Salam ke baad Imam ka Daayi ya Baayi taraf phir jana

SALAAM KE BAAD IMAM KA DAAYI YA BAAYI TARAF PHIR JANA

  1. HADITH

Hazrat Jabir bin Yazeed bin Aswad رضي الله تعالى عنه se Hazrat Yazeed bin Aswad رضي الله تعالى عنه ne farmaya ki maine Rasulallah ﷺ ke peeche namaz padhi. Jab Aal farig huwe to Qible ki janib se phir gaye.

[● SUNAN ABU DAWOOD, KITAB US SALAWAT, BAAB: IMAAMU YAN HARIFU BAAD’AT TASLEEM, JILD 1, PG 266]

2. HADITH:

Hazrat Ubaid bin Barra رضي الله تعالى عنه se Hazrat Barra bin Aazib رضي الله تعالى عنه ne farmaya ki hum jab Rasulallah ﷺ  ke peeche Namaz padhte to Hum Aap ke daaye janib hona pasand karte taaki Nabi e Kareem ﷺ ka pur noor chehra hamari janib ho.

[● SUNAN ABU DAWOOD, KITAB US SALAWAT, BAAB: IMAAMU YAN HARIFU BAAD’AT TASLEEM, JILD 1, PG 266]

3. HADITH

Hazrat Abdullah bin Masood رضي الله تعالى عنه farmate hai ki tum mein se koi shaks apni zaat ko shaitan ka juz na banade aur ye na gumaan kare ki Namaz ke baad daayi taraf hi phira jata hai. Maine bohot dafa Rasulallah ﷺ ko baayi janib phirte bhi dekha hai.

[● SAHIH BUKHARI, KITAB US SALAT, BAAB: AL INFITALI WAL INSARAAFI ANIL YAMINI WA SHIMALI, JILD 1, PG 365;

● SAHIH MUSLIM,  KITAB UL SALATIL MUSAFIREEN WA QASRIHA, BAAB: JAWAZIL INSIRAAFI MINAS SALAATI ANIL YAMINI WA SHIMAALI, JILD 1, PG 511;

● SUNAN IBNE MAJAH, BAAB: INSIRAAFI MINAS SALAATI, JILD 1, PG 276,277]

4. HADITH

Hazrat Sudi رضي الله تعالى عنه kehte hai ki maine Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه se daryaaft kiya ki mein Namaz padhne ke baad kis taraf phiru. Daayi taraf ya baayi taraf? Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه ne kaha. Maine zyadah tar Rasulallah ﷺ  ko daayi janib phirte dekha hai.

Sudi kehte hai ki Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه ne bayan kiya ki Rasulallah ﷺ daayi taraf phira karte the.

[● SAHIH MUSLIM,  KITAB UL SALATIL MUSAFIREEN WA QASRIHA, BAAB: JAWAZIL INSIRAAFI MINAS SALAATI ANIL YAMINI WA SHIMAALI, JILD 1, PG 512;

● SUNAN NASAI, BAAB: INSIRAAFI MINAS SALAATI, JILD 1, PG 420]

5. HADITH:

Hazrat Qabisa bin Hulb رضي الله تعالى عنه apne walid se riwayat karte hai ki Rasulallah ﷺ hamari imaamat farmate aur phir dono jaanib yaani daayi aur baayi janib phir jaate.

Is baab mein Hazrat Abdullah ibne Masood رضي الله تعالى عنه , Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه , Hazrat Abdullah bin Amr رضي الله تعالى عنه aur Hazrat Abu Huraira رضي الله تعالى عنه se bhi riwayat mazkoor hai.

Imam Tirmizi farmate hai Hadith e Hulb رضي الله تعالى عنه HASAN hai. Aur Ulema ka is par amal hai ki daayi ya baayi janib jis taraf chaahe phire. Dono tareeqe Huzoor ﷺ se sabit hai. Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه farmate hai, agar daayi taraf zaroorat samjhe udhar phir jaaye aur agar baayi taraf haajat ho udhar muh pher le.

[● SUNAN TIRMIZI, KITAB US SALAT, BAAB: MAJA’A FI INSIRAFI AN YAMINIHI WA AN SHIMAALIHI WA AN YASAARIHI, JILD 1, PG 209]

 

Posted in Islamic Articles.