Quest code (862)
Sawal?
Aksar ye dekha jata hai ke towns (sherao, gao’n) me hifz karwane ke madarse hote hain aor thodi bahot deeni taleem sikhai jati hai, Aur us madarse me Jo molvi hote hain unki tanquha bhi zarurat se ziayada kam hoti hai, ease madarse me padhne ke bad bacho ko rawan Quran padhna to ajata hai magar wo jitna samjhte hai Quran ko aur iski talimaat ko wo inke siwa koi jaan nahi pata, aese talib e ilm zindagi me koi muqaam hasil karne se qasir hojate hai…
To kiya aise madarse indirectly musalman qaom ki tarraqi ke liye laeekh nahi…
Un tulaba ki nakami ka kon zimmedaar hoga?
Muashre ki tarraqi wo Quran wo sunnate aqakareem ki roshni me rahnumai farmaye.
2 Sawal.
Kiya ALLAH rabull izzath ke yaha mard hazraath ka imaan ziyada khalis hai aur khuwateen ka kamzor?
Jawab zarur ata kare?