Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ki Sharie Hasiyat

MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ

12 RABI UL AWWAL – HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WILADAT KI TAREEKH PAR IJMA

Mutaqadimeen aur Mutakhireen ka ijma issi par hai ki Tareekh e wiladat 12 Rabi ul awwal A’amul Feel hai. Aalam e Islam mein qadeem zamane se ijma 12 Rabi ul Awwal par hi chala aa raha hai. Is liye Qwal e Mukhtaar ka darja issi ko hasil hai.

AIMAH KI TEHQEEQ:

1. IMAM IBN ISHAAQ  رضي الله تعالى عنه (Born in 85 h)

[ ● Ibn Jawzi – Al wafa’a:87]

2. ALLAMA IBN HISHAAM رضي الله تعالى عنه  (Died in 213h)

[● Ibn Hishaam – Sirat un Nabwi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ, jild 1, pg158]

3. IMAM IBN JAREER TABARI رحمۃ اللہ علیہ (225h – 310h)

[● Tareekh ul Umam wal malook, jild 2, pg 125]

4. ALLAMA ABU AL HASAN ALI BIN

MUHAMMAD AL MAWARDI رحمۃ اللہ علیہ (370h -429h)

[ ● A’laam ul Nubuwah: 192]

5. IMAM AL HAFIZ ABU AL FATAH AL

UNDLUSI رحمۃ اللہ علیہ(671h – 734h)

[● Auyunul Aasar, jild 1, pg 33]

6. ALLAMA IBN KHULDOON رحمۃ اللہ علیہ (732h – 808h)

[● Tareekh Ibn Khuldoon, jild 2, pg 394;

● Ibn khuldoon , Sirat un Nubuwah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ : 81]

7. MUHAMMAD AL SAADIQ EBRAHIM AURJOON  رحمۃ اللہ علیہ

[ ● Muhammadur Rasulullah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ, jild 1, pg 102]

8. SHAYKH MUHAQIQ SHAH ABDUL HAQ MUHADDITH DEHELVI رحمۃ اللہ علیہ(950h – 1052h)

[● Madarijun Nubuwah, jild 2, pg 14]

9. AALA HAZRAT IMAM AHMED RAZA KHAN رحمۃ اللہ علیہ YAWM E WILADAT KE BAARE MEIN 7 AQWAAL (22,18,17,12,10,8,2)

TEHREER KARNE KE BAAD FARMATE HAI KI JUMOOR ULEMA E MUHAQIQEEN KE NAZDEEK 12 RABI UL AWWAL HI WILADAT KA DIN HAI.

[● Fatawa Razawiya, jild 14,pg 365]

10. NAWAAB MUHAMMAD SIDDIQ HASAN KHAN BHOPALI

[● Al Shama matul Ambariya fi Mawlude khairul Bariya : 7]

11. MUFTI MUHAMMAD SHAFI USMAANI DEOBANDI

[● Sirat khatimil Ambiya awjazu sayrali kharil Bashar]

¤12 RABIUL AWWAL WAFAT KA DIN NAHI

BUKHARI AUR MUSLIM KI HADITH SE SABIT  HAI KI 12 RABI UL AWWAL HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT KA DIN NAHI!

Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Wafat PEER (monday) ke din aur Maahe Rabi ul Awwal mein huwi aur is par puri ummat ka ittefaaq o Ijma hai. Magar kya Wafat Rabi ul Awwal ki 12 taarikh ko huwi?

Tehqeeq se pata chalta hai ki Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Wafat 12 taarikh ko NAHI huwi. 12 wi ko Wafat ka din manna ye bilkul galat hai aur Sahih Ahaadith ke khilaaf aur tareekh ke shumaar ke tehet Na- mumkin hai.

Sahih Bukhari wa Muslim ki Hadith mein hai ki Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Apna aakhri Hajj 10 hijri mein farmaya aur apna aakhri khutba Yawme Arafa ko 9 zil Hijaa JUMAH ko diya.

SAHIH HADITH:

Hazrat Umar bin Khattab رضي الله تعالى عنه farmate hai ki ek yahoodi ne Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه se kaha ki Aye Musalmaano ke Ameer! Aap ki kitab (Quran) mein ek aisi ayat hai jisko Aap log padhte hai. Agar woh ayat hum yahoodiyo ke baare mein nazil hoti to hum us ayat ke yaume nuzul ko eid bana lete. Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه ne farmaya: Woh kaunsi ayat hai?

Yahoodi ne kaha ki woh ayat:

“Aaj Maine tumhare liye tumhara deen mukamal kar diya hai…….”

To Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه ne farmaya ki hum uske nuzul ke din ko acchi tarah jaante hai aur uske maqam ko bhi. Jab yeh ayat nazil hui thi to Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ maidan e Arafat mein khade the aur JUMMAH (FRIDAY) ka din tha.

[● Sahih Bukhari, Kitab ul Imaan]

SAHIH BUKHARI KI HADITH SE PATA CHALA KI 10wi HIJRI MEIN, 9 ZIL HIJJA, JUMAH (FRIDAY) KA DIN THA.

Aur Sahih Bukhari wa Muslim ki dusri hadith se pata chalta hai ki Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Wafat PEER (MONDAY) ko huwi.

📗SAHIH HADITH:

Hazrat Anas رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki maine Aakhri baar Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ko PEER (MONDAY) ke din us waqt dekha jab Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Hujre ka parda utha kar dekha.

[● SAHIH MUSLIM, KITAB UL SALAH]

IS HADITH SE PATA CHALA KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT 11 HIJRI MEIN RABI UL AWWAL KE MAHINE MEIN, PEER (MONDAY) KE DIN HUWI.

Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne aakhri khutba 10 wi Hijri, JUMAH (FRIDAY) ke 9 zil hijja ko diya.

Zil hijja ke baad Moharram ka Mahina aata hai. Uske baad SAFAR ka mahina aur uske baad RABI UL AWWAL KA.

