Q 1842. Kya Bedum Warsi sahab ka ye sher ” Bedum yahi to paanch hai maqsood e kainat ” gair sharaie hai?

Quest code (1842)

Kya farmate hai Muftiyaan e kiraam Bedam Warsi ki ek sher ke mutalliq
“Bedam yahi hai maqsood e qaaynat Mustafa, kherunnisa, Hasan o Hussain, Ali”

Kya maqsood e Qayanat sirf Rasulullah ﷺ  hai ya Panjetan e paak hai?

Quran o Hadith ki roshni mein jawab inayat farmaye.

Sufi Mufti Kaleem Razvi sahab naam ke ek aalim sahab ka kehna hai ki ye aqeeda durust nahi. Aur Ahle sunnat ke dusre awlma wa peer hazraat ka kehna hai ki Maqsood e qaynat paanch hai.

Is masle mein Ahle sunnat wa jamat mein ek ajeeb inteshaar ho raha hai. Kya ye masla ikhtilaafi hai? Is masle par bara e karam roshni daale.

JazzakAllah hu khair.

Posted in Ask ARC Mufti.