Quest code (2194)
Kya farmate hai Muftiyaan e kiraam is masle mein ki Maahe Moharram ka chand dekh kar Naye saal ki mubarakbadi dena kaisa hai?
Kuch logo ka kehna hai ki is mahine mein waqaye karbala huwa aur Imam Hussain (radiallahuan) aur unke ashaab ko shaheed kiya gaya. Ahle bait par zulm huwa.
Ye mahina afsoos aur gum ka mahina hai.
Is mahine mein mubarakbadi de kar khushi ka izhaar karna galat hai.
Aur tarah tarah ke ilzaam bhi lagate hai.
Ahle Sunnat ke nazdeek is par kya hukm hai?