Q 857. Insaan jab mar jata hai aur qabr mein jab uthega to uski Umr (age) kitni hogi aur rooh ki umr kitni hoti hai aur 7 aasmaan aur kya 7 zameeno sab ka qibla ek hi hai?

Quest code (857)

Jab insan marta hai to usko qabr me dafnate hai aur uske baad ka mamla barzakh ka mamla hai. Mein ye puchna chahti hu ke jab koi marta hai to koi bacha hota hai koi jawan to koi budha lekin jab qabr me sawal jawb ke liye murda ko uthaya jata hai to kya uski age wahi hogi jis age me wo marta hai ya phir kuch aur?

Aur kya rooh ki age me change ata hai kia?
Jabke rooh ek noor hai aur noor ki koi age nahi hoti? Rehnumayi farmaen

Quest 2

Mera sawal hai jaise 7 asman hai waise he 7 zameen hai to kya 7 asman aur 7 zameen ka baitullah aur gunbad e khazra ek he hai ya phr alag alag hai sabka? Jaise sidra tul muntaha ka kaba bait ul maamur hai? Waise hi kya 7 zameèn ka kaba bhi ek he hai ya phir alag alag hai?

Posted in Ask ARC Mufti.