Q 2015. Agar shohar ghusse mein apni biwi se kahe “Ja Tu Ja” to kya talaq ho jaayega?


Quest code (2015)

Mera sawal YEH hai k
Shohar ghar mein kuch Kaam mein busy hai aur apne kursi par bait kar kuch Kaam kar raha hai aur utne mein Biwi ne kisi Chiz ka mutalba kiya aur shohar ko bezari hui aur shohar ne usse kaha bezari karte hue ja tu ja kyunki kisi Kaam mein busy tha aur uthna ya khada hona nahi chahta tha. To kya isse nikah mein koi fark padega.. Dur dur tak talaq ki koi NIYYAT na thi aur jhagde ka mahol Bhi nahi tha bas disturbance k kaaran Aisa bola ‘Ja tu ja’
Aur Biwi ne kaha mai hee le leti hu mera saman jiska mutalba hua..
Jawab IRSHAD farmaiye
JAZAKALLAH

Posted in Ask ARC Mufti.