Q 813. Khade ho kar peshaab karne se gusl farz hoga ya nahi aur agar gusl nahi kiya to namaz padh sakte hai?

Quest code (813)

Asslamu alaykum

Mera 1 sawal he kisi shaks ne khade khade peshab kiya aur peshab ki jagha koi patthar ya kuch nahi lagaya to uspar gusal wajib huwa? kya is halat me wo namaz par sakta hai aur us halat me wo kisi janaze ko kandha de sakta he ya nahi aur isi halat me usne sar par topi pehenli to wo topi bhi napak hogayi kya.

2. Sawal ye hai ke mera 1 dost he usko peshab me pareshani hai. jab bhi wo peshab karke uthta hai to kuch bunde uski pant payjame mein gir jaati hai to wo us halat me namaj padh sakta hai ya nahi usne kayi dr. Ko bhi bataya lekin uski ye pareshani ka koi hal nahi mila or usko namaj padhni he to usko bar bar gusal karna parta hai kya is halat me uspar gusal farz huwa ya nahi? rehnumayi farmaye

Posted in Ask ARC Mufti.