KYA HAZRAT KHIZR عليه السلام‎ KA WISAAL HO GAYA?

KYA HAZRAT KHAZIR عليه السلام‎ KA WISAAL HO GAYA?

BAAZ LOG SAHIH BUKHARI KI EK HADITH SE YE SABIT KARNE KI KOSHISH KARTE HAI KI HAZRAT KHAZIR عليه السلام‎ KA WISAAL HO CHUKA HAI

• UNKI DALEEL:

📗HADITH: Abdullah ibne Umar رضي الله تعالى عنه ne kaha, Nabi e Kareem ﷺ ne apni hayaat ke aakhri dino mein Isha ki Namaz padhayi. Salam pherne ke baad khade huwe aur farmaya kya tum ne apni is raat ka haal dekha? Jitne log Aaj is ruwe zameen par hai 100 saal ke baad koi bhi na rahega.

[• SAHIH BUKHARI, KITAB UL ILM, BAAB: AL SAMARI BIL ILMI, HADITH NO 116, JILD 1, PG 144]

IS HADITH SE YE SABIT KARTE HAI KI HAZRAT KHAZIR عليه السلام‎ BHI HUZOOR ﷺ KI IS PESHANGOYI MEIN SHAMIL HAI KYUKI WOH BHI IS ZAMEEN PAR US WAQT ZINDA THE JAB HUZOOR ﷺ NE FARMAYA AUR 100 SAAL KE BAAD KOI ZINDA NA RAHEGA GOYA UNKA BHI INTEQAAL HO GAYA.

✅JAWAB:

Is Hadith se muraad ye hai ki meri Ummat ke jitne log Aaj zameen par hai aur batreeq e motaad Nazar aate hai khwa woh Kam Umr (bache) ho ya bade (adult), 100 saal par woh zinda na rahege. Reh gaye woh log jo iske baad paida hoge woh is se mustasnah (exempted) hai.

Hazrat Isa عليه السلام‎ Aasmaan par hai aur Hazrat Khazir aur Ilyas عليه السلام‎ Nazro se gayab hai. Yu hi Iblees aur deegar ajinnah bhi. Is liye ye sab is mein daakhil nahi.

📗MUHADDITH ALI QARI NE FARMAYA:

قال البغوی رحمہ اللہ فی معالم التنزیل، اربعة من الانبیاء فی الحیاة اثنان فی الارض الخضر والیاس واثنان فی السماء عیسی وادریس علیہم الصلاة والسلام فالحدیث مخصوص بغیرھم

[• MIRQAT, VOL 8, PG 3489]

✏TARJAMA: Allama Bagawi ne ‘Maalimuttanzil’ mein farmaya ki chaar Nabi hayate dunyawi me hai. Do Zamin pe woh Khazir aur Ilyas عليه السلام‎ hai aur do asman mein woh Hazrat Isa aur Hazrat Idris علیہم الصلاة والسلام hai. Lihaza hadith in hazraat ke alawa ke saath khas hai.

📗ALLAMA SHAMSUDDIN SAFIRI SHAFAI 956 HIJRI LIKHTE HAI:
والذی ذھب الیہ الشیخ ابن الصلاح وجمھور العلماء والصالحین الی انہ حی

✏TARJAMA: Shaikh Ibnussalah aur jamhur ulama aur Salihin ka mauqif ye hai ki Hazrat khazir عليه السلام‎ zinda hai.
[• SHARHUL BUKHARI, LIS SAFIRI V:2, P128]

📗ALLAMA SAFIRI NE ALLAMA NAWAWI SHAFAI KA YE QUAL NAQL KIYA HAI:
وقال النووی والاکثرون من العلماء انہ موجود بین اظھرنا وذالک متفق علیہ بین الصوفیة واھل الصلاح وحکایتھم فی رویتہ والاجتماع بہ والاخذ عنہ وسوالہ وجوابہ ووجودہ فی المواضع الشریفة اکثر من ان تحصر واشھر من ان تشھر

✏TARJAMA: Allama Nawawi aur Aksar ulama ka ye qaul hai ki Hazrat khazir عليه السلام‎ hamare darmiyan maujud hai is baat par Sufia aur Salihin ka ittefaq hai aur unke saath Sufia o salihin ki mulaqat aur unka didar, unse sama, unke sath sawal jawab aur mukhtalif maqate sharifa me unki maujudgi ki riwayat beshumar aur kaafi mash’hur hai.
[• SHARAHUL BUKHARI, 2, 128]

📗Hazrat Amr bin Dinaar رضي الله تعالى عنه farmate hai ki Jab tak Quran e Kareem ki tilawat hoti rahegi Hazrat Khazir aur Hazrat Ilyas علیہم الصلاة والسلام zinda rahege. Jab Quran utha liya jaayega ye Hazraat wafaat farma jaayege.
[• IMAM ABDUR REHMAN FI NUZHATUL MAJALIS, JILD 2, PG 746]

