Q 2720. Machli (fish) ka wazan aur qeemat badhane ke liye agar koi us mein mitti aur yellow urea powder mila kar beeche to kya aisa karna jaiz hoga? Uski kamaai haraam hogi ya halaal?

Quest code (2720)

Kya farmate hai Muftiyaan e kiraam is masle mein ke Zaid machli ka karobaar karta hai aur poultry farm mein machli supply karta hai.

Machli wazan ke hisaab bechta hai. Wazan ko zyada karne ke liye woh machli mein mitti mila deta hai taaki wazan zyada ho jaaye.

Kya ziad ka is tarah milawat karke machli bechna jaiz hai?

Dusra sawaal ye hai ke zaid machli mein protein ki miqdaar ko badhane ke liye Yellow urea powder bhi milata hai taaki machli mein protein zyada ho jaaye…

Yellow urea powder murgi aur dusre jaanwar ke liye nuksaan deh hai aur agar urea zyada ho jaaye to jaanwar mar bhi sakta hai.
Zaid ka protein ko badhane ke liye Yellow urea powder daalna kaisa hai? Customer ko ye nahi bataya jaata hai ki machli mein original kudrati protein hai balki zaid apne maal ko achi raqam mein bechne ke liye aisa amal karta hai. Kya aisa karna jaiz hai?

Dono sawaalo ka jawaab inayat farmaye. Kya is tarah mitti aur yellow urea powder mila kar machli bech kar jo paise kamaya woh halaal hai ya haraam?

Zaid ka ye karobaar halaal hoga ya haraam hoga?

Posted in Ask ARC Mufti.