Yaani Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke aakhri khutbe se le kar Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wafat ke darmiyaan 3 Mahine aate hai:

🔸ZIL HIJJAH

🔸MOHARRAM

🔸SAFAR

Ab 9 Zil Hijja se JUMAH ke din se Aap dino ka hisaab laga le.

9 ko Jumah, 10 ko Sanichar, 11 ko itwaar…..

Issi tarah Rabi ul Awwal ke Mahine tak hisaab lagaye aur PEER yaani MONDAY ka din dekhe.

Ab chuki Mahina ya 29 ka hota hai ya 30 ka to Aap Hisaab lagate waqt tamaam mumkin hisaab laga le.

Ab 4 mumkin tareeqe hai.

1. Agar bil farz teeno Mahine 30 ke maan liye jaaye to 9 zil hijja se 12 Rabi ul Awwal – ITWAAR YAANI SUNDAY ke din aayega.

2. Agar 2 mahine 30 ke shumaar kar le aur 1 mahina 29 ka to 12 Rabi ul Awwal ko HAFTE YAANI SATURDAY Ka din aayega.

3. Agar 1 mahina 30 ka aur 2 Mahine 29 ke shumaar kar liye jaaye to 12 Rabi ul Awaal ko JUMMAH YAANI FRIDAY Ka din aayega.

4. Aur agar teeno Mahine 29 ke shumaar kar liye jaaye to 12 Rabi ul Awwal ko JUMERAT YAANI THURSDAY ka din aayega.

ISKE ALAAWA KOI HISAAB NAHI BANTA.

PATA CHALA KI 12 RABI UL AWWAL (11 Hijri) KO PEER YAANI MONDAY KA DIN HARGIZ NAHI AATA HAI.

AUR BUKHARI WA MUSLIM KI MUTAFAQ ALAY HADITH SE YE SABIT HAI KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِKI WAFAT PEER YAANI MONDAY KO HUWI.

JAB 11wi HIJRI MEIN RABI UL AWWAL KE MAHINE MEIN 12 TAEEKH KO PEER (MONDAY) KA DIN AANA MUMKIN HI NAHI TO 12 WI KO HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT HONA KAISE MUMKIN HOGA?

AGAR HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT 12wi KO HUWI TO BUKHARI AUR MUSLIM KI HADITH KA INKAAR KARNA HOGA AUR PEER KE DIN HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WAFAT KA INKAAR LAAZIM AAYEGA.

¤ ALLAMA IBNE HAJR ASQALANI KA AAKHRI FAISLA

Allama Ibn e Hajr Asqalani likhte hai:

“Bharose ke qabil to wahi baat hai jo Abu Mikhnaf ne kaha hain (Nabi e kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka wisal 2 Rabi ul Awwal ko hua) Aur dusre logo se is mamle mein galti isliye hui ki jin logo se 12 rabbiul awwal ki riwayat aayi hai us mein bhi dar asal 2 hi rabbiul awwal ka zikr tha. Kisi se naql karne mein galti hui aur “SANI RABI UL AWWAL” yaani 2 rabbiul awwal ke bajae “SANI ASHAR” yaani 12 rabiul awwal likha chala gaya. Phir dusre log bekhabri mein ye soch kar ki ye riwayat 12 Rabi ul Awwal hi ke silsile mein aayi hai naqal dar naqal karte rahe. Yahan tak ki darja e shohrat isi riwayat ko mil gayi.

[ ● FATH UL BAARI- SHARAH SAHIH BUKHARI : 8/106]

🔷 AIMAH E KIRAAM JINKE NAZDEEK 12 RABI UL AWWAL TAREEKH E WISAAL NAHI HAI

1. Abdur Rehman Suhaili

(● Al Rouzul Anaf, jild 7 pg 578)

2. Hafiz Shamsuddin Zahbi

(● Siyarul aalam al Nubla, jild 2, pg 74 73)

3. Allama Yafai’e

(● Maraatul Janan, jild 1, pg 17)

4. Ibn e Amaad Hanbali

(● Shazratul Zahab, jild 1, pg 14)

5 Yahya bin Abi Bakr Amiri Yamni

( ● Bagiyatul Amasil , jild 2, pg 133)

6. Muhammad bin Abu Bakr

(● Bihijjatul Muhafil, jild 2, pg 133)

 

¤ WILADAT E NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ALLAH KI EK AZEEM NAIMAT HAI BANDO PAR. IS NAIMAT KO YAAD KARNA AUR ISKA ZIKR KARNA AUR IS NAIMAT PAR KHUSHI MANANA AUR EID MANANA JAIZ HAI KYUKI QURAN MEIN ALLAH NE FARMAYA:

SURAH BAQARAH, AYAT NO 47;

“Aye Bani Israiel! YAAD KARO meri woh NAIMAT jo maine tum par ki”

ALLAH KI NAIMAT KO YAAD KARNA SURAH BAQARAH SE SABIT HUWA. AUR NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WILADAT SABSE BADI ALLAH KI NAIMAT HAI.

SURAH AD-DUHAA, AYAT NO 11;

“Aur Aap ke parwardigaar ne jo NAIMAT ataa farmayi hai uska BAYAAN KARTE RAHE”

ALLAH KI NAIMAT KA ZIKR KARTE REHNA SURAH AD- DUHAA SE SABIT HUWA. AUR MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KA ZIKR KARNA SABSE BADI NAIMAT KA ZIKR KARNA HUWA.

SURAH AALE IMRAN, AYAT NO 164;

“Beshak Allah Tala ne Musalmaano par bada AHSAAN FARMAYA ki un mein unhi mein se azmat wala RASOOL BHEJA”

ALLAH TALA NE HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KE ALAWA KISI NAIMAT KA EHSAAN NAHI JATLAYA.

