Q 529. (1) Mein oiler ka kaam karta hu aur kapdo par oil lag jata hai. Kya is haalat mein namaz padh sakta hu? (2) Kya Panjabiyo ko Sardar kehna sahi hai? (3) Mein ship (paani ka jahaz) mein kaam karta hu to namaz kasr padhuga ya nahi?

Quest code (529)

(01) Mufti Sahab mera sawaal ye hai ki Mai engine department mein oiler ka kaam karta hu to kapdo pe oil wagaira lag jaata hai to kya us KAPDE mein namaz ada kar sakta hu duty ke Waqt mein jab duty se free hota hu to kapde change karta hu jawab irshad farmaiye

(02) Mufti Sahab kuch HAMARE Muslim bhai punjabiyo ko sardar kahte hai Aisa kahna kaisa?

(03) Mufti Sahab Mai paani ke jahaz mein Kaam karta hu to kya Mai namaz kasr paduga misaal ke taur pe Mai India se Dubai gaya aur Dubai ke bandargah mein ship join kiya phir wo jahaz doosri jagah chalte rehta hai aur kabhi kabhi 7 din tak ek jagah rukta hai phir kahi aur chale jaata hai aise mein Mai kya musafir kah laaoga aur namaz kasr paduga? Jawab irshad farmaiye

Posted in Ask ARC Mufti.