Quest code (563)
As Salamu Alaikum
Hazrat Mera Sawal hai k
Kya fermate hai Olama e Deen Muftiyane Sharah Mateen Zaid k masle k talluq se k “Zaid ek Muqarrir hai or Daurane Taqreer usse Sabkate lisani me kuch aise alfaz ya jumle nikle jin alfaz ya jumlo per hukme kufr Lage ,Maslan Sayyida Fatima ki shan bayan ho Rahi thi kehna chahta tha Rasool Allah ki beti lekin sabkate lisan se kaha Allah ki Beti to Kya uska Nikah tota ya Baki Raha”.
Ya Bakr Daurane bayan Shaitan ka zikr ker raha tha or kehna chahta tha,”shaitan jise Azajeel kaha jata hai ” lekin keh Diya Shaitan jise Izraeel kaha jata hai “,To Kya in alfaz ya jumlo per Hukme kufr Aayid Hoga or Kya tajdeede Nikah bhi kerna Hoga?
Ya Majme me isi galti se Tauba wa Istighfar kafi Hoga?
Sharah ki roshni me Jawab inayet fermaye.
Sail : Salman Khan Noori
Your Answer Will be Uploaded shortly on
www.ahlesunnatresearchcentre.com
JazaakAllah hu khair
Regds
Scholars Team ARC