SURAH YUNUS, AYAT NO 58;

“Farma dijiye (ye sab kuch) Allah ke FAZL aur uski REHMAT  ke baais hai (jo besat e Muhammadi ke zariye tum par huwa hai) PAS MUSALMAANO KO CHAHIYE KI IS PAR KHUSHIYA MANAYE. Ye is (saare maal wa daulat) se kahi behtar hai jise woh jama karte hai.”

SURAH YUNUS KI IS AYAT SE ALLAH KE FAZL AUR REHMAT PAR JASHN YAANI KHUSI MANANA BHI SABIT HO GAYA.

🔷HUZOOR NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ALLAH KA FAZL AUR USKI REHMAT HAI.

[ ● Aalusi –  Roohul Maani, jild 10, pg 141;

● Suyuti – Tafseer Dure Manthur, jild 4, pg 330;

● Ibn Jawzi – Zaadul maseer fi ilmul tafseer;

● Imam Tabrasi – Majmu al Bayaan, 5:177,178]

SURAH Al AMBIYA, AYAT NO 107;

“Aur Humne (Aye Mehboob صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ) Aap ko tamaam jahaano ke liye REHMAT bana kar bheja hai.”

MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ALLAH KI NAIMAT BHI HAI AUR USKA FAZL BHI AUR USKI REHMAT BHI.

AB MUSALMAAN AGAR IS NAIMAT , FAZL AUR REHMAT MILNE KE DIN KO YAANI YAWME MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KO YAAD KARE , ISKA ZIKR KARE AUR KHUSHIYA MANAYE TO YE SAARA AMAL QURAN PAR AMAL HOGA.

AUR JO ALLAH KI IS AZEEM NAIMAT PAR SHUKR ADAA NA KARE TO WOH YAQEENAN ALLAH KE AZAAB KA MUSTAHIQ HAI.

SURAH IBRAHIM, AYAT NO 7;

“Agar tum Shukr adaa karoge to tum par (Naimato mein) zaroor izafa karuga aur agar tum NASHUKRI karoge to mera azaab yaqeenan sakht hai.

🔷 SHAB E MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ SHAB E QADR SE BHI AFZAL HAI

Shabe Qadr ki Fazilat is liye hai ki woh Nuzul e Quran aur Malaika (farishte) ki raat hai. Aur Nuzul e Quran Mustafa صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke liye huwa. Agar Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ na hote to na Quran hota na Shab e Qadr hoti aur na koi aur raat hoti. Ye saari Fazilate Milad e Mustafa صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka sadqa hai. So Shab e Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Shab e Qadr se bhi Afzal hai.

▶ Aimah wa Muhadiseen ne Raato ki fazilat par guftugu ki hai. Maslan Shab e Qadr, Shab e Baraat, Shab e Arafa wagairah in mein Shabe Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka zikr bhi aaya hai. Bohot se Ahle Ilm wa Mohabbat Aimah wa Muhadiseen ne Shab e Milad ko Shab e Qadr se Afzal qarar diya hai.

1. IMAM QUSTALANI رضي الله تعالى عنه

“Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Milad ki Raat Shab e Qadr se Afzal hai.”

[● AL MAWAHIB UL LADUNIYA, JILD 1, PG 145;

● ZURQANI , SHARAH AL MAWAHIB UL LADUNIYA,  JILD 1 , PG 255;

● JAWAHIRUL BIHAAR FI FAZAILUL NABI IL MUKHTAAR – IMAM NABHANI, JILD 3, PG 424]

2. IMAM TAHAWI رضي الله تعالى عنه

“Sab se Afzal raato mein se Shab e Milad e Rasool صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ phir Shab e Qadr phir Shab e Meraaj Phir Shab e Arafa Phir Shab e Juma Phir Shabaan ki 15wi Shab (Shab e Barat) Phir Shab e Eid hai.”

[● JAWAHIRUL BIHAAR – IMAM NABHANI, JILD 3, PG 426]

3. IMAM NABHANI رضي الله تعالى عنه

“Aur Shab e Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Shab e Qadr se Afzal hai.”

[● AL ANWAARUL MEHMOODIYA: 28]

🔷 HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE KHUD APNA YAWME MILAD (BIRTHDAY) MANAYA

AUR HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE KHUD SAHABA KIRAAM KO APNE YAWME MILAD PAR ALLAH KA SHUKR BAJA LAANE KI TALQEEN FARMAYI AUR TARGEEB DI.

SAHIH HADITH:

” Hazrat Abu Qatada رضي الله تعالى عنه se riwayat hai ko Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ se PEER (MONDAY) Ke din Roza rakhne ke baare mein sawal kiya gaya to Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: ISSI ROZ MERI WILADAT HUWI, issi roz meri besat huwi aur issi roz mere upar Quran nazil kiya gaya.”

[● SAHIH MUSLIM, KITAB US SIYAAM;

● BAIHIQI – SUNAN E KUBRA , JILD 4, PG 286;

● NASAI – SUNAN E KUBRA, JILD 2, PG 146;

● MUSNAD AHMED BIN HAMBAL, JILD 5, PG 296;

● MUSANNAF ABDUR RAZZAK, JILD 4, PG 296;

● MUSNAD ABU YA’ALA, JILD 1, PG 134]

SABIT HUWA KI YAWME MILAD PAR IZHAAR E MUSARRAT KARNA SUNNAT E MUSTAFA صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ HAI.

 

🔷 HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE APNE MILAD KI KHUSHI MEIN BAKRE ZABA KIYE.

Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Allah Ta’ala ka shukr baja laate huwe Wiladat ki khushi mein Bakre zaba kiye aur ziyafat ka ahtemaam farmaya (logo ko Khana khilaya):

🔸 “Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne baad az besat apna Aqeeqa kiya”

[● Imam Tabrani – Al Maujamul Awsat, jild 1 ;

● Imam Zahbi – Mizan ul Aitedaal, jild 4]

🔸 “Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Ailaane Nubuwat ke baad apna Aqeeqa kiya”

[● Imam Baihiqi, Sunan e kubra;

● Imam Ibne Hajar Asqalani – Fath ul Baari]

 

🔷 IMAM SUYUTI FARMATE HAI:

“Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Dada Abdul Mutalib ne Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki paidaish ke saatwe (7th) roz Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka Aqeeqa kiya. Imam Suyuti farmate hai ko Aqeeqa dobara nahi kiya jata aur ehtamaal yahi hai ki Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne apni wiladat ki khushi ke izhaar ke liye aqeeqah khud kiya. Apne Rahmatallil Aalameen hone aur ummat ke musharraf hone ki wajeh se. Aur issi tarah hamare upar mustahab hai ki hum bhi Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Yawme Milad par khushi ka izhaar kare aur khana khilaye aur digar ibaadaat kare aur khushi ka izhaar kare.”

[● IMAM SUYUTI – AL HAWI AL FATAWA,

JILD 5:97;

● IMAM SUYUYI – HUSNUL MAQSID FI

AMALIL MAWLID: 65;

● NABHANI – HUJJATULLAH ALAL

AALAMEEN:237]

 

🔷 MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ AIMAH WA MUHADITHEEN KI NAZAR MEIN.

1. IMAM JALAALUDDIN SUYUTI رحمۃ اللہ علیہ

IMAM JALAALUDDIN SUYUTI رحمۃ اللہ علیہ FARMATE HAI :

“Mera maukif ye hai ki Rasul e Muazam صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka YAWME WILADAT asl mein khushi aur musarrat ka ek aisa mauqa hai jis mein log jama ho kar baqadr e sahulat Quran khwani karte hai. Aur woh un riwayaat ka tazkira karte hai jo Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke baare mein manqool ho aur Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wiladat e Mubarak ke maujizaat aur khariq ul Aadat waqiyaat ke bayaan par mishtamil ho phir usbke baad unki ziyafat unke pasandidah khano se ki jati hai. Woh is bidat e hasana mein kisi izaafa ke bagair laut jaate hai aur is ehtamaam karne wale ko Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki taazeem ki badaulat aur Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Milad par farhat aur dili musarrat ka izhar karne ki bina par sawaab se nawaza jata hai.”

[● HUSNUL MAQSID FI AMALIL MAWLID]

 

2. MULLA ALI QARI رحمۃ اللہ علیہ – (Fiqh e Hanafi main Mautabar Faqih jinhe Deobandi bhi maante hai.)

Aap ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke Topic par Kitaab likhi hain

“AL MORID UL RUVI FI MAULIDIN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ”

Jiss main 12 Rabbi ul Awal ko Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manane par Jamae guftugu ki hain aur Aap Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ Manane ko Jaiz aur Sawab samajhte hai. Aur Afsos Hanafi Fiqh ke iss Imam ko Deobandi Imam too maante hai magar unke Milad ke maukif ko nahi maante!

Aap ne iss kitaab main Milad manane ka Zikr kiya hain jiss main 12 wi ko Majlis qayam karna, Naat khwani karna, tarah tarah ke khaane pakana, khushi manana, gareebo ko paise dena, Awlma ko jama karna, qariyo ko jama karke Qirat ki mehfil sajana, qism qism ki Naimato ka Ahtamaam karna , qum qume lagana,  khushbuye lagana, hazaaro Mishkaal Sona kharch karna, aur bohot se Aamaal joo Jaiz aur Halal hain usse karne ka Zikr farmaya hain.

 

3. MUHADDITH IMAM IBN JAWZI رحمۃ اللہ علیہ (Born 510h – Demise 579h)

“MAKKAH MUKARRAMA, MADINA MUNAWWARA, Misr, Shaam, Yamen garz sharq se garb tak BILAADE ARAB ke bashinde Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki mehfile munaqid karte aaye hai. Jab Rabi ul Awwal ka chaand dekhte hai to unki khushi ki inteha nahi rehti chunaanche zikr e Milad padhne aur sunne ka khususi ehtamaam karte hai aur bepanah AJR WA QAMYABI HASIL KARTE HAI.

[● IBN JAWZI – AL MILAD UN NABWI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ : 57]

 

4. IMAM SHAMSUDDIN AL JUZRI (660H)

“Phir maine (Suyuti) Imam ul Qurra Hafiz Shamsuddin Al Juzri ki kitab “Urfut Tareef Fi Mawlid ashshareef” mein ye ibarat dekhi. Abu Lahab ko marne ke baad khwaab mejn dekha gaya. Usse pucha gaya Ab tera kya haal hai? Kehne laga Aag mein jal raha hu. Taaham har peer ke din mere azaab mein takhfeef kar di jaati hai. Ungli se ishara karte huwe kehne laga ki (har peer ko) meri in dono ungaliyo ke darmiyaan se paani (ka chashma) nikalta hai jisse mein pi leta hu aur ye takhfeef e azaab mere liye is wajeh se hai ki maine Suaiba ko aazaad kiya tha jab usne mujhe Muhammad ki wiladat ki khushkhabri di aur us ne Aap ko doodh bhi pilaya tha.

Jab Abu Lahab jaise kaafir kabyebhaal hai jis ke baare mein Quran e majeed mein mazammat nazil huwi ki baawajood iske Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wiladat ki khushi mein peer ki raat uske azaab mein takhfeef kar di jaati hai to phir IS MUHID (TAUHEED PARAST) UMMATI KA KYA HAAL HOGA JO AAP KI MILAD PAR KHUSHI WA MUSARRAT KA IZHAAR KARE AUR HASBE ISTEDAAD AAP KI MOHABBAT KI WAJEH SE KHARCH KARE. MUJHE APNI UMAR KI QASAM BESHAK IS KI JAZAA RAB E KAREEM ZAROOR DEGA AUR APNE FAZLO KARAM SE USSE JANNAT KI NAIMATO MEIN DAAKHIL KAREGA.

