Q 1855. Kyu aankh milayi thi, kyu aag lagayi thi aur Nargis e mastana ye dono sher kya gair sharair hai?

Quest code (1855)

Assalaamu alaykum

Hamare ilaaqe mein ek Mufti Kaleem Razwi sahab hai jinhone apne ek bayaan mein Bedam Warsi sahab ki likhi huwi do naat sharif ke ek kalaam par aiteraaz kiya aur kaha ki ye alfaaz Huzoor ﷺ ki shaan ke khilaaf hai aur beadabi hai.

1. Pehla kalaam:
“Kyu Aankh milayi thi
Kyu Aag lagayi thi
Ab rukh ko chupa baithe
Karke hume diwana”

Mufti sahab ka kehna hai ki ye jumle Huzoor ﷺ ki shaan mein nahi bolne chahiye. Ye to duniyawi aashiqo ke alfaaz hai

2. ” Itna to karam karna
Aye Nargis e Mastana”

Mufti sahab ka kehna hai ki Nargis woh parinda hota hai jiski aankho mein Noor nahi hota hai.
Aur hamare Sarkar ﷺ to Noor un Alaa Noor hai

Kya Mufti sahab ka ye kehna durust hai?

Rehnumaai farmaye

Posted in Ask ARC Mufti.