Quest code (1693)
Kya farmaate hain Ulama e Deen wa Muftiyaan e Sharah mateen is masle mein ke Zaid ka catering ka karobaar hai aur uska aqeedah ye hai ke tamaam kalma padhne waale musalmaan hain chahe kisi bhi Firqe se hon. Uski aulaadein deobandi Wahabi ho chuki aur unki shadiyan bhi naamwar deobandi wahabi ke ghar karwaye.
Ab inke hath ka Zabeeha ya inka pakaaya huwa khana Agarche kisi Sunni ka Zabah karda ho khaana jaiz hai ya nahi.
Kuch logon ya ye kehna hai ke iske yahan jo bawarchi hai wo behraich shareef ke Sunni hazraat hai lihaaza kha sakte hai. Is zimn me kya hukm hai?
Duwwam ye ke aaj ke is pur fitn daur mein jab k halaal o haraam ki tameez uthti jaa rahi hai kya sirf Sunni ke bulane par bagair tehqeeq kahin bhi kisi ka bhi khana kha sakte hain jabke bade shehron mein khas kar Mumbai mein kayi bade caterers ke Aqeede gumrahiyat par hai ya wo kaam lekar bohri murtad ko theka de dete hain aur unse thaal banwa kar apne label k Sath pesh karte hain.
Ulama aur Mashaikh ko unke mureedeen aur mutawassileen daawaton me bula Kar aise hi caterers ka khana pesh karte hain aur wo laa ilmi mein kha bhi lete hai. Jab koi Sunni nahi khata to wo mezbaan inhi ka hawala dete hain k aap unse bade Aalim hai?
Aisi soorat mein kya ye zaroori nahi ke jahan bhi dawat ho wahan tehqeeq kar li jaaye ke kiska banaya huwa khana hai?
Suwwam ye ke kya ye mumkin nahi ke Muftiyaan e Kiraam kam se kam uroosul bilaad Mumbai mein aise caterers ki list shaya farmayen jinka aqeedah mashkook hai aur awaam ko Hidayat dein ke inse bachein ?
Jawaab jald inaayat farmaakar ehsaan farmaye
JazakAllah