Q 2137. Qurbani ki khaal ki raqam agar bohot kam mile to kya usko dafna kar ya jala kar zaaye kar sakte hai?


Quest code (2137)

Kya farmate hai Muftiyaan e Islam is masle mein ki Eid ul Adha (Bakra eid) ke mauqe par bakre ya bade jaanwar ki khaal ka daam market mein taajir gira dete hai aur jo khaal aaj se 3 4 saal pehle 300 mein bikti thi aaj uski qimat 30 40 rupe ho gayi hai. Is mein hukumat ka haath bhi bataya ja raha hai.

Kya in taajiro ko aur hukumat ko sabaq sikhaane ke Liye qurbani ki khaal ko zaaye kiya ja sakta hai? Jala kar ya dafna kar ya kisi bhi surat mein?

Shariat ki roshni mein is ka mudallal jawaab inaayat farmaye aur ummat ki rehnumaai farmaye.

Fayaz Ashrafi – Mumbai

Posted in Ask ARC Mufti.