Q 725. Agar quran padhna na aata ho to har line par ungli rakh kar bismillah padh sakte hai ya nahi? Qabr par Azaan dena kaisa hai? Aur T.V dekhna jaiz hai ya Najaiz?

Quest code (725)

سوال نمبر١.کیا فرماتے ہیں مفتیان عظام وعلماۓ کرام ان مسائل میں کے ۔۔۔

بعض لوگ قرآن شریف پڑھنا نہیں جانتے اگر وہ قرآن شریف کی ہر لا ئن پر انگلی رکھ کر بسم اللہ شریف پڑھیں تو کیسا ہے؟جبکہ قرآن شریف میں کچھ آیت رحمت ہے اور کچھ بعض آیتیں غضب ہیں؟

سوال نمبر١..جب کوئی مسلم کے گھر بچہ پیدا ہوتا ہے تو اس بچے کے کان میں اذن سنائی جاتی ہے اور جب انتقال کر جاۓ تو اسکی نماز پڑھائی جا تی ہے مگر قبر میں دفنانے کے بعد اذان کیوں دی جاتی ہے جب کے اذان پیدائش کے وقت ہوچکی اور انتقال کے بعد نماز پھر یہ اذان کس لئے؟ آسان جواب دین تاکہ جماعتیوں اور دیگر لوگوں کو جواب دے سکوں؟

سوال نمبر١ .کیا ٹی وی دیکھنا رکھنا بنانا ہلال ہے یا حرام اگر حلال ہے تو کیوں؟اوراگر حرام ہے تو کیوں

Sawal 1:
Baaz log Quran Sharif padhna nahi jaante. Agar woh Quran Sharif ki har line par ungli rakh kar Bismillah sharif padhe to kaisa hai? Jabki Quran Sharif mein kuch Ayate rehmat par hai baaz ayate gazab par hai.

Sawal 2:

Jab koi Musalmaan ke ghar bacha paida hota hai to us bache ke kaan mein azaan sunaai jati hai aur jab inteqaal kar jaaye to uski Namaz padhayi jaati hai. Magar Qabr mein dafnane ke baad azaan kyu di jaati hai jab ki azaan paidaish ke waqt ho chuki aur inteqaal ke baad namaz. Phir ye azan kis liye? Aasaan jawab de taaki Tableegi Jamatiyo aur digar logo ko jawab de saku

Sawal 3:
Kya T.V dekhna rakhna banana halaal hai ya haram. Agar halaal hai to kyu? Aur agar haram hai to kyu?

Posted in Ask ARC Mufti.