Quest code (378)
Assalamu alaikum
Ask Mufti mein mera sawaal:
1) kya zewar bank me rakha ho aur bank se loan le liye to us zewar ka zakat dena wajib hai ?
Kya loan amount deductible hai?
Isko kaise calculate Karen baraye maherbaani batayen.
2) koi property khareedi ho instalment pe aur uski kisht ada karne ki taareek zakaat calculate karne se qabl ho. Magar kisi wajah se us kisht ki adayegi mein taqeer hui ho. Tho kyun ke kisht ka Paisa is waqt maujood hai (haalan k wo Paisa ab dena hai property k liye) Kya zakaat us par bhi calculate karna chahiye?