Q 722. Ship par kaam karne wala Namaz poori padhega ya qasr padhega?

Quest code (722)

Mufti Sahab sawal SAFAR ke talluk se hai Mai pani k jahaz mein Kaam karta hu Mumbai mein rehta hu aur jamnagar gujrat ke bandargah se ship join ki hai aur Mai by train Mumbai to gujrat aaya hu AUR takreeban 800km ka faasla hai AUR meri NIYYAT 15 din rukne ki nahi thi kyunki pani ka jahaz ek jagah nahi rukta lekin pani ka jahaz 15 din se Zyaada ek JAGAH samandar mein ruka raha phir doosre bandargah chala gaya ab yaha aise mein kya Mai musafir rahuga? Kya NAMAZE kasr paduga? Kyunki jab Mai Mumbai se gujrat aaya tab se hee Maine namaze kasr padna shuru kardi hai kyunki pani ka jahaz ek JAGAH kitne din rukega iska andaza nahi hai Jawab irshad farmaiye
جزاك الله

Posted in Ask ARC Mufti.