Jumah se Pehle Aur Uske Baad Kitni Rakat Hai?

🕌 JUMAH SE PEHLE AUR USKE BAAD KITNI RAKAT HAI?

JUMAH SE PEHLE 4 RAKAT SUNNAT HAI AUR JUMAH KE BAAD 6 RAKAT SUNNAT HAI

📗 HADITH : Hazrat Abdullah bin Umar رضي الله تعالى عنه se riwayat hai ki Rasulullah ﷺ zohar se pehle 2 rakat aur uske baad 2 rakat aur magrib ke baad 2 rakat apne ghar mein aur baad Namaz e Isha 2 rakat padhte the. Aur JUMAH ke baad Namaz nahi padhte the hatta ki ghar wapis tashreef laate aur 2 rakat adaa karte the.
( • SAHIH BUKHARI, KITAB UL JUMAH)

📗 HADITH : Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه bayaan karte hai ki Rasulullah ﷺ ne farmaya: ” Jab tum mein se koi shaks juma ke din Namaz padhe to uske baad 4 rakat Namaz padhe.”
( • SAHIH MUSLIM, KITAB UL JUMAH)

📗 HADITH : Hazrat Abdullah bin Umar رضي الله تعالى عنه ne bayaan Kiya ki Rasulullah ﷺ Namaz e Jumah KE baad 2 rakat padhte the.
(• SAHIH MUSLIM, KITAB UL JUMAH)

📗 HADITH: Hazrat Ataa se riwayat hai ki Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالى عنه jab Makkah Mukarrama mein hote to Jumah padh kar aage badh jaate aur 2 rakat padte. Phir aage badh jaate aur 4 rakat padhte aur jab Madina Munawwara mein hote to Jumah padh kar apne ghar ki taraf laut aate aur 2 rakat padhte jinhe masjid mein nahi padhte the. Unse wajeh puchi gayi to farmaya ki Rasulullah ﷺ aisa hi kiya karte the.
( • SUNAN ABU DAWOOD, KITAB US SALAAT, BAABO SALATI BAAD AL JUMUA)

📗 HADITH : Hazrat Nafe kehte hai Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالى عنه jumah ki namaz se farig huwe to 2 rakat ghar mein padhi phir farmaya :” Huzoor ﷺ isi tarah kiya karte the.
( • JAME TIRMIZI, KITAB UL JUMAH)

Imam Tirmizi farmate hai ye hadith Hasan Sahih hai.

📗 HADITH : Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه se riwayat hai ki Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya: ” Tum mein se jo Shaks jumah ke baad namaz padhe usse chahiye ki 4 rakat adaa kare. Ye Hadith Hasan Sahih hai.
(• JAME TIRMIZI, KITAB UL JUMAH)

📗 HADITH : Hazrat Sufyaan bin Oyayna رضي الله تعالى عنه farmate hai, hum se Suhail bin About Swaleh ko Hadith mein qawi shumaar karte hai.
Imam Tirmizi farmate hai ye Hadith Hasan hai aur is par baaz ulema ka Amal hai. Hazrat Abdullah bin Masood رضي الله تعالى عنه ke baare mein hai ki aap jumah se pehle aur baad mein 4 4 rakat padha karte the. Hazrat Ali bin abi Talib رضي الله تعالى عنه ne jumah KE baad pehle 2 aur phir 4 rakat padhne ka hukm Diya. Sufyaan Thawri aur Ibne Mubarak ka Ibne Masood رضي الله تعالى عنه ke qual par Amal hai. Imam Ishaq farmate hai agar masjid mein padhe to 4 rakat aur Ghar mein padhe to 2 rakat adaa kare.
Unhone is Hadith se istidlaal Kiya ki Nabi e paak ﷺ jumah KE baad Ghar mein 2 rakat padha karte the. Neez Huzoor ﷺ ka irshaad hai ki tum mein se jo aadmi jumah ke baad Namaz padhna chahe use chahiye ki 4 rakat padhe.