[● IMAM SUYUTI – HUSNUL MAQSID FI AMALIL MAWLID : 65,66;

● SUBLUL HUDA WAL RUSHAD – ALLAMA YUSUF SALAHI, 1:366]

 

🔷MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  PAR KHUSHI MANANE PAR KAFIR (ABU LAHAB) KE AZAAB MEIN TAKHFEEF.

SAHIH HADITH:

“Abu Lahab ke marne ke baad us ke Ahle Khana mein se kisi ne jab usee khwaab mein dekha to to woh bure haal mein tha. Usse pucha kaise ho? Abu Lahab ne kaha mein bohot sakht azaab mein hu. Usse kabhi chutkara nahi milta. Haan mujhe (us amal ki jaza ke taur par) kuch sairaab kiya jata hai ki maine (Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wiladat ki khushi mein) Suwaibaa ko aazaad kar diya tha.”

[● SAHIH BUKHARI , KITAB UN NIKAH, BAABO UMMAHATAKUM ALLATI ARDANAKUM;

● MUSANNAF ABDUR RAZZAK, JILD 7, PG 478;

● BAIHIQI – SUNAN E KUBRA, 7:162;

● BAIHIQI – SHOBUL IMAAN , 1:261;

● BAIHIQI – DALAILUN NUBUWAH, 1:150;

● SUHAILI – AL RAU ZUL ANAF, 5:193

● IBN KASEER – SIRATUN NABWIYAH , 1:224;

● IBN UDEEBA SHAIBANI – HADAIQ UL ANWAR, 1:134;

● BAGWI – SHARUS SUNNAH, 9:76;

● ZAIL’EE – NASBUR’RAAYA, 3:168;

● ASQALANI – FATH UL BAARI SHARAH SAHIH BUKHARI, 9:945;

● IMAM AYNI, UMDATUL QARI SHARAH SAHIH BUKHARI, 20:95;

● AAMRI – BAHJAT UL MAHAFIL, 1:141;

● ANWAR SHAH KASHMIRI, FAIZUL BAARI, 4:278]

 

▶ IS WAQIE KO AZEEM MUHADDITH IBN HAJAR ASQALANI NE IMAM SUHAILI KE HAWALE SE YU BAYAN KIYA HAI:

“Hazrat Abbas رضي الله تعالى عنه farmate hai ki Abu Lahab mar gaya to maine us ko khwaab mein ek saal baad bohot bure haal mein dekha aur ye kehte huwe paya ki tumhari judaai ke baad Aaraam naseeb nahi huwa balki sakht azaab mein giriftaar hu. Lekin somwaar (monday) ka din aata hai to mere azaab mein takhfeef kar di jaati hai. Aur ye is wajeh se hai ki Nabi e kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ki wiladat somwaar ko huwi aur jab Suwaibaa ne is roz Abu Lahab ko Aap ki wiladat ki khabar di to us ne Suwaiba ko aazaad kar diya.

[● ASQALANI – FATH UL BAARI SHARAH SAHIH BUKHARI, 9:145]

 

🔷 SHAYKH ABDUL HAQ MUHADDITH DEHELWI ISSI HADITH KA TAZKIRAH KARNE KE BAAD LIKHTE HAI:

“Ye riwayat mauqa e Milad par khushi aur Maal sadqa karne walo ki daleel aur sanad hai. Abu Lahab jis ki mazammat mein Quran naazil huwa jab woh Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wiladat ki khushi mein laundi aazaad karke azaab mein takhfeef hasil kar leta hai to kya maqaam hoga us musalmaan ka jis ke dil mein Mohabbat e Rasool صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ maujazan ho aur aise mauqe par khushi ka izhaar kare. Haan bidaat maslan raqs aur gair islami aamaal wagaira se ijtinaab zaroori hai kyuki is ke zarye Milad ki barkat se insaan mehroom ho jata hai.”

[● ABDUL HAQ – MADARIJUN NABUWAH, 2:19]

 

🔷 IMAM UL QURRA HAFIZ SHAMSUDDIN IBN AL JUZRI APNI TASNEEF “”Urfut Tareef Fi Mawlid ashshareef” MEIN LIKHTE HAI:

“Jab woh dushman e khuda Abu Lahab jis ki mazammat mein Quran mein surah nazil Huwi Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Milad ki raat khushi karne par us ke azaab mein kami kar di jaati hai to woh musalmaan jo ki Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka Aashiq hai Milad ki khushi se kya maqam paayega? Khuda ki qasam mere nazdeek Allah kareem aise musalmaan ko apne Mehboob Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki khushi mein janatul naeeem ataa farmayega.”.

[● IMAM NABHANI – HUJATTULLAH ALAL A’ALAMEEN: 237,238;

● SUYUTI – AL HAAWI AL FATAWA, 1:196;

● SUYUTI – HUSNUL MAQSID FI AMALIL MAWLID, 65;

● ALVI Al MALIKI – HAUL UL IHTIFAL BI ZIKRIL MAWLUDIN NABVI SHAREEF:17]

🔷 HAFIZ SHAMSUDDIN MUHAMMAD BIN NASIRUDDIN AL DIMASHQI “Mauroodussadi Fi Mawlidil Haadi” MEIN FARMATE HAI:

” Ye baat paaye suboot ko pohach chuki hai ki Milad ki khushi mein Suwaibaa ke aazaad karne par Allah Ta’ala ne Abu Lahab ke Azaab mein kami kar di.”

 

🔷 MAULANA ABDUL HAYY LAKHNAWI LIKHTE HAI:

” Pas jab Abu Lahab jaise kafir par Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wiladat ki khishi ki wajeh se azaab mein takhfeef ho gayi to jo koi Ummati Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wiladat ki khushi kare aur apni Qudrat ke mawafiq Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki muhabbat mein kharch kare kyunkar A’ala martaba ko na pohchega.”

