Q 698. Zaid ka dost Islam qubool karne ke baad bhi Devi Devtaao ki photo mobile mein rakhta hai aur hinduo ke saath uthta baithta hai. Agar woh Zaid ko dawat de to kya uski dawat mein jana sahih hai?

Quest code (698)

السلام علیکم ورحمۃاللہ وبرکاتہ
کیا فرماتے ہیں علماءِ کرام مفتیانِ عظام اس مسئلہ پر کہ زید کا دوست non muslim تھا اس نے ایک یا ڈیڑھ سال قبل اسلام قبول کیا مگر قبولِ اسلام کے بعد بھی وہ غیر مسلموں کے ساتھ اٹھتا بیٹھتا ہے ان کے ہر پروگرام میں شریک ہوتا ہے. اور وہ اپنے موبائل میں دیوی دیوتاؤں کے فوٹو اور بھجن وغیرہ بھی رکھتا ہے اور ساتھ ہی ساتھ نماز روزہ وغیرہ اسلامی عبادات بھی کرتا ہے.
ابھی کچھ دن قبل اس کی بہن کی شادی تھی اور شادی کی تمام ذمہ داریاں اُسی کے ذمہ تھی چونکہ اس کے گھر والے اور تمام رشتہ دار غیر مسلم ہیں اس لئے اس نے شادی بھی ہندو رسم و رواج کے مطابق کی ہے. جسمیں اس نے زید کو بھی شادی کی دعوت دی تھی مگر زید اس دعوت میں نہیں گیا اب وہ زید کی اور زید کے ساتھیوں کی خصوصی دعوت کا اہتمام کیا ہے.
تو کیا زید اور زید کے ساتھی اس دعوت میں جا سکتے ہیں؟ کیا اس کا کھانا کھا سکتے ہیں؟
قرآن و حدیث کی روشنی میں جواب عنایت فرما کر ہماری رہنمایئ فرمائیں.

Sawal:
Zaid ka dost Non Muslim tha. Usne Ek ya Dedh Saal pehle Islam qubool kiya tha magar Islam qubool.karne ke baad woh Gair Muslimo ke saath uthta baithta hai. Unke har kaam mein shakeek hota hai. Aur woh apne mobile mein Devi Devtao ka photo aur bhajan wagaira bhi rakhta hai. Aur saath hi saath Namaz roza wagaira Islami ibadaat bhi karta hai..

Abhi kuch din qabl uski behen ki shadi thi aur shadi ki tamaam zimmedari uske zimma thi chuki uske ghar wale aur tamaam rishtedaar gair muslim hai is liye usne shadi bhi hindu rasmo riwaaj ke mutabiq ki hai. Jis mein usne zaid ko bhi dawat di thi magar zaid us dawat mein nahi gaya.

Ab usne Zaid ki aur Zaid ke saathiyo ki khususi dawat ka ehtemaam kiya hai. To kya Zaid aur uske saathi us dawat mein ja sakte hai? Kya uska khana kha sakte hai?
Quran o Hadith ki roshni mein jawab inaayat farmaye.

Posted in Ask ARC Mufti.