Q 1019. Kya Myanmar – Rohingya ke mazloom Musalmaao ke liye ijtemaai dua karna jaiz hai kyuki un mein badaqeeda firqe maslan Wahabi deobandi, Gair Muqallid, Shia wagaira bhi maujood hai?

Quest code (1019)

Kya farmate hai Muftiyaan e Islam is masle mein ki Zaid kehta hai ki Myanmar – Rohingya mulk mein Musalmaano par kuffaro ka zulm ho raha hai. Magar yeh pata nahi ki un musalmaano mein Deobandi, Wahabi wagaira bhi shamil hai. Isliye unke liye ijmaalan Dua naa ki jaaye aur unke tahaffuz ke liye koi qadam naa uthaya jaaye, balki tablighi jamaat ki aksariyat waha hai aisa maalum hota hai, lehaza unko to zinda jala dena chahiye.

Kya Kuffaro ke zulm ke muqabil Musalmaano ke in firqe yaani wahabiyo ke liye aisa radde amal karna aur unke tahaffuz ke liye mana karna sahih hai ya galat?

Kya kuffaro ke khilaaf Musalmaao ke firqo mein ittehad ki buniyaad par wahabiyo ki jaan o maal ka tahaffuz karna ya unke liye dua karna najaiz hai?

Agar koi Mufti o Aalim ye fatwa deta hai ki Rohingya ke Deobandi/ Wahabi / Shia wagaira ke liye dua karna ya unka tahaffuz karna haram hai to us Mufti o Aalim ke qual o fatwe ki sharie haisiyat kya hai?

Aur ye bhi wazeh kare ki Kuffaro ke khilaaf kalme ki buniyad par Musalmano ke tamaam firqo mein ittehad qayam karna jaiz hai ya najaiz?

Posted in Ask ARC Mufti.