Gusl ka Sunnat Tareeqa

GUSL KA BAYAAN

Quran e Kareem mein hai:

“Aur agar tum junubi (Na-paak) ho to khoob paak ho jaao yaani gusl karo”
(Surah Maidah, Ayat no 6)

“Yahan tak ki haiz wali Aurte achi tarah paak ho jaaye”.
(Surah Baqarah, Ayat no 222)

Hadith e Paak mein hai:

Hazrat e Ayesha رضی اللہ عنہا se marwi hai, Rasulullah ﷺ jab janabat ka gusl (farz gusl) farmate to ibteda yun karte ki pehle Haath dhote, phir Namaz ka sa wudhu karte, phir ungliyaan paani mein daal kar unse baalo ki jadhe tar farmate, phir sar par teen lap paani daalte, phir tamaam badan par paani bahate.
(SAHIH BUKHARI, KITAB UL GUSL)

  • GUSL MEIN 3 FARZ HAI:

(1) KULLI KARNA: Isse muraad woh kulli nahi jo aam haalat mein ki jaati hai. Yaani thoda sa paani muh mein lekar bahar nikaal diya jaaye. Balki is kulli mein muh se halaq tak har hisse maslan zaban ke neeche, daadho ke peeche, rukhsaar ki teh, daanto ki jad aur darmiyaani khaali jagho mein paani ka pohchana zaroori hai. Agar kisi juz ko (baal ke barabar) chhod diya gaya to gusl durust nahi hoga. Daanto mein agar koi aisi cheez lagi ho jo aasaani se utar nahi sakti jaise paan khane walo ke daanto par chune ki tahen jam jaati hai to ye maaf hai. Agar koi daant taar se baandha gaya ho ya masale se jooda gaya ho to uske neeche paani pohchana maaf hai.

(2) NAAK MEIN PAANI DAALNA: Is tarah ki nathno ka narm hissa (naak ka andaruni hissa jaha haddi shuru hoti hai) dhul jaana chahiye. Agar naak mein rutoobat sukh jaaye(reenth) to usko saaf karna zaroori hai.

(3) BADAN KA DHONA: Sar ke baalo se paao ke talwo tak har hisse par is tarah paani bahana ki badan ka koi hissa dhulne se reh na jaaye. Agar koi bhi hissa sukha reh gaya to farz gusl poora nahi hoga aur admi napak hi rahega.

  • GUSL KA SUNNAT TAREEQA

1: (SUNNAT)
Gusl ki niyat kare yaani dil mein ye irada karna ki mein Allah ki ridha ke liye Na-paaki se paaki haasil karraha hu jo mujh par farz hai.

2: (SUNNAT)
Ab is tarah shuru kare ki teen martaba dono haath gatton tak dhoye.

3: (SUNNAT)
Phir istinje ki jagah ko dhoye ; najasat ho ya na ho

4: (SUNNAT)
Phir Badan par jahan kahi najasat ho usko dur kare yaani ache se dhoye.

5: (SUNNAT)
Phir Wudhu kare aur agar nahane ki jagah par paani jama ho jaata ho to paao aakhir mein dho le.

(FARZ: Jab wudhu men kulli kare to muh se halaq tak har hisse maslan zaban ke neeche, daadho ke peeche, rukhsaar ki teh, daanto ki jadh aur darmiyaani khaali jagho mein paani ka pohchana zaroori hai. Agar kisi juz ko chhod diya gaya to gusl durust nahi hoga.)

(FARZ : Jab Naak mein paani daale to Is tarah ki nathno ka narm hissa dhul jaana chahiye. Agar naak mein rutoobat sukh jaaye(rinth ho) to usko saaf karna zaroori hai.)

6: (SUNNAT)
Phir tamaam badan par paani ko tel ki tarah mal le taaki koi hissa khushk (sukha) na reh jaaye.

7: (SUNNAT)
Ab Teen martaba daaye (right) kandhe par paani bahaye.

8: (SUNNAT)
Phir teen martaba baaye (left) kandhe par paani bahaye.

9: (SUNNAT)
Phir sar par se teen baar saare badan par paani bahaye.

(FARZ: Sar ke baalo se paao ke talwo tak har hisse par is tarah paani bahana ki badan ka koi hissa dhulne se reh na jaaye. Agar koi bhi hissa sukha reh gaya to farz gusl poora nahi hoga.)

10: (SUNNAT)
Ab Guslkhana se bahar nikal jaaye aur agar wudhu karne mein paao nahi dhoye the to ab dho le.

  • IS KE ALAAWA GUSL KI BAAZ SUNNATEIN:

11. Dauraane gusl Qible ki taraf muh na kare.

12. Tamaam badan par haath se paani ko mal kar nahana

13. Gusl khana wagairah mein nahana ya koi kapda naaf se ghutno tak baandh lena is liye ki logo ke saamne mard ko naaf se ghutno tak jism ka chupana farz hai.

