Q 392. Kya Shafai Imam ke peeche Hanafi Imam ki namaz ho jaayegi aur Kya mustzani se roza tut jaata hai aur kaffara dena hoga ya nahi aur kaffare ki raqam madrase mein kis hisab se dege?

Quest code (392)

Assalamu alaikum wa rehmatullah wa barakatuhu..

Hazrat mere teen sawal hai.

1) kya farmate hai ulamaye Deen is masle me k kya shafai imam k peeche hanafi shaks ki namaz ho jayegi?

Aur agar hoti hai to kya  hanafi masjid hote hue hai shafayi masjid me shafayi imam k peeche namaz padhne me koi harj hai??

2) kya farmate hai ulamaye Deen is masle me k kya musht zani se roza toot jata hai?

Maine kahi internet par padha tha k roza tootega magar kaffara nahi hoga.. Kya ye sahi hai?

3) teesra sawal ye k  kaffara jis shaks par Dena zaruri hai to wo  madarse me iski raqm kis hisab se de .

Baraye mehrbani rehnumai kijie..

Posted in Ask ARC Mufti.