Quest code (1777)
Asalaamu alaikum Hazrat sawal ye hai ke agar kisi khatoon ke rishtedaar wahabi ho tou wo khatoon un wahabioun ke ghar jaa sakti hai ? Matlab wahan jake khana peena aur kya unki dawat me shareek ho sakti hai? Jabke khatoon ne wahabi rishtedar ke munh se koi kufriya ya gustakhi wala jumla naa suni ho tab kya hoga ?
Matlab agar sasuraal me koi wahabi hai jinke ghar se khane peene ki koi cheez ya baqri Eid me gosht wagaira aaye tou hai tou kya wo khaa sakti hain aur unke shauher apne kisi wahabi rishtedar ya dost ke ghar dawat per leker gaye tou kya us khatoon ko jana chahiye ?