Q 762. Mayyit ke pair (qadam) kis taraf rakhna chahiye? aur Qabr mein bhi kis taraf pair rakhe? aur Mayyit ko kitni der tak dafnane se roka ja sakta hai? aur Agar marne se pehle agar koi ye wasiyat kare ki mujhe falan jagah dafnana to kya uski wasiyat ko poora karna lazim hai?

Quest code (762)

Assalamu Alaikum

Hazrat kisi ke inteqal hone par kya tariqa apnana chahiye? Maslan kuch log kehte hai ki mayyat ka sar Ka’aba ki taraf hona chahiye aur kuch kehte hai ki pair Ka’aba ki taraf hona chahiye. Kya Ka’aba ki taraf rukh karna zaruri hai? Aur logo ke beech mayyat ko dafnane ke upar bhi fark hai. Kuch Ka’aba ki taraf sar ya pair karte hai to kuch uttar(north) ki taraf sar kar ke dafnate hai. Ye sab shariyat me kis had tak sahi hai aur agar sahi hai to mayyat ka pura tariqa bataye inteqal ke baad se dafnane tak ka.
Jazakallah khair.

Hazrat agar kisi shaks ka inteqal ho jaye aur inteqal hone se pehle wo kahe ki mujhe marne ke baad fala jagah par dafnana to kya uski baat manni chahiye ya jaha inteqal ho wahi gaon ya shahar me dafna dena chahiye?
Aur inteqal ke baad mayyat ko kitni der tak dafnane se roka jaa sakta hai maslan kisi shaks k rishtedar kehte hai ki hamare pohochne ke baad dafnana. Is tarah kabhi kabhi 2 se 3 din ka waqt bhi guzar jata hai. Kya ye sahi hai aur ye bhi bataye ki mayyat k rishtedaro ka mayyat me shamil hona zaruri hai ya nahi?

Jazakallah khairan

Posted in Ask ARC Mufti.