📗Sahibe Roohul Bayan farmate hai ki Hazrat Khazir عليه السلام‎ zinda aur maujood hai. Issi duniya mein zameen par rehte hai aur Sufiya kiraam mein to is mein ittefaq hai. Kisi se bhi ikhtilaaf manqool nahi. Balki unki mulaaqat ki hikaayaat beshumaar hai aur beshumaar buzurgo ne unko dekhn aur sunne guftugu karne ka dawa farmaya hai. Aisi hikayaat Hazrat Shaykh e Akbar ne Fatuhaat e Makkiya mein aur Hazrat Abu Talib Makki ne apni tasaaneef mein aur Hazrat Hakeem Tirmizi ne apni Nawadir mein aur deegar mashaikh ne apni tasaanif mein naql farmayi hai.

Naqileen aur Hazrat Khazir عليه السلام‎ se mulaqat karne wale aur unko dekhne wale Muhaqqiqeen Sadaat Mashaikh e Izaam hai ki unka jhooth par ittefaq karna namumkin hai balki muhaal hai. Aur unse aisi galti karna tasawwur hi nahi kiya ja sakta. Unke wujood e suboot dalaail to milte hai lekin unke wafaat ki ek bhi daleel kisi ke paas maujood nahi.
[• ALLAMA ISMAIL HAQQI, TAFSEER ROOHUL BAYAN, JILD 8, PG 246]

🔹Imam Bukhari se sawal huwa ki Kya Hazrat Ilyas aur Hazrat Khazir علیہم الصلاة والسلام zinda hai?
Unhone farmaya: Un dono ki wafat Quran aur Hadith se sabit hai.
Allah farmata hai: ✏TARJAMA: ” Humne kisi bashar ko hameshgi nahi bakhshi.”
Aur Huzoor ﷺ ne farmaya: “Jo shaks aaj zameen par maujood hai woh 100 saal baad zinda na rahega.”
Is mein Hazrat Khazir aur Hazrat Ilyas علیہم الصلاة والسلام bhi zimnan shamil ho gaye.

✔JAWAAB 1: (SAHIBE ROOHUL BAYAN NE INKE JAWABAAT YU DIYE HAI)
Quran ki Ayat ka jawab zahir hai ki Ayat mein khulood se Ta-abad daayimi zindagi muraad hai Aur woh Hazrat Ilyas aur Hazrat Khazir علیہم الصلاة والسلام ke liye sabit. Jabki hamara aqeeda hai ki woh nafkh e soor se pehle zaroor faut ho jaayege.

✔JAWAAB 2: Hadith Sharif mein qulli hukm nahi balki aksari hukm hai. Is liye ki nawadir aise kalimaat se mustasnah hote hai. Chunaache Hazrat Salman Faarsi رضي الله تعالى عنه, Hazrat Abu Tufail رضي الله تعالى عنه100 saal ke baad tak zinda rahe. Haanlaki jis waqt Huzoor ﷺ ne ye irshaad farmaya tha mazkoora bala Hazraat us waqt maujood the. Agar Hadith se un hazraat ko mustasna kiya ja sakta hai to Hazrat Khazir aur Hazrat Ilyas علیہم الصلاة والسلام ko bhi mustasna kiya ja sakta hai.
[• ALLAMA ISMAIL HAQQI, ROOHUL BAYAN, JILD 8, PG 426]

• EK AUR AITERAAZ: Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya Agar Khazir عليه السلام‎ zinda hote to meri ziyarat karte.

📗Hazrat Shaykh Abdul Haq Muhaddith Dehelvi farmate hai: “Ye irshaad mulaqaat se pehle ka hai. Issi qism ki mulaqat urf wa aadat par hai. Hazrat Khazir عليه السلام‎ ne Huzoor ﷺ se baaz Ahaadith riwayat ki hai aur baaz Mashaikh ne ye hadith Hazrat Khazir عليه السلام‎ se baraheraast suni hai.
[• SHAYKH ABDUL HAQ DEHELVI, TAKMEELUL IMAAN, PG 114]

📗IMAM MOHIYSSUNA NE TAFSEER E BAGAWI MEIN LIKHA HAI:
Hazrat Khazir aur Hazrat Ilyas علیہم الصلاة والسلام us waqt tak zameen par rahege jab tak Quran rahega. Jab Quran utha liya jaayega to ye wafaat farma jaayege.
[• ABI MUHAMMAD HUSSAIN, MUALIMUT’ TANZEEL, JILD 11, PG 43]

• EK AHEM MASLE KI DALEEL: Ye Hadith iski daleel hai ki Huzoor ﷺ Gaib jaante hai (Allah ki ataa se).

 

Posted in Islamic Articles.