14. Daurane Gusl Baat cheet na karna

15. Daurane Gusl koi dua na padhe

16. Aurto ko baith kar nahana chahiye

  • GUSL KAB FARZ HOTA HAI?

1. Mani (sperm) ka shehwat ke sath nikalna. Agar shehwat ke saath apni jagah se juda na huwi balki bojh uthane ya bulandi se girne ke sabab nikli to gusl wajib nahi ;karle to achha hai. Haan wudhu tut jaayega.

2. Agar mani patli padgayi ki peshaab ke waqt ya waise hi kuch qatre bila shehwat nikal aaye to gusl wajib nahi hoga albatta wudhu tut jaayega.

3. So kar uthne ke baad kapde par kuch nishaanaat ya geelapan paaye to uski chand soortein hai:
(a) Agar uske Mani hone ka yaqeen ho ya mani o Mazi hone ka ehtemaal hai to gusl wajib hai
(b) Agar yaqeen hai ki Mani ya Mazi nahi kuch aur(pasina) hai to gusl wajib nahi
(c) Agar mani na hone ka yaqeen karta hai magar mazi ka shak hai to agar khwaab mein ehtelaam hona yaad nahi to gusl zaroori nahi warna wajib hai.

HADITH: Rasool khuda ﷺ se pucha gaya ki agar admi nind se bedar hokar kapde me tari paye aur ehtelam hona yad na ho to kia kare to Huzur ﷺ ne farmaya ki woh gusl kare.

FAIDAH: is se malum huwa ki agar mani hone ka yaqeen ya ehtemal ho to gusl wajib hai agar che ehtelam hona yad na ho; han mani na hone ka yaqeen ho masalan yaqeen ho ki
paseena hai ya peshab hai to gusl wajib nahi.

4. Mujami’at se (yaani zakar ke sar ka sharam gah ke andar daakhil hona) mard aur aurat par gusl wajib ho jaata hai ; inzaal ho ya na ho.

HADITH: Rasool Paak ﷺ ne farmaya hai ki jab mard aur aurat ke khatne ka maqam yek dusre se mile aur Hashfa ( zakar ka sar) aurat ki shramgah ke andar dakhil hojaye to Gusl wajib hai,inzal ho ya naho 

(Musnad Abu Hanifa ,riwayat Abu Nuaim;1-161)

5. Aurat haiz se faarig huwi to us par gusl farz hai
“Aur tum haiz wali aurato se mujamaat na karo yaha tak ki pak ho jayen”

HADITH: Hazrat Ibne Abbas رضی اللہ عنہ ne farmaya ki pak hone ka mana yah hai ki haiz ka khun aana band ho jaye aur naha le. (AL SUNANUL KUBRA- BAIHAQI, H:1481)

6. Aurat nifaas (bache hone ke baad jo khoon aata hai) se faarig huwi to bhi gusl farz hai.

  • KAB GHUSL KARNA SUNNAT HAI:

√ Jumu’ah
√ ‘Eid-ul-Fitr
√ Baqara-eid,
√ ‘Arfay kay din (ya’ni 9 Zul Hijjah) aur
√ Ehram bandhtay waqt nahana Sunnat hai.

(Aalamgeeri, Jild 1, Pg 16)

  • KAB GUSL KARNA MUSTAHAB HAI:

1. Wuqoof-e-‘Arafaat

2. Wuqoof-e-Muzdalifah

3. Haziri-e-Haram

4. Haziri-e-Sarkar-e- A’zam ﷺ

5. Tawaaf

6. Dukhool-e-Mina

7. Jamron par kankariyan marnay ke liye teenon din

8. Shab-e-Bara`at

9. Shab-e-Qadr

10. ‘Arafah ki raat

11. Majlis-e-Meelad Shareef

12. Deegar majalis-e-khayr ke liye

13. Murdah nahlanay ke baa’d

14. Majnoon (yaa’ni pagal) ko junoon (pagal pan) janay ke baa’d

15. Ghashi se ifaqay ke baa’d

16. Nashah jatay rahne ke baa’d

17. Gunah se taubah karne

18. Naye kapde pahanne ke liye

19. Safar se aane wale ke liye

20. Istihazah ka khoon band honay ke baa’d

21. Namaz-e-Kusoof-o-Khusoof

22. Namaz-e-Istisqa ke liye

23. Khauf-o-Tareeki aur sakht aandhi ke liye

24. Badan par najasat lagi aur yeh ma’loom na huwa ke kis jagah lagi hai.

  • KUCH ZAROORI MASAAIL:

