KYA HUZOOR ﷺ KA ZIKR KARNA BHI IBADAT HAI?
QURAN
” Aur Humne Aap ki khatir Aap ka zikr (apne zikr ke saath mila kar duniya wa aakhirat mein har jagah) buland farma diya.
[● SURAH ALAM NASHRH, AYAT 4]
TAFSEER IBNE KATHIR:
” Hazrat Mujahid رضي الله تعالى عنه farmate hai: Yaani Jaha mera zikr kiya jaaye waha Aap ﷺ ka zikr kiya jaayega. Jaise ” أشهدُ أنْ لا إلهَ إلاَّ الله. وأشهدُ أنَّ محمّدًا رسولُ الله”
Qatadah رضي الله تعالى عنه farmate hai: Duniya aur Aakhirat mein Allah Ta’ala ne Aap ﷺ ka zikr buland kar diya. Koi khateeb koi Waiz , koi kalmago, koi Namazi aisa nahi jo Allah Ta’ala ki wahdaniyat ka aur Aap ﷺ ki risalat ka kalma na padhta ho.
Tafsire Ibne Jareer mein hai ki Huzoor ﷺ ke paas Hazrat Jibrail عليه السلام aaye aur farmaya ki Mera aur Aap ﷺ ka Rab farmata hai ki Mein Aap ﷺ ka zikr kis tarah buland karu? Aap ﷺ ne farmaya :Allah Ta’ala hi behtar jaanta hai. Farmaya Jab Mein zikr kiya jaun to Aap ﷺ ka bhi zikr kiya jaayega.
HADITH
Hazrat Abu Saeed Khudri رضي الله تعالى عنه se marwi hai ki Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya: “Jibrail عليه السلام mere paas aaye aur arz kiya: Mere aur Aap ﷺ ke Rab ne Aap ﷺ ke liye paigaam bheja hai ki maine Aap ﷺ ka zikr kaise buland kiya hai? Aap ﷺ ne farmaya: Allah Ta’ala hi behtar jaanta hai. Jibrail عليه السلام ne arz kiya: (Allah Ta’ala farmata hai ki Aye Habeeb!ﷺ ) JAB BHI MERA ZIKR HOGA TO (HAMESHA) MERE SAATH AAP ﷺ KA BHI ZIKR HOGA.”