[● FATAWA ABDUL HAYY, 2:282]

 

🔷 MUFTI RASHEED AHMED LUDHYANWI AHSANUL FATAWA MEIN IS PAR ISTIDLAAL KARTE HUWE TEHREER KARTE HAI:

” Jab Abu Lahab jaise badbakht kafir ke liye Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki khushi ki wajeh se azaab mein takhfeef (kami) ho gayi to jo koi Ummati Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki wiladat ki khushi kare aur hasb e us’at  Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki mohabbat mein kharch kare to kyunkar A’alaa maratib haasil na karega.”

[● AHSANUL FATAWA, 1:347,348]

 

IN TAMAAM MUHADITHEEN AUR ULEMA KA SUWAIBAA KE WAQIYE SE ISTIDLAAL KARNA IS RIWAYAT KI SEHET PAR BHI DALALAT KARTA HAI.

WAHABIYO KE AITERAAZ KA JAWAAB:

AITERAAZ:

Is riwayat par ye aiteraaz warid kiye jaate hai ki ye ek kafir (Abu Lahab) ka qual khwaab mein hai. Mustazaad ye ki Hazrat Abbas رضي الله تعالى عنه ne jab ye khwaab dekha to us waqt woh khud bhi musalmaan na the. Is par buniyaad qayam kaise kare?

JAWAAB:

1. Is ka pehla jawaab ye hai ki jab hum is Hadith ko Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ par khushi manane ke suboot mein le ge to hamari daleel ki buniyaad khwaab mein Abu Lahab ka qual nahi balki Hazrat Abbas رضي الله تعالى عنه ka bayaan hai. Unhone isse qubool kiya to aage bayaan kiya.  Agarche unhone khwaab us waqt dekha jab woh musalmaan na the magar jab bayaan kiya us waqt to daaraie Islam mein aa chuke the. Ye bayan na to Abu Lahab ka hai aur na kisi Kafir ka.

2. Hamari daleel ki dusri buniyaad ye hai ki is Hadith ko IMAM BUKHARI jaise buland paaya Muhaddith ne riwayat kiya hai. Kya mutariz (aiteraaz karne wala wahabi najdi) Imam Bukhari se bada muhaddith hai?

In Hazraat ke bayaan karne ka matlab ye hai ki unhone Hazrat Abbas رضي الله تعالى عنه ke bayan  par aitemaad kiya hai.

3. Teesra ye ki Aimah wa Muhaditheen ki kaseer taadaad ne is hadith ko riwayat kiya hai aur kaha hai ki ek kaafir ko Milad e Mustafa صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki khushi manane par jaza di jaa rahi hai to ek Musalmaan ko Milad ko khushiyaan manane par ajr o sawab kyu na diya jaayega.

¤ MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ AIMAH WA MUHADITHEEN KI NAZAR MEIN.

1. IMAM JALALLUDIN SUYUTI (born in 849 Hijri) ne apni kitaab ” HUSNUL MAQSAD FI AMALIL MAWLID” mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

2. MULLA ALI QARI – (1014 Hijri) ne apni Kitab “AL MORID UL RUVI FI MUULIDIN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ” mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

3. MUHADDITH IMAM IBNE JAWZI (born in 510hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha –

KITAB – IBNE JAWZI, Al MILAD UN NABI.

4. IMAM SHAMSUDDIN AL JUZRI (660 hijri) ne Jaiz kaha -kitab – “HUSNUL MAQSID FI AMALIL MAWLID”

5. IMAM NAWAWI KE SHAYKH IMAM ABU SHAMA (born in 599 hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha –  kitab- “AL BAAIS ALA INKARIL BADA VAL HAWADIS” and “SUBLUL HUDA VAL RUSHAD by IMAM SALIHI.

6. IMAM ZAHBI (673 hijri) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha – kitab -“SAYER UL A’ALAM VAN NUBALA”

7. IMAM IBNE KASEER (701 Hijri ) ne AL BIDAYA WAN NIHAYA main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

8. IMAM SHAMSUDDIN BIN NASEERUDDIN DAMASHQI (777 hijri) ne apni Kitab “MAWRIDUL SAADI FI MAWLIDIL HAADI” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

9. IMAM IBNE HAJAR ASQALANI (773 hijri ) – ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha – KITAB – “SUYUTI – HUSNUL MAQSAD FI AMALIL MAWLID”

10. IMAM SHAMSUDDIN AL SAKHAWI (831 h) ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha – KITAB- “SUBLUL HUDA VAL RUSHAD by IMAM SALIHI

11. IMAM QUSTULANI (851 hijri) ne apni kitaab “AL MAWAHIB UL LADUNIYA” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

12. IMAM QUTUBUDIN HANAFI (988) ne Apni kitab “AL A’ALAM BE A’ALAM E BAITILLAHIL HARAM ” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

13. IMAM IBNE HAJAR MAKKI (909 hijri) ne FATAWA HADISIA mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

14. SHAYKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHELWI (958 hijri) ne “MA SABAT MINAS SUNNAH ” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

15. IMAM ZARQANI (1055 hijri) ne “SHARAH MAWAHIBUL LADUNIYA ” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

16. HAZRAT SHAH ABDUR RAHIM DEHELWI ne Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha – kitab – “AL DUR RUS SAMEEN”

17. SHAH WALIYYULLAH MUUHADDITH DEHELWI (1174 h) ne “FUYUZ UL HARAMAIN  ” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

18. HAJI IMDADULLAH MUHAJIR MAKKI (1233 h) ne “SHAMAIM E IMDADIYA

Aur FAISALA E HAFT MAS’ALA ” mein Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manaane ko jaiz kaha.

19. MAULANA ABDUL HAY LAKHNAWI (1264 h) ne “FATAWA ABDUL HAY” main Jashne Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ manane ko jaiz kaha.