1) NIFAAS KI ZAROORI WAZAHAT

Aksar ‘auraton may ye mashhor hai ke bacha jannay ke baa’d aurat 40 din tak laazimi tor par na-paak rahti hai yeh baat bilkul ghalat hai. Nifas ki tafseel mulahazah ho. Bacha payda honay ke baa’d jo khoon aata hai us ko nifaas kahtay hai. Is ki ziyadah se ziyadah muddat 40 din hai yaa’ni agar 40 din ke baa’d bhi band na ho to marz hai. Lihaza 40 din poray hote hi gusl kar le aur 40 din se pahlay band ho jaye to khuwah bachay ki wiladat ke baa’d 1 minute hi may band ho jaye to jis waqt bhi band ho gusl kar le aur Namaz-o-Roza shuru’ ho gaye. Agar 40 din ke andar andar dubarah khoon aa gaya to shuru’-e-wiladat se khatm-e-khoon tak sab din nifas hi ke shumar hon ge. Masalan wiladat ke baa’d 2 minute tak khoon aa kar band ho gaya aur ‘aurat gusl kar ke Namaz-o-Roza waghayrah karti rahi, 40 din poray honay may faqat 2 minute baaqi thay ki phir khoon aa gaya to sara chillah ya’ni mukammal 40 din nifas ke thahrayn ge. Jo bhi Namaze padhi ya Roze rakhe sab baykaar gaye, yahan tak ke agar is doran Farz-o-Wajib Namaze ya Roze Qaza kiye the woh bhi phir se adaa kare.

(Fatawa Razwiya, Jild 4 , Pg 354, 356)

(2) BEHTE PANI MAY GUSL KA TAREEQA

Agar bahtay pani masalan darya, ya nahar may nahaya to thodi der us may ruknay say 3 baar dhonay, tarteeb aur Wuzu yeh sab Sunnatayn ada ho jayen gi. Is ki bhi zaroorat nahin ke a’zaa ko 3 baar harakat de. Agar talaab waghayrah thahray pani may nahaya to a’zaa ko 3 baar harakat dene ya jagah badalnay se taslees ya’ni 3 baar dhonay ki Sunnat ada ho jaye gi. Barsaat may (ya nal ya fawwaray kay neechay) khadha hona bahtay pani may khade hone ke hukm may hai. Bahtay pani may Wuzu kiya to wahi thodi der is may ‘uzw ko rahnay dayna aur thahray pani may harakat dayna 3 baar dhonay ke qaa`im maqaam hai.

(BAHARE SHARIAT, JILD 1, PG 320)

(3) NA-PAAKI KI HAALAT MAY DUROOD SHAREEF PADHNA

Jin par Gusl farz ho un ko Durood Shareef aur du’aen padhne may haraj nahin magar behtar ye hai ke wuzu ya kulli kar ke padhe.
(BAHARE SHARIAT, JILD 1, PG 327)
Azaan ka jawaab dena unko jaiz hai
(AALAMGEERI, jild 1, pg 38)

(4) ZAKHM PAR PATTI BAANDHI HO TO KYA KARE

Zakhm par patti wagairah bandhi ho aur usse kholnay may nuqsan ya haraj ho to patti par hi mash kar layna kaafi hai neez kisi jagah marz ya dard ki wajah se pani bahana nuqsan dah ho to is pooray ‘uzw par mash kar lijiye. Patti zaroorat say ziyadah jagah ko gheere huway nahin honi chahiye warnah mash kaafi na hoga. Agar zaroorat se ziyadah jagah gheere bagair patti bandhna mumkin na ho masalan baazu par zakhm hay magar patti baazuon ki gola`i may bandhi hay jis ke sabab baazu ka achha hissah bhi patti ke andar chhupa huwa hai, to agar kholna mumkin ho to khol kar us hissay ko dhona farz hai. Agar na-mumkin hai ya kholna to mumkin hai magar phir waysi na baandh sakega aur yun zakhm wagirah ko nuqsan pohchane ka andesha hai to saari patti par mash kar lena kaafi haj, badan ka woh achha hissah bhi dhonay se mua’f ho jayega.
(BAHARE SHARIAT, JILD 1, PG 318)

(5) Jis par gusl farz ho jaaye usko Masjid mein jaana , tawaaf karna , Quraan sharif chuna agarche uska saada hashiya (yaani paper ka woh hissa jis par quran ki ayat na likhi huwi ho) , ya Jild (book cover page) ,ya bagair chuwe dekh kar ya zabani padhna ya kisi ayat ka likhna ya ayat ka taweez likhna ya aisa taweez chuna ya aisi anguthi chuna ya pehenna jaise muqta’at ki anguthi sab haraam hai.
(DURRE MUKHTAR WA RADDUL MUKHTAR, KITAB UL TAHARAH)

Posted in Islamic Articles.