Q 1000. Kya koi cheez cash (naqad) mein agalag qimat par aur credit (udhar) mein alag qimat par khareed na ya bechna jaiz hai?

Quest code (1000)

Salam mufti saheb

ek sakhs ka INDIA
Mein kapde ka buissness hai. Yaha ki kharid o farokht  din ki hisab se hoti he misal ke tor par zaid koi chiz. kharidta
he. agar vo cash deta he 4000 rupya agar vo 20ve din paisa dega to us chiz ke 5000 rupye agar 10ve din paisa dega to
4500 rupye agar vo 30 ve din paisa dega to 5500 rupye ada
karega .

Jitne din tai shuda din se barhenge utne paise zyada aur jitne din tai shuda din se kam utne paise kam (percent ke
hisab se)  kya aesi kharid o farokht jaiz he?

Ye rule har ek customer ke liye he chahe musalman ho ya kafir
( market me yahi rule se kam chalta he  aur kharid ne bechne vale ko ye rule pata hota he ) kya aisa kharido farokht jaiz he? zazakallah talab e dua
Note : jo government ka tax he vo bhi alag se kharid dar ko din ke hisab se dena padta hai

Is karobar ki misal : ek dukandar ke pas se zaid aur bakr 100 rupye ka kapda 10ve din paisa dene ka bolke kharidte he 5 din bad zaid pese ada karta he to use 50 rupye ada kiye (din ke hisab se kam) aur bakr 15 ve dd in raqam ada karne gaya to 150 rupye ada kiyr( din ke hisab se jyada) ye rule ka pura chart hota he jo sabko pata hota hai

Posted in Ask ARC Mufti.