20. AALA HAZRAT IMAM AHMED RAZA (1272) ne Jashn e Eid Miladun Nabi manaane ko jaiz kaha. Farmaate hain

“HASHR TAK DAALENGE HUM PAIDAISH E MAULA KI DHOOM,

MISL E FAARAS NAJD KE QILE GIRAATE JAAYENGE.”

¤ KYA EID UL FITR AUR EID UL AZHA KE ALAAWA DEEN MEIN KISI TEESRI EID KA TASAWWUR NAHI?

WAHABI AITERAAZ:

● Islam mein sirf 2 Eid hai.

● Agar Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ka din Eid ka din hai to Eid ki Namaz kyu nahi padhte?

● Khutba kyu nahi dete hai?

● Aur Eid ke din Roza Haram hota hai aur Is din Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne Roza rakha. Phir ye Eid ka din kaise huwa?

JAWAAB:

HUM QURAN AUR HADITH SE DEKHTE HAI KI WAHABI APNE DAAWE AUR AITERAAZ MEIN KITNE SACHE AUR KITNE JHOOTHE HAI.

KYA EID UL FITR AUR AZHA KE ALAAWA DEEN MEIN TEESRI EID KA TASAWWUR HAI❓

🔸JAWAAB: HAAN!

PEHLE TO HUM APNA DAWA PESH KARTE HAI TAAKI HAMARI DALEEL AAIN DAWE KE MUTABIQ SABIT HO.

AHLE SUNNAT WA JAMAT KA DAWA:

“EID MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ EID E MUSARRAT HAI, EID E SHARIE  NAHI”.

DALEEL :

1⃣ QURAN

“Aye Allah! Aye hamare Rab! Hum par aasmaan se Khwaan (Naimat) Nazil farma de. Ki (uske utarne ka din) hamare liye EID ho jaaye. Hamare aglo ke liye (bhi) aur hamare pichlo ke liye (bhi).

Aur (woh khwaan) Teri taraf se nishaani ho.”

( ● SURAH MAIDAH, AYAT 114)

PEHLI UMMATO PAR AASMAAN SE KHANE PEENE KI NAIMAT UTARNE KE DIN KO QURAAN ME EID KA DIN KAHA GAYA.

PATA CHALA KI KISI NAIMAT KE MILNE PAR JO KHUSHI MILTI HAI WOH EID KA DIN KEHLATA HAI. AUR HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WILADAT TAMAAM MAKHLUQAAT KE LIYE SAB SE BADI NAIMAT HAI AUR IS DIN UMMAT KO ALLAH KI IS AZEEM NAIMAT KE MILNE PAR EID KA DIN KYU NAHI KAHA JA SAKTA?

KYA QURAN KA DIYA HUA YE TASAWWUR GALAT HAI? MAAZALLAH!

AISA HARGIZ NAHI

2⃣ SAHIH HADITH

“Hazrat Abdullah ibne Abbas رضي الله تعالى عنه  se riwayat hai ki Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne farmaya: ” Beshak ye EID ka din hai jise Allah Ta’ala ne Musalmaano ke liye (ba-barkat) banaya hai. Pas jo koi JUMMAH ki Namaz ke liye aaye to Gusl karke aaye. Aur agar ho sake to Khushboo laga kar aaye. Aur tum par miswaak karna laazim hai.”

[● SUNAN IBNE MAJAH, KITAB UL IQAAMATUS SALAAH]

 

HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE JUMAH KE DIN KO EID KA DIN KAHA. PATA CHALA KI DEEN MEIN EID UL FITR AUR EID UL AZHA KE ILAAWA BHI TEESRI EID KA TASAWWUR HAI.

IS HADITH SE WAHABIYO KA DAWA GALAT SABIT HO GAYA. ALHUMDULILLAH!

 

3⃣ SAHIH HADITH:

📗”Hazrat Abu Moosa Ashari رضي الله تعالى عنه farmate hai, ” Yawme Aashura ko Yahood Yawme Eid shumaar karte the. Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne (Musalmaano ko hukm dete huwe) farmaya tum zaroor is din Roza rakha karo.”

[● SAHIH BUKHARI, KITAB UL SAWM]

YAWME AASHURA YAHOODIYO KE LIYE YAWME NIJAAT WA KAMIYAABI KA DIN THA. FIROUN SE NIJAAT MILNE PAR US DIN KO EID KA DIN TASAWWUR KIYA JA SAKTA HAI. TO HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI WILADAT SE KUFR O SHIRK SE NIJAAT MILNE PAR   NABI PAK KA YAWME WILADAT MUSALMAANO KE LIYE EID KA DIN TASAWWUR KYU NAHI KIYA JA SAKTA?

AUR HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ BAKHOOBI JAANTE THE KI YAWME AASHURA YAHOODIYO KE NAZDEEK YAWME EID HAI. IS LIYE AAP NE UNKE EID MANAANE PAR KOI SAWAAL NAHI KIYA.

KYA BUKHARI KI IS HADITH MEIN YAWME NIJAAT AUR KAMIYABI KO EID KA DIN MANANE KA TASAWWUR GALAT HAI?

4⃣ SAHIH HADITH

● SAHIH BUKBARI, KITAB UL IMAAN:

“Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه se riwayat hai: Ek martaba ek yahoodi ne Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه  se kaha ki Aye Musalmaano ke Ameer! Aap ki kitab (Quran) mein ek aisi ayat hai jisko Aap log padhte hai. Agar woh ayat hum yahoodiyo ke baare mein nazil hoti to hum us ayat ke yaume nuzul ko eid bana lete. Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه ne farmaya: Woh kaunsi ayat hai?

Yahoodi ne kaha ki woh ayat hai:

“Aaj Maine tumhare liye tumhara deen mukamal kar diya hai”

To Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه  ne farmaya ki hum uske nuzul ke din ko acchi tarah jaante hai aur uske maqam ko bhi. Jab yeh ayat nazil hui thi to Aap صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ maidan e Arafat mein khade the aur jumma ka din tha.

