Quest code (555)
Assalamu alaikum
Hazrat mera suwaal ye hai ki mere gaon me har saal ek programme hota hai lekin is baar programme ke baad chanda ka 5000 rupees bach gya hai
To kiya us paise ko kisi doosre deeni programme ke liye de sakte hai qarze ke taur par jaise haji logon ki rawangi ka programme
Doosri baat ye hai ki agar kisi ne ye paisa liya qarz ke taur par lekin wo ada nahi kar pa raha hai to agar koi doosra shakhs uski taraf se ada karna chahe to kiya ada kar sakta hai?