👉 Imam Tirmizi farmate hai ki Hazrat Ibne Umar رضي الله تعالى عنه ki ye riwayat hai ki Nabi e Kareem ﷺ jumah ke baad Ghar mein 2 rakat padha karte the aur Ibne Umar رضي الله تعالى عنه ne baad az wisaal e Nabwi Namaz e Jumah KE baad pehle 2 rakat aur phir 4 rakat masjid mein padhi hai.
(• JAME TIRMIZI, KITAB UL JUMAH)

📗 HADITH : Hazrat Muhammad bin Sabah, Sufyaan, Amr, Zohri, Salem bin Umar ne farmaya ki Rasulullah ﷺ Jumah ke baad 2 rakat padhte.
( • SUNAN IBNE MAJAH, BAAB MAAJA FI SALATI BAAD AL JUMAH)

📗 HADITH: Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه se riwayat hai ki Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaya jab tum Jumah ke baad Namaz padho to 4 rakat padho.
( • SUNAN IBNE MAJAH, BAAB MAAJA FI SALATI BAAD AL JUMAH)

📗 HADITH : Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه se marwi hai ki Huzoor ﷺ ne irshaad farmaya:” Tum mein se jab koi shaks Jumah padh le to iske baad Sunnato ki 4 rakat padhe.
(• SUNAN NASAI, BAAB ADADUS SALAATI BAAD AL JUMATI FIL MASJID)

📗 HADITH : Hazrat Abdullah bin Umar رضي الله تعالى عنه se marwi hai, Aap jumah ke baad 2 rakate taweel farmate aur farmate ki Huzoor ﷺ bhi aisi hi karte.
(• SUNAN NASAI, BAABO ITAALATIL RAKATAIN BAAD AL JUMAH)

📗 HADITH : Qatadah bayaan karte hai ki Hazrat Abdullah ibne Masood رضي الله تعالى عنه Jumah se pehle aur Jumah ke baad 4 rakat padhte the. Abu Ishaq bayaan karte hai ki Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه Jumah ke baad 6 rakat Namaz padhte the.
(• MUSANNAF ABDUR RAZZAK , 5541)

📗 HADITH : Ataa kehte hai ki Hazrat Abdullah ibne Umar رضي الله تعالى عنه Jumah ke baad 6 rakat padhte the. Pehle 2 rakat phir 4 rakat.
( • MUSANNAF IBNE ABI SHAYBA, JILD 2, PG 132)

📗 HADITH: Hazrat Abu Abdul Rehman رضي الله تعالى عنه se marwi hai Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه ne farmaya : “Jo shaks Jumah KE baad Namaz padhna chahe woh 6 rakat padhe.”
(• TAHAWI SHARIF , JILD 1)

📗 HADITH : Hazrat Abu Abdul Rehman رضي الله تعالى عنه farmate hai Hazrat Ibne Masood رضي الله تعالى عنه ne logo ko sikhaya ki Jumah ke baad 4 rakat padhe. Jab Hazrat Ali bin Abi Talib رضي الله تعالى عنه tashreef laaye to unhone bataya ki 6 rakat adaa kare.
(• TAHAWI SHARIF , JILD 1)

Pas Jo kuch humne zikr Kiya us se sabit huwa ki Jumah KE baad Jin nawafil (Sunnat e Mokadah) ko chhod na munasib nahi would 6 rakat hai.
Imam Abu Yusuf ka bhi yahi qual hai. Albatta woh farmate hai ki is baat ko pasand farmata hu ki pehle 4 rakat aur phir 2 rakat padhi jaaye kyuki ye is baat se zyada door hai ki Juma ke uski misl namaz padhi jaaye kyuki us se Mana Kiya Gaya hai.

Imam Abu Jafar TAHAWI farmate hai: Isi liye Hazrat Imam Abu Yusuf ne 4 rakat ko 2 rakat se pehle padhne ko pasand farmaya kyuki woh 2 rakat ki tarah nahi hai. Pas 2 rakat ko muqaddam karna makrooh hai kyuki woh jumah (ki Namaz) ki misl hai. Albatta Hazrat Imam Abu Hanifa رضي الله تعالى عنه ka wahi maslak hai.
(• TAHAWI SHARIF, JILD 1)

✔️ AHAADITH MEIN JUMAH KE BAAD 2 RAKAT, 4 RAKAT AUR 6 RAKAT TEENO KA ZIKR AAYA HAI.

LIHAZA IN TAMAAM AHAADITH AUR ASLAAF KE AQWAAL SE YE SABIT HOTA HAI KI JUMAH SE PEHLE 4 RAKAT SUNNAT E MOKADAH HAI AUR JUMAH KE BAAD 4 AUR 2 RAKAT YAANI 6 RAKAT SUNNAT E MOQADAH HAI. (Baaz ulema ke nazdeeq jumah ke baad ki sirf 4 rakat sunnat e moqadah hai magar ehtiyaat isi mein hai ki 2 rakat bhi padh li jaaye)

Wallahu alam wa Rasool ﷺ

¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE (ARC) ® – MUMBAI, NASIK, MALEGAON & PUNE

🌍VISIT US:
www.ahlesunnatresearchcentre.com

📩 FOR ISLAMIC MSGS ON WHATS APP JOIN ARC ON 9987517752

Posted in Islamic Articles.