Q 2019. “Jo deobandi akaabir k kufr me shak kare vo khud kaafir” se kya muraad hai?


Quest code (2019)

Mufti saab mera sawal ye hai ki Ala hazrat ka jo farmaan hai ” jo deobandi akaabir k kufr me shak kare vo khud kaafir” to isse asal muraad kya hai? Kya har shak karne vala isme aa jaega aur vo shak karne vala kaafir ho jaega? Maslan mere rishtedaro me koi ho jo tariq jameel ka bayan sunta ho aur uski izzat karta ho to chuki tariq jameel apne akabir ko kafir ni maanta isliye vo khud kaafir aur fir jo tariq jameel ko kafir na mane kya vo bhi kafir? Aur agar aisa shakhs mar jae aur uske rishtedaar uska teeza fatiha kare ye sab janne k baad to ek kaafir ka teeza karne ki buniyaad pe kya vo rishtedaar bhi kaafir hue?

Maine kuch sunni ulema ka suna hai ki hum har deobandi wahabi ki takfeer ni karte … agar sabki takfeer ni karte to fir vo aalim jo baar baar ye sentence apni taqreero me dohrate hai shak karne vala bhi kafir unki kya muraad h? agr ye maan le ki aawam ki takfeer ni ki jaati to fir aaj k daur k deobandi aalim jo apne aap ko shaan se deobandi kehte h apne akaabir ki kitaabo kufr se waqif hai to kya vo qatai kaafir hai?

Posted in Ask ARC Mufti.