Quest code (1057)
اَلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ
Hazrat sawaal YEH hai k Mai Mumbai mein rehta hu aur doosre shaher k bandargah se pani ka jahaz join karta hu in dono shaharo mein takreeban faasla 300km se zyaada ka hai ab pani ka jahaz behrune mulk chala jaata hai kuch din teherta phir waapas India aata hai tel ki discharging k liye aur phir behrune mulk haftebhar mein phir chala jaata hai Aisa mera 8 maheene ka contract rehta hai kya in poore 8 maheene Mai musafir rahunga? NAMAZE qasr paduga? Aur agar ramzan AAJAI to kya baad mein qaza kar sakta hu? Agar baad mein ramzan k ROZE rakhu to kya continues 30 roze rakhne hoge ya kabhi 5 ya kabhi 10 is tarah se qaza rakh sakte hai?
Lekin kabhi kabaar jahaz Mumbai bangargaah Bhi aajata hai aur mai Mumbai ka rehvasi hu lekin jahaz phir haftebhar k baad kahi aur chala jaata hai aisi Surat mein Bhi Mai kya musafir rahuga?
جزاك الله