Q 646. Masjid ke naam par jama ki huwee RAQAM masjid ke digar zaraye jaise Function Hall ki tamir mein kar sakte hain ya nahi? Kisi Momin Bhai ke ZAAHIR ko dekhkar usey kaafir kahna ya musalman nahi hai kahna Kaisa hai? Namazi ke aage se jaan bujh kar guzarna kaisa hai?

Quest code (646)

First quest 01

Asslaamu Alaykum,

Masjid ke naam par jama ki huwee RAQAM masjid ke digar zaraye jaise Function Hall ki tamir mein kar sakte hain ya nahi….Rahenumaiye Farmaiye… JAZAK ALLAH

Second question 02

Kisi Momin Bhai ke ZAAHIR ko dekhkar usey kaafir kahna ya musalman nahi hai kahna ya in logo ki namazein qubul nahi hoti ya yu kahna ye log jahannami hai..Quran our Hadees ki roshni mein Rahenumaiye Farmaiye… Jazak ALLAH

Third question 03

Masjid mein kisi Namaaz padtey huwe Momin Bhai ke samney se jaantey huwey bhi ki wo namaaz Ada kar Raha hai to kiya hukm hai samney waley ke liye… Rahenumai Farmaiye….Jazak ALLAH

Posted in Ask ARC Mufti.