“Gaus e Aazam” laqab par aiteraaz ka jawab

“GAUS E AAZAM” LAQAB PAR AITERAAZ KA JAWAAB

Baaz kam ilm ya be ilm biradaraane Ahle Hadees wahabi ye kehte hai ki “Gaus e Aazam” sirf Allah hai. Kyuki Gaus ke maani hai madad karna wala aur Aazam ke maani hai sab se bada. To Gaus e Aazam ke maani huwe sab se bada madadgaar aur sab se bada madadgaar Allah hai. To phir kisi bande ko Gaus e Aazam kehna kyu kar durust hoga?

JAWAAB:

Sab se pehli baat to ye samajhni chahiye ki Allah ke muqaable mein Allah se bada koi madadgaar hona to durr ki baat hai Allah ke muqaable mein koi chote se chota madadgaar manna bhi Shirk hai. Kyuki Allah ki mashiyat wa irade aur uski ataa ke bagair koi Allah se chota madadgaar bhi nahi. Agar koi aisa aqeeda rakhe to woh mushrik hai. Lihaza koi Musalman kisi bande ko apna madadgaar is lihaaz se hargiz nahi samajhta ki woh Allah ki Qudrat wa iradah wa ataa ke bagair azkhud (zaati) apne irade se madad karne wala hai. Balki har Musalman ka ye aqeeda hai ki kisi bhi bande ki madad dar haqeeqat Allah ki hi madad hoti hai. Banda madad ka mehez waasta wa wasila hota hai.

🔹Koi bhi Sunni Musalman kisi Nabi ya Wali ko is maani kar apna madadgaar nahi samajhta ki woh az-khud (zaati) Allah ki madad ke bagair Allah ki mashiyat wa irade ke bagair madad kar sakte hai. Balki unhe Allah ki madad ka waasta wa wasila samajhta hai. Jab koi Sunni kisi wali ya Nabi ko Allah ke muqabil madadgaar nahi samajhta to kisi Wali ko madadgaar kehne par woh mushrik kyu hoga?

🔹Is nuqte nazar se gafil ho kar kuch log Qurani Ayat  ” وَمَالَكُمْ مِّنْ دُوْنِ اْللّٰهِ مِن وَلِيٍّ وَ لَا نَصِيْر  ” ke tarjame mein galti kar jaate hai aur kehte hai ki Allah ke siwa tumhara koi madadgaar Nahi. Haanlanki khud Quran mein Gairullah ko Wali aur Nasir kaha gaya hai. Lihaza is ayat ka sahih tarjama ye hai: “Tumhare liye Allah ke muqable mein koi wali aur koi madadgaar nahi. Agar is ayat ka yahi maani durust ho ki Allah ke siwa koi wali aur madadgaar nahi aur kisi ko madadgaar manna shirk ho to aise Shirk se koi nahi bach sakta. Kyuki duniya mein koi aisa nahi jo Gairullah ko apne liye madadgaar na samajhta ho aur usse madad na maangta ho. Agar Gaus e Aazam ke ye maani liye jaaye ki mutlaqan bagair kisi nisbat ke sab se bada madadgaar, to maanwi aitebaar se ye kehna durust hoga ki Allah sabse bada madadgaar hai lekin lafz “Gaus e Aazam” Allah ke liye Quran wa Hadith mein kahi istemaal nahi huwa hai aur ye Allah ke Asma o Husna mein se nahi. Albatta “Mugees” Allah ke sifaati Asma mein se hai lekin ye Allah ke liye makhsoos nahi. Kyuki gairullah ke liye bhi iska istemaal huwa hai. Baarish ko bhi hadith mein Mugees kaha gaya hai. Lafz e Gaus ka itlaaq Allah ki zaat par Na Quran mein hai Na hadith mein. Raha lafz Aazam to Quran mein lafz e Aazam 2 maqaam par Momino ke liye bola gaya hai. Aur Ahaadith mein kaseer maqaamat pe gairullah ke liye bola gaya hai. Lihaza sabit huwa ki Gaus ka lafz Allah ke liye Na khaas hai Na Aazam ka lafz Allah ke liye khaas hai. Balki dono Gairullah ke liye bolna durust hai.

🔹Ye behes thi lafz e Gaus e Aazam ke maanwi tehqeeq se mutaaliq. Ab agar isko lafzi wa istilaahi aitebaar se dekha jaayega to Gaus e Aazam sirf bande ke liye bolna jaiz hai. Allah ke liye hargiz jaiz nahi. Kyuki istilaahi aitebaar se “Gaus” Allah ke khaas mehboob bando ke ek khaas tabqe ko kehte hai. Allah ke waliyo ke ek khaas tabqe ko “GAUS” kehte hai. Ahaadith se sabit hai ki har daur mein Gaus huwa karte hai jis ke ma-tehet sab awliya hote hai.

Allama Jalaluddin Suyuti ne Gaus ke wujood par bazaabta kitab likhi hai. Jab “Gaus” Allah ka khaas mehboob banda hota hai to phir Allah ko “Gaus” kehna kyukar durust ho sakta hai?

🔹Sayedna Shaykh Abdul Qadir Jilani  رحمة الله عليه ko is lihaaz se Gaus e Aazam kehte hai ki Aap apne zamane aur baad ke zamane ke saare Awliya ke sardaar hai. Saare Gaus ke Aap marja hai. Is aitebaar se Aap ko Gaus e Aazam kaha jata hai. 

🔹Ek Ahle Hadees wahabi Mufti ke fatwe ke mutabiq jab apne zamane ke muftiyo ka jo Mufti marja wa Imam ho usko Mufti e Aazam kehna durust hai to saare Gaus ke marja wa Imam ko Gaus e Aazam kehna Shirk kyu? Ek wahabi Mufti ko Mufti e Aazam kehne mein na shirk nazar aata hai na bidat lekin Allah ke ek muqarab wali mehboob e khaas, waliyo ke sardar ko Gaus kehne mein Shirk nazar aata hai. Iska sabab waliyo ki adaawat nahi to aur kya hai?

 

Posted in Islamic Articles.