Yahoodi shaks ke kehne ka matlab yeh tha ki Quran ki mazkoora ayat musalmano ke haq mein Allah ki bohot badi naimat hai. Kyuki us mein Allah ne Deen e Islam ki takmil  ki baat irshad farmayi hai. Lihaza is naimat ke nuzul ke din ko musalman eid ka din kyu nahi bana lete.

To Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه ne yahoodi ko jawab diya ki tumhara yeh khayal galat hai ke hum mein is ayat ke nuzul ke din ko bhula diya hai balki is din ko humne achi tarah yaad rakha hai. Aur “Maujamil Awsat – Imam Tabrani” mein aur  Tirmizi ki riwayat mein hai ki Hazrat Umar رضي الله تعالى عنه ne jawab diya ki is ayat ke nuzul ke din mein hamare liye do Eiden hai. “Yaume Arafa 9 zilhijja bhi yaume EID” aur “Jumma ka din bhi yaume EID hai.”

QURAN AUR SAHIH AHAADITH SE PATA CHALA KI EID UL FITR AUE AZHA KE ALAAWA DEEN MEIN AUR BHI EIDE (KHUSHI KA DIN)HAI.

🔸EID E SHARIE:

1. EID UL FITR – EID

2. EID UL AZHA – EID

🔸EID E MUSARRAT:

3. JUMMAH – EID

4. YAWME NUZOOL E MAIDA – EID

5. YAWME NUZOOL E AYAT E TAKMILE ISLAM – EID

6. YAWME NIJAAT WA KAMIYAABI – EID

🔷PATA CHALA KI :

1. EID UL FITR AUR AZHA KE ALAAWA BHI EID HAI.

2. JUMAH KA DIN EID HAI MAGAR IS DIN ROZA RAKHNA JAIZ HAI. SABIT HUWA KI EID E MUSARRAT KE DIN SHUKRANA KA ROZA RAKHNA JAIZ HAI. AUR JAB TAK ALLAH AUR USKE RASOOL KISI AMAL KO HARAAM NA KARE KOI WAHABI HARAAM NAHI KAR SAKTA HAI.

3. EID E MUSARRAT KE LIYE KHUTBA WA NAMAZ ZAROORI NAHI

🔷JULOOS E MILAD UN NABI صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ

Eid Milad un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ke din Durood o Salaam padhte huwe JULOOS nikaalna bhi taqreebaat e Milad ka zaroori hissa ban chuka hai.

Ahad e Risalat mein bhi mukhtalif mauqo par juloos nikaale gaye jin mein sahaba shareek huwe.

🔷 ANSAARE MADINA KA ISTIQBAAL E MUSTAFA صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ   KE LIYE JULOOS.

HADITH:

“Mard aur Aurte gharo par chadh gaye aur bache aur khudaam raasto mein phel gaye. Sab baa-aawaaz e buland keh rahe the YA MUHAMMAD! YA RASULALLAH! YA MUHAMMAD! YA RASULALLAH! صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ”

[● SAHIH MUSLIM, KITAB UL ZOHAD, JILD 4;

● MUSNAD ABU YA’LAA, 1:107;

● SAHIH IBN HIBBAN, 15:289]

 

🔷 FATEH MAKKAH KE MAUQE PAR AZEEM O SHAAN JULOOS

“Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالى عنه ne apna bachashm deed waqia bayan karte huwe farmaya ki Fateh Makkah ke mauqe par Ek azeem o shaan juloos ki soorat mein jab Musalmaan Huzoor صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ke humraah Makkah Mukarrama mein dakhil huwe to Hazrat Ibn Abbas رضي الله تعالى عنه baa-aawaaz e buland Allah ki shaan o shaukat aur Huzoorصلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ki Naat bayan kar rahe the.

🔷 AHLE MAKKAH KA MASJID E HARAAM (KABA SHARIF) SE MAKAAN E MAWLOOD UN NABI (Jaha Huzoor ki wiladat huwi) صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ   TAK JULOOS

“Tamaam ilaaqo ke Ulema , fuqah, Governor,  aur chaaro (4) mazahib ke qazi magrib ki namaz ke baad Masjid e Haraam mein jama ho jaate aur Makaaan e Mawlood un Nabi صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ  ki ziyarat ke liye jaate. Unke haatho meun kaseer tadaad mein shams, faanoos, aur mash’ale hoti…..”

[● AL-AEALAMU BE AELAMI BAITILLAHIL HARAM;

● AL-ZAMIULLATIF FI FADLI MAKKAH WA AHLIHA WA BINAIL BAITISHSHARIF]

 

🔷JULOOS NIKAAL NE KE AADAAB

1. Durood o Salaam aur Naat e Mustafaصلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ   padhte huwe juloos nikaale.

2. Juloos is shakl mein nikaale ki kisiko takleef na pohche aur mulk ke qanoon ka lihaaz rahe.

3. Juloos mein behuda naach aur gaane sakht haraam hai.

4. Loudspeaker ki awaaz itni unchi na rakhe ki logo ko takleef ho.

5. Aurto ka Gair Mardo ke saath juloos mein shareek hona sakht haraam.

6. Juloos mein Gair Sharie Naare aur gali galooch aur bad kalami sakht haraam hai.

7. Awqaat e Namaz mein juloos ko rok kar pehle Namaz adaa kare phir juloos ko aage rawana kare.

8. Azan ke waqt juloos ko rok kar pehle azaan sune aur azaan ka jawab de phir zikr o kalaam kare. Dauran e Azan kisi bhi tarah ka zikr na kare.

9. Ho sake to Gaadi aur Bike par Juloos na nikaale. Paidal Juloos nikaale taaki Traffic Jam na ho.

10. Traffic Police ke saath co-operate kare.

 

Posted in Islamic Articles.