Quest code (831)
Assalamu alaykum Hazrat
Mera Sawal Ye Hai ki
Hamare Yaha Ye Tariqa hai Ke khandan me yani (Bhai ke ghar, ya walid sahab ke Bhai ke ghar ya dada ke Bhai ke ghar) Kisi ki maut Ho jaye to 40 Din tak naye kapde nahi kharidte ya silate, Eid waighara nahi karte aur 40 din tak murde ko jaha nahlaya gaya Waha chiragh lagate aur 40 din tak sab Gham manate kya Ye tariqa sahi hai?
Gham kab tak manana chahiye kapde waighara Kharid sakte hai ya nahi aur kya Karna chahiye aur kya nahi wazahat farmaye…?
Jazak Allah