me dono pair dhona)

5. Tamaam aazaa ko dahine taraf se shuru karna

HADITH: Hazrat Aisha siddiqa رضی اللہ عنہ se marwi hai ki Rasoolullah ﷺ juta pahanne, kangha karne, wudhu karne aur tamam kamon me dahine (Right) se shuru karna pasand farmate the۔
( SAHIH AL BUKHARI, HADITH: 168)

NOTE: Upar diye gaye tareeqe mein agar ek bhi farz reh gaya ya theek se adaa na huwa to wudhu na hoga. Agar wudhu ka paani khushk hone se pehle yaad aa jaaye ki falan rukn (farz) reh gaya to us farz ko fauran adaa kar liya jaaye warna phir se wudhu karna laazim hoga.

WUDHU MEIN MAKROOHAAT

1. Paani mein israaf (fuzool kharchi)

HADITH: Hazrat Abdullah Bin Mugaffal رضی اللہ عنہ ne Aap ne walid se riwayat ki hai ki unhon ne Rasooullah ﷺ se suna hai, aapne farmaya ki is ummat me kuch log aise honge jo wudhu aur dua me had se aage badhenge (wudhu me pani ziyada bahayenge aur dua bahut chikh kar chillakar karenge)۔

(SUNAN ABI DAWOOD, HADITH:96)

2. Najis jagah wudhu ka bacha huwa paani girana

HADITH: Hazrat Maula Ali رضی اللہ عنہ se marwi hai apne wudhu se farig hone ke bad wudhu ke bache huye paani ko khade hokar piya aur farmaya ki maine chaha ki tumko bataun ki Huzur Nabi kareem ﷺ kis tarah wudhu farmate the. ( SUNAN AL TIRMIZI, HADITH:48)

FAIDA: maloom huwa ki wudhu ka bacha huwa pani ba-barkat aur qabile tazim hai, is liye usko khde hokar piya jaye ya pak jagah me dala jaye.

3. Chehre par paani ko maarna

HADITH: Hazrat Jabir bin Abdullah رضی اللہ عنہ se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne chehre pe (Paani) marne se mana farmaya hai۔

(AL AADAB LILBAIHAQI, HADITH: 637)

FAIDA: Chehra jism ka sab se ashraf azu hai us par zarb chahe pani ki ho khilafe adab hai us pe narmi se pani bahana chahiye.

4. Duniyawi baat cheet karna

5. Gale (halqoom) ka masah karna

6. Baaye haath se kulli karna ya naak mein paani daalna

7. Daahine haath se naak saaf karna

8. Bila uzr dusre se madad lena

9. Naye paani se teen martaba masah karna (yaani har martaba ke masah ke liye naya paani lena)

WUDHU TODNE WALI CHEEZE

1. Pakhana, peshab, wadi, mazi, Mani, keeda, patri mard ya aurat ke aage ya peeche se nikle wudhu jaata rahega.

2. Peeche ke maqaam se hawa kharij huwi wudhu jaata raha.

3. Har Na-paaki jo sabilain (mard aur aurat ke aage aur peeche ke maqaam) ke alaawa badan ke kisi hisse se nikal kar beh jaye maslan khoon, peep badan ke kisi hisse se nikal kar apni jagah se bah jaye.

HADITH: Hazrat Ibne Umar رضی اللہ عنہ jab namaz me the aur unki naksir phuti(nak se khun nikla) to namaz chhodkar gaye aur udhu karke aye aur baqi namaz ada ki.
(AL SUNAN UL KUBRA BAIHAQI, HADITH 3384)

FAIDA: yahi mazhab kaseer sahaba masalan Hazrat Umar, Hazrat ibne Umar, Hazrat Maula Ali, Hazrat Abdullah bin Masood رضی اللہ عنہم ka bhi tha.
( AL ISTIZKAR, IBNE ABDUL BAR. 1/227)

4. Khana ya paani ya basta khoon (jama huwa khoon) ya pit ki qay (vomit) jabki muh bhar ho (yaani itni ho ki bila takalluf muh band na ho sake)

5. Woh khoon jo thuk par gaalib ho ya uske barabar ho.

6. Aisi neend ki us mein maq’ad (paakhana ka maqaam) zameen par na tika ho. Maslan karwat se soya ho.

7. Sone wale ki sureen ka jaagne se pehle upar ko uth jaana. Agarche woh gira na ho.

8. Behoshi

9. Junoon( pagal hona)

10. Nasha

11. Baalig ka qahqaha yani itni awaaz se hasi ki aas paas wale sune agar jaagte mein ruku sajde wali namaz mein ho wudhu tut jaayega aur namaz fasid ho jaayegi.

HADITH: Hazrat Mabad رضی اللہ عنہ se riwayat hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki namaz me jisne qahqaha lagaya hai, woh jaaye; wudhu karke dobara namaz padhe.
(AL AATHAR, ABI YUSUF:1/28)

12. Mubasharat e faahesha yaani mard apne zakar (alaye tanasul) ko shahwat se aurat ki sharamgah ya kisi mard ki sharamgah se milaaye ya aurat aurat baaham milaaye basharte koi chiz haail na ho to naaqiz e wudhu hai.

(• TAKHREEJ: Durre Mukhtar, Raddul Muhtar, fatawa Hindiya, Bahare Shariat)

WUDHU KO NA TODNE WALI CHEEZE

1. Khoon ka zahir hona jo apni jagah se bahar na ho.

2. Keede ka zakham se ya kaan se ya naak se nikalna

3. Zakar (alaye tanasul) ka chhuna

4. Aurat ka chuna

5. Qay (vomit) jo muh ko na bhare

6. Balgum ki qay agarche balgum zyada ho.

7. Sone wale ka jhukna (is tarah ki zameen se) maq’ad ke hat jaane ka ehtamaal ho. (yaqeen na ho).

8. Us shaks ki neend jiski sureen zameen par jami huwi ho. Agarche woh kisi aisi cheez par sahara lagaye huwe ho ki agar us cheez ko hata diya jaaye to woh gir jaaye.

9. Namaz padhne wale ka so jaana agarche woh rukoo ya sajda ki haalat mein ho.

(• TAKHREEJ: Durre Mukhtar, Raddul Muhtar, fatawa Hindiya, Bahare Shariat)

Wuzu ke mustahabat

• Wuzu karte waqt kaaba ruh ho kar baithna
• Unchi jagah baithna
• Paani bahate waqt aaza par hath pherna
• Seedhe hath se kulli karna
• Seedhe hath se naak mein paani chadana
• Kaano ka masah karte waqt bheegi hui choti ungliyaan kaano ke surakh mein dakhil karna
• Ulte hath ki choti ungli naak mein daal kar saaf karna
• Paaon ko baaye hath se dhona
• Dono hath se mun dhona
• Kalme ki ungli se kaan ki androni hisse ka masah karna
• Anguthe se kaan ki bairuni sateh ka masah karna
• Ungliyon ki pusht se gardan ka masah karna
• Zaban se keh lena ke wuzu karta hu
• Bacha hua paani khade hokar thoda pi le ke us mein shifa hai
• Aazae wuzu bagair zarurat na poche
• Makruh waqt na ho to do rakat nafl namaz tehtal wuzu padhe

Wuzu ke makruhat

• Wudhu ke liye najiz jagah baithna
• Najis jagah wuzu ka paani girana
• Masjid ke ander wuzu karna
• Aazae wuzu se loote wagaira mein qatra padna
• Qibla ki taraf thuk ya kulli karna
• Be zarurat duniya ki baate karna
• Zyada paani kharch karna
• Itna kam kharch karna ke sunnat ada na ho
• Mun par paani marna
• Ek hath se mun dhona
• Gale ka masah karna
• Baaye(left) hath se kulli karna ya naak mein paani daalna
• Daaye (right) hath se naak saaf karna
• Honth ya aankhein zor se band karna aur agar kuch sukha reh jaye to wuzu hi na hoga
• Har sunnat ka tark makruh hai

Posted in Islamic Articles.