Q 1221 – B. Ek website par ye likha hai ki Quran mein kahi bhi Alcohol haram hai nahi likha hai aur musalmaan nawjawan ko gumrah kar rahe hai. Kya aisa hai?

Quest code (1221 – B)

Online web site par check karte hai ke kya alcohol haaram hai islam me to msg ata hai ke quran sharif may kahi par bhi sharab ke liye haram lafz istemal nahi hua hai aisa msg college may muslim bacho ko bahkane ke liye istemal ho raha hai msg me yeh bhi kaha jata hai ke kabhi kabhi sharab pee sakte hai aur nauzubilallah Huzur paak bhi drink karte the aisa msg me hai

Iski kya haqeeqat hai kya sahi me sharab pisakte hai
Aur ye bhi kahte hai ki Sharab me nuqsan bhi hai aur mardon ke like faide bhi

Baraye karam kuch khulasa kijiye take muslim bache aise msg padh kar galti na kate.
Shukriya Allah jazaye khair ata kare.

Posted in Ask ARC Mufti.