Tayammum ka Sunnat Tareeqa

TAYAMMUM KA BAYAAN

  • QURAN:

“Agar tum bimaar ho ya safar mein ho ya tum mein ka koi pakhana se aaya ya aurto se mubashirat ki (jima kiya) aur Paani na paao to paak mitti ka qasd karo to apne muh aur haatho ka us se masah karo.”
(SURAH MAIDAH, AYAT NO 6)

  • HADITH:

Hazrat Huzaifa  رضي الله تعالى عنه bayaan karte hai ki Rasulallah ﷺ  ne farmaya: Hume aur Insaano par 3 wajeh se fazilat di gayi hai.
1.Hamari saffe farishto ki saffo ki tarah bana di gayi.
2. Hamare liye tamaam rue zameen masjid bana di gayi.
3. Zameen ki mitti paani na milne ke waqt hamare liye paak karne wali bana di gayi.

(SAHIH MUSLIM, KITAB UL MASAJID WA MAWADHIS SALAAT,  HADITH NO 1165)

TAYAMMUM MEIN 3 FARZ HAI:

  1. NIYAT: Agar kisi ne haath mitti par maar kar muh aur haatho par pher liya aur niyat na ki Tayammum na hoga.

 

  1. SAARE MUH PAR HAATH PHERNA: Is tarah ke koi hissa baaqi rah na jaaye agar baal barabar bhi koi jagah reh gayi Tayammum na hoga.

 

  1. DONO HAATH KA KOHNIYO SAMAIT MASAH KARNA: Us mein bhi ye khayal rahe ki zarrah barabar baaqi na rahe warna Tayammum na hoga.

 

TAYAMMUM KA SUNNAT TAREEQA :

  1. Tayammum ki niyat kijiye (FARZ)

(Niyat dil ke irade  ka  naam hai,  Zaban  se  bhi  kah  le  to  behtar  hai)

Masalan  yu kahiye: bay  wuzu`i  ya  bay ghusli  ya  donon  say  paaki  haasil karne  aur Namaz  jaiz  hone ke  liye  Tayammum karta  hoon)

2. Bismillah hir rahman nir raheem ke kar shuru kare (SUNNAT) 

3. Ab dono haathon ki ungliyan kushadah  kar  ke kisi aisi  paak  cheez  par jo  zameen ki  qism  (Masalan Patthar, Choona, Eent,  Deewaar, Mitti  wagairah)  se ho maar  kar laut lijiye (Ya’ni  aagay barrhaiye aur peechay laiye)  aur agar Ziyadah gard  lag jaye to jhadh lijiye. (SUNNAT)

4. Ab muh par haath is tarah phere ke koi hissa baaqi rah na jaaye agar baal barabar bhi koi jagah reh gayi Tayammum na hoga. (FARZ)

5. Phir  dusri  baar isi  tarah  zameen par maar  kar  donon haathon   ka  nakhuno say lay  kaar  kuhniyon  samayt  mash  kijiye, is ka  behtar  tareeqah yeh hay kay ultay haath  kay ungothay kay ‘ilawah chaar ungliyon ka  payt seedhay  haath ki  pusht par Rakhiye aur ungliyon  kay siron  say kuhniyon tak lay jaiye  aur phir wahan say ultay hi  haath  ki  hatahayli  say seedhay haath  kay  payt ko mass  kartay huway gittay tak  laiye aur ultay angothay  kay payt say seedhay ungoothay ki  pusht  ka  mash  kijiye. Isi  tarah seedhay haath say ultay haat ka  mash  kijiye. Aur agar  aik  dam poori hathayli aur ungliyon  say  mash kar liya  tab bhi Tayammum ho jaye ga chaahay kuhni  say ungliyon ki  taraf laaye ya ungliyon say kuhni  ki  taraf lay gaye magar Sunnat kay khilaf huwa. (FARZ)

TAYAMMUM KI SUNNATE:

1) Bismillah keh kar shuru karna

2) Haatho ko Zameen par maarna

3) Ungliyaan khuli huwi rakhna

4) Haatho ko jaadh lena yaani ek haath ke anguthe ki jadh ko dusre haath ke anguthe ki jadh par maarna is tarah ki taali ki si awaaz aaye.

5) Pehle muh phir haatho ka masah karna

6) Pehle daahine haath phir baaye ka masah karna.

7) Dadhi ka khilaal karna

8) Ungliyo ka khilaal

(NOTE: Ungliyo ka khilaal jab sunnat hoga agar gubaar pohach gaya ho. Agar gubaar na pohcha maslan patthar wagairah kisi aisi cheez par haath maara jis par gubaar na ho to khilaal FARZ hai.)

[ BAHARE SHARIAT, JILD 1, HISSA 2, TAYYAMUM KA BAYAAN, PG 356]

TAYAMMUM KIN CHEEZO SE TOOT TAA HAI

1) Jin cheezo se wuzu tutta hai ya gusl wajib hota hai unse Tayammum bhi jata rahega aur alawa unke paani par qadir hone se bhi Tayammum tut jayega.

(FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 29)

2) Mareez ne gusl ka Tayammum kiya tha aur ab itna tandrust ho gaya ke gusl se zar na phochega Tayammum jata raha.

(FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 29)

3) Jis halat mein Tayammum na jaiz tha agar woh baade Tayammum payi gayi tayyamum tut gaya.
Jaise tayyamum wale ka aisi jagah guzar hua ke wahan se ek meal ke ander pani hai to tayyamum jata raha.

Yeh zaroori nahi ke paani ke paas hi phoch jaye.

4)Paani ke paas se sota hua guzra Tayammum na tuta.

(FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 30)

Haan agar Tayammum wuzu ka tha aur neend is had ki hai jisse wuzu jata rahe to beshak Tayammum jata raha magar na us wajah se ke paani par guzra balki so jane se aur agar unghta hua paani par guzra aur paani ki itilah ho gayi to tut gaya warna nahi.

5)Paani par guzra aur apna Tayammum yaad nahi jab bhi Tayammum jata raha.
(FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 30)

TAYAMMUM KE MASAAIL

Jis ka wudhu na ho ya nahane ki zaroorat ho aur paani par qudrat na ho (yaani paani kahi par bhi na mile) to wudhu wa gusl ki jagah Tayammum kare.

Paani par qudrat na hone ki chand surte hai:

(1) Aisi bimaari ho ki wudhu ya gusl se uske zyada hone ya der mein acha hone ka sahih andesha ho khwaan yu ke us ne khud aazmaaya ho ke jab wudhu ya gusl karta hai to bimaari badhti hai ya yu ki kisi musalman achhe layaq hakeem ne jo zahiran fasiq na ho keh diya ho ke paani nuksaan karega.

(FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 28)

(2) Wahan chaaro taraf ek ek meel tak paani ka pata nahi.

(3) Itni sardi ho ke nahane se mar jaane ya bimaar hone ka qawi andesha ho aur lihaaf wagairah koi aisi cheez uske paas nahi jisse nahane ke baad odhe aur  sardi ke zar se bache na Aag hai jisse taap sake to Tayammum jaiz hai.

(4) Dushman ka khauf ki agar usne dekh liya to maar daalega ya maal cheen lega ya us gareeb nadaar ka qarz khwaan hai ki usse qaid kara dega ya us taraf saanp hai woh kaat khayega ya sher hai ki phaad khayega ya koi badkaar shaks hai aur ye aurat ya mard hai jis ko apni be aabruyi ka gumaan sahih hai to Tayammum jaiz hai. (DURRE MUKHTAR WA RADDUL MUHTAAR, KITAB UL TAHARAH, BAAB UL TAYAMMUM, JILD 1, PG 444)

(5) Jungle mein dol rassi nahi ke paani bhare to Tayammum jaiz hai.

(FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 28)

(6) Pyaas ka khauf yaani uske paas paani hai magar wudhu ya gusl karega to khud ya dusra musalmaan ya apna ya uska jaanwar agarche kutta jiska paalna jaiz hai  pyasa reh jaayega aur apni ya un mein kisi ki pyaas khwaa filhaal maujood ho ya aainda us ka sahih andesha ho ki woh raah aisi hai ki dur tak paani ka pata nahi to Tayammum jaiz hai. (FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 28)

(7) Paani gera hona yaani waha ke hisaab se jo qimat honi chahiye us se do chand maangta hai to Tayammum  jaiz hai aur agar qimat mein itna farq nahi to Tayammum jaiz nahi.

(FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 29)

(8) Ye gumaan ki paani talaash karne mein qafila nazro se gayab ho jaayega ya rail chhut jaayegi.

(BAHRUR RAAIQ , KITAB UL TAHARAH, BAAB UL TAYAMMUM, JILD 1, PG 243)

(9) Ye gumaan ke wudhu ya gusl karne mein eidain ki namaz jaati rahegi khwaan yu ki Imam padh kar farig ho jaayega ya zawaal ka waqt aa jaayega. Dono surto mein Tayammum jaiz hai.

(DURRE MUKHTAR WA RADDUL MUHTAAR, KITAB UL TAHARAH, BAAB UL TAYAMMUM, JILD 1, PG 456)

(10) Gair Wali ko Namaz e Janaza faut ho jaane ka khauf ho to Tayammum jaiz hai. Wali ko nahi ke us ka log intezaar karege aur log uski ijazat ke bagair padh bhi le to ye dobara padh sakta hai.

(FATAWA HINDIYA, KITAB UL TAHARAH, JILD 1, PG 31)

TAYAMMUM KE KUCH AHEM MASAAIL:

  1. Jo cheez aag se  jal kar  raakh hoti  hai  na pighalti  hai na narm hoti  hai woh  zameen ki  qism  se hai us  se Tayammum jayez  hai.  Rayta, Choona, surmah, Gandhak, Patthar (Marbal)  zabarjad, fayrozah, ‘Aqeeq wagairah Jawahir se Tayammum jaiz  hai chahe un par  ghubaar ho ya na ho.

(BAHARE SHARIAT, JILD 1 , PG 357)

 

  1. Pakki eent, cheeni  ya mitti  ke  bartan se Tayammum jaiz  hai. Haan agar in par kisi  aisi  cheez  ka jirm  ya’ni  tah ho  jo  jins-e-zameen  se  na  ho  masalan  kaanch  ka  jirm  ho to Tayammum jaiz nahin.

(BAHARE SHARIAT, JILD 1, PG 358)

‘Umoman Cheeni  ke bartan par kaanch  ki  tah  charrhi hoti  hai us  se Tayammum  nahin ho sakta.

 

  1. Jis Mitti, patthar waghayrah se Tayammum kiya jaye us ka paak hona  zaroori  hai ya’ni  na  us  par kisi  najasat  ka  asar ho na yeh ho  ke sirf khushk  ho  janay se najasat  ka  asar jata raha ho.

(BAHARE SHARIAT, JILD 1, PG 358)

Zameen, Deewar aur woh gard jo  zameen par parri  rahti  hay agar na-pak  ho jaye phir dhoop ya hawa say sookh  jaye aur najasat ka  asar khatm ho jaye to paak  hai aur is  par  namaz  jaiz  hai magar is se Tayammum nahin ho sakta

 

  1. Agar kisi Lakdi, kapde ya dari  wagairah par itni  gard hai ke haath marne se ungliyon ka  nishan ban jaye to is se Tayammum jayez hai.

(BAHARE SHARIAT, JILD 1, PG 359)

 

  1. Choona, mitti ya eenton ki  deewaar khuwah ghar ki  ho  ya masjid  ki  us  se Tayammum jaiz  hai magar us  par oil paint, plastic paint aur mate  finish  ya wallpaper wagairah koi  aisi  cheez  nahin honi chahiye jo  jins-e-zameen ke ‘ilawah ho,  deewar par marbal ho to  koi  harj  nahin.

 

  1. Hoonton ka woh hissah jo ‘aadatan munh band  hone ki haalat main dikhaye dayta  hai is  par mash  hona zaroori hai agar munh par haath  pherte waqt kisi  ne honton ko  zor  se daba  liya ke kuch hissah mash  hone se  rah gaya to Tayammum nahin  hoga. Isi tarah  zor  se aankhe band  kar le jab  bhi  na ho ga.

(BAHARE SHARIAT, JILD 1, PG 355)

 

  1. Angoothi, ghadi wagairah pehne ho to utaar kar un  ke neeche haath pherna farz  hai. Islami  behne bhi chudiyaan wagairah hata  kar  un  ke  neeche mash kare. Tayammum ki  ihtiyatayn wuzu  se badh kar hai.

(BAHARE SHARIAT, JILD 1, PG 355)

 

 

Posted in Islamic Articles.