Q 242. Kya zohr ki sunnat Farz se pehle padh sakte hai? 2. sahaba e kiram ke isme giraami ke baad رضی اللہ تعالٰی عنہ me ض kis tarah padhynge urdu ya arabi ke lihaaz se? 3. Asr ki namaz kab tak padh sakte hai?

❓Quest code (242)

Salam

1. Job pe waqt ki killat ke sabab zohar ki farz namaz bajamat ke baad padhi jaaney waali sunnat or nawafil pehle ada kar sakte hai ya nahi ya farz k baad hi ada karna lazim hai?

2. Ye bhi faramaaye jab deeni kutub wagerah ka muttala hota hai usme sahaba e kiram ke isme giraami ke baad رضی اللہ تعالٰی عنہ me ض kis tarah padhynge urdu ya arabi ke lihaaz se

3 . Asar ki namaz ka last waqt maghrib ki namaz se kitni der pehley tak hota hai. kab tak padh sakte hai?

Posted in Ask